PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 7
Psal | UrduGeoR | 7:1 | Dāūd kā wuh mātamī gīt jo us ne Kūsh Binyamīnī kī bātoṅ par Rab kī tamjīd meṅ gāyā. Ai Rab mere Ḳhudā, maiṅ tujh meṅ panāh letā hūṅ. Mujhe un sab se bachā kar chhuṭkārā de jo merā tāqqub kar rahe haiṅ, | |
Psal | UrduGeoR | 7:2 | warnā wuh sherbabar kī tarah mujhe phāṛ kar ṭukṛe ṭukṛe kar deṅge, aur bachāne wālā koī nahīṅ hogā. | |
Psal | UrduGeoR | 7:4 | agar maiṅ ne us se burā sulūk kiyā jis kā mere sāth jhagaṛā nahīṅ thā yā apne dushman ko ḳhāhmaḳhāh lūṭ liyā ho | |
Psal | UrduGeoR | 7:5 | to phir merā dushman mere pīchhe paṛ kar mujhe pakaṛ le. Wuh merī jān ko miṭṭī meṅ kuchal de, merī izzat ko ḳhāk meṅ milāe. (Silāh) | |
Psal | UrduGeoR | 7:6 | Ai Rab, uṭh aur apnā ġhazab dikhā! Mere dushmanoṅ ke taish ke ḳhilāf khaṛā ho jā. Merī madad karne ke lie jāg uṭh. Tū ne ḳhud adālat kā hukm diyā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 7:7 | Aqwām tere irdgird jamā ho jāeṅ jab tū un ke ūpar bulandiyoṅ par taḳhtnashīn ho jāe. | |
Psal | UrduGeoR | 7:8 | Rab aqwām kī adālat kartā hai. Ai Rab, merī rāstbāzī aur begunāhī kā lihāz karke merā insāf kar. | |
Psal | UrduGeoR | 7:9 | Ai rāst Ḳhudā, jo dil kī gahrāiyoṅ ko tah tak jāṅch letā hai, bedīnoṅ kī sharārateṅ ḳhatm kar aur rāstbāz ko qāym rakh. | |
Psal | UrduGeoR | 7:10 | Allāh merī ḍhāl hai. Jo dil se sīdhī rāh par chalte haiṅ unheṅ wuh rihāī detā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 7:12 | Yaqīnan is waqt bhī dushman apnī talwār ko tez kar rahā, apnī kamān ko tān kar nishānā bāndh rahā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 7:13 | Lekin jo mohlak hathiyār aur jalte hue tīr us ne taiyār kar rakhe haiṅ un kī zad meṅ wuh ḳhud hī ā jāegā. | |
Psal | UrduGeoR | 7:14 | Dekh, burāī kā bīj us meṅ ug āyā hai. Ab wuh sharārat se hāmilā ho kar phirtā aur jhūṭ ke bachche janm detā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 7:15 | Lekin jo gaṛhā us ne dūsroṅ ko phaṅsāne ke lie khod khod kar taiyār kiyā us meṅ ḳhud gir paṛā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 7:16 | Wuh ḳhud apnī sharārat kī zad meṅ āegā, us kā zulm us ke apne sar par nāzil hogā. | |