PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 80
Psal | UrduGeoR | 80:1 | Āsaf kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Ahd ke Sosan. Ai Isrāīl ke gallābān, ham par dhyān de! Tū jo Yūsuf kī rewaṛ kī tarah rāhnumāī kartā hai, ham par tawajjuh kar! Tū jo karūbī farishtoṅ ke darmiyān taḳhtnashīn hai, apnā nūr chamkā! | |
Psal | UrduGeoR | 80:2 | Ifrāīm, Binyamīn aur Manassī ke sāmne apnī qudrat ko harkat meṅ lā. Hameṅ bachāne ā! | |
Psal | UrduGeoR | 80:4 | Ai Rab, lashkaroṅ ke Ḳhudā, terā ġhazab kab tak bhaṛaktā rahegā, hālāṅki terī qaum tujh se iltijā kar rahī hai? | |
Psal | UrduGeoR | 80:6 | Tū ne hameṅ paṛosiyoṅ ke jhagaṛoṅ kā nishānā banāyā. Hamāre dushman hamārā mazāq uṛāte haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 80:7 | Ai lashkaroṅ ke Ḳhudā, hameṅ bahāl kar. Apne chehre kā nūr chamkā to ham najāt pāeṅge. | |
Psal | UrduGeoR | 80:8 | Angūr kī jo bel Misr meṅ ug rahī thī use tū ukhāṛ kar Mulk-e-Kanān lāyā. Tū ne wahāṅ kī aqwām ko bhagā kar yih bel un kī jagah lagāī. | |
Psal | UrduGeoR | 80:10 | Us kā sāyā pahāṛoṅ par chhā gayā, aur us kī shāḳhoṅ ne deodār ke azīm daraḳhtoṅ ko ḍhāṅk liyā. | |
Psal | UrduGeoR | 80:11 | Us kī ṭahniyāṅ maġhrib meṅ samundar tak phail gaīṅ, us kī ḍāliyāṅ mashriq meṅ Dariyā-e-Furāt tak pahuṅch gaīṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 80:12 | Tū ne us kī chārdīwārī kyoṅ girā dī? Ab har guzarne wālā us ke angūr toṛ letā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 80:13 | Jangal ke suar use khā khā kar tabāh karte, khule maidān ke jānwar wahāṅ charte haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 80:14 | Ai lashkaroṅ ke Ḳhudā, hamārī taraf dubārā rujū farmā! Āsmān se nazar ḍāl kar hālāt par dhyān de. Is bel kī dekh-bhāl kar. | |
Psal | UrduGeoR | 80:15 | Use mahfūz rakh jise tere dahne hāth ne zamīn meṅ lagāyā, us beṭe ko jise tū ne apne lie pālā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 80:16 | Is waqt wuh kaṭ kar nazar-e-ātish huā hai. Tere chehre kī ḍānṭ-ḍapaṭ se log halāk ho jāte haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 80:17 | Terā hāth apne dahne hāth ke bande ko panāh de, us ādamzād ko jise tū ne apne lie pālā thā. | |
Psal | UrduGeoR | 80:18 | Tab ham tujh se dūr nahīṅ ho jāeṅge. Baḳhsh de ki hamārī jān meṅ jān āe to ham terā nām pukāreṅge. | |