Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 119
Psal UrduGeoR 119:1  Mubārak haiṅ wuh jin kā chāl-chalan be'ilzām hai, jo Rab kī sharīat ke mutābiq zindagī guzārte haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:2  Mubārak haiṅ wuh jo us ke ahkām par amal karte aur pūre dil se us ke tālib rahte haiṅ,
Psal UrduGeoR 119:3  jo badī nahīṅ karte balki us kī rāhoṅ par chalte haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:4  Tū ne hameṅ apne ahkām die haiṅ, aur tū chāhtā hai ki ham har lihāz se un ke tābe raheṅ.
Psal UrduGeoR 119:5  Kāsh merī rāheṅ itnī puḳhtā hoṅ ki maiṅ sābitqadmī se tere ahkām par amal karūṅ!
Psal UrduGeoR 119:6  Tab maiṅ sharmindā nahīṅ hūṅgā, kyoṅki merī āṅkheṅ tere tamām ahkām par lagī raheṅgī.
Psal UrduGeoR 119:7  Jitnā maiṅ tere bā-insāf faisloṅ ke bāre meṅ sīkhūṅgā utnā hī diyānatdār dil se terī satāish karūṅga.
Psal UrduGeoR 119:8  Tere ahkām par maiṅ har waqt amal karūṅga. Mujhe pūrī tarah tark na kar!
Psal UrduGeoR 119:9  Naujawān apnī rāh ko kis tarah pāk rakhe? Is tarah ki tere kalām ke mutābiq zindagī guzāre.
Psal UrduGeoR 119:10  Maiṅ pūre dil se terā tālib rahā hūṅ. Mujhe apne ahkām se bhaṭakne na de.
Psal UrduGeoR 119:11  Maiṅ ne terā kalām apne dil meṅ mahfūz rakhā hai tāki terā gunāh na karūṅ.
Psal UrduGeoR 119:13  Apne hoṅṭoṅ se maiṅ dūsroṅ ko tere muṅh kī tamām hidāyāt sunātā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:14  Maiṅ tere ahkām kī rāh se utnā lutfandoz hotā hūṅ jitnā ki har tarah kī daulat se.
Psal UrduGeoR 119:15  Maiṅ terī hidāyāt meṅ mahw-e-ḳhyāl rahūṅgā aur terī rāhoṅ ko taktā rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 119:16  Maiṅ tere farmānoṅ se lutfandoz hotā hūṅ aur terā kalām nahīṅ bhūltā.
Psal UrduGeoR 119:17  Apne ḳhādim se bhalāī kar tāki maiṅ zindā rahūṅ aur tere kalām ke mutābiq zindagī guzārūṅ.
Psal UrduGeoR 119:18  Merī āṅkhoṅ ko khol tāki terī sharīat ke ajāyb dekhūṅ.
Psal UrduGeoR 119:19  Duniyā meṅ maiṅ pardesī hī hūṅ. Apne ahkām mujh se chhupāe na rakh!
Psal UrduGeoR 119:20  Merī jān har waqt terī hidāyāt kī ārzū karte karte niḍhāl ho rahī hai.
Psal UrduGeoR 119:21  Tū maġhrūroṅ ko ḍānṭtā hai. Un par lānat jo tere ahkām se bhaṭak jāte haiṅ!
Psal UrduGeoR 119:22  Mujhe logoṅ kī tauhīn aur tahqīr se rihāī de, kyoṅki maiṅ tere ahkām ke tābe rahā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:23  Go buzurg mere ḳhilāf mansūbe bāndhne ke lie baiṭh gae haiṅ, terā ḳhādim tere ahkām meṅ mahw-e-ḳhyāl rahtā hai.
Psal UrduGeoR 119:24  Tere ahkām se hī maiṅ lutf uṭhātā hūṅ, wuhī mere mushīr haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:25  Merī jān ḳhāk meṅ dab gaī hai. Apne kalām ke mutābiq merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:26  Maiṅ ne apnī rāheṅ bayān kīṅ to tū ne merī sunī. Mujhe apne ahkām sikhā.
Psal UrduGeoR 119:27  Mujhe apne ahkām kī rāh samajhne ke qābil banā tāki tere ajāyb meṅ mahw-e-ḳhyāl rahūṅ.
Psal UrduGeoR 119:28  Merī jān dukh ke māre niḍhāl ho gaī hai. Mujhe apne kalām ke mutābiq taqwiyat de.
Psal UrduGeoR 119:29  Fareb kī rāh mujh se dūr rakh aur mujhe apnī sharīat se nawāz.
Psal UrduGeoR 119:30  Maiṅ ne wafā kī rāh iḳhtiyār karke tere āīn apne sāmne rakhe haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:31  Maiṅ tere ahkām se lipṭā rahtā hūṅ. Ai Rab, mujhe sharmindā na hone de.
Psal UrduGeoR 119:32  Maiṅ tere farmānoṅ kī rāh par dauṛtā hūṅ, kyoṅki tū ne mere dil ko kushādagī baḳhshī hai.
Psal UrduGeoR 119:33  Ai Rab, mujhe apne āīn kī rāh sikhā to maiṅ umr-bhar un par amal karūṅga.
Psal UrduGeoR 119:34  Mujhe samajh atā kar tāki terī sharīat ke mutābiq zindagī guzārūṅ aur pūre dil se us ke tābe rahūṅ.
Psal UrduGeoR 119:35  Apne ahkām kī rāh par merī rāhnumāī kar, kyoṅki yihī maiṅ pasand kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:36  Mere dil ko lālach meṅ āne na de balki use apne farmānoṅ kī taraf māyl kar.
Psal UrduGeoR 119:37  Merī āṅkhoṅ ko bātil chīzoṅ se pher le, aur mujhe apnī rāhoṅ par saṅbhāl kar merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:38  Jo wādā tū ne apne ḳhādim se kiyā wuh pūrā kar tāki log terā ḳhauf māneṅ.
Psal UrduGeoR 119:39  Jis ruswāī se mujhe ḳhauf hai us kā ḳhatrā dūr kar, kyoṅki tere ahkām achchhe haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:40  Maiṅ terī hidāyāt kā shadīd ārzūmand hūṅ, apnī rāstī se merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:41  Ai Rab, terī shafqat aur wuh najāt jis kā wādā tū ne kiyā hai mujh tak pahuṅche
Psal UrduGeoR 119:42  tāki maiṅ be'izzatī karne wāle ko jawāb de sakūṅ. Kyoṅki maiṅ tere kalām par bharosā rakhtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:43  Mere muṅh se sachchāī kā kalām na chhīn, kyoṅki maiṅ tere farmānoṅ ke intazār meṅ hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:44  Maiṅ har waqt terī sharīat kī pairawī karūṅga, ab se abad tak us meṅ qāym rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 119:45  Maiṅ khule maidān meṅ chaltā phirūṅga, kyoṅki tere āīn kā tālib rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:46  Maiṅ sharm kie baġhair bādshāhoṅ ke sāmne tere ahkām bayān karūṅga.
Psal UrduGeoR 119:47  Maiṅ tere farmānoṅ se lutfandoz hotā hūṅ, wuh mujhe pyāre haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:48  Maiṅ apne hāth tere farmānoṅ kī taraf uṭhāūṅgā, kyoṅki wuh mujhe pyāre haiṅ. Maiṅ terī hidāyāt meṅ mahw-e-ḳhyāl rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 119:49  Us bāt kā ḳhayāl rakh jo tū ne apne ḳhādim se kī aur jis se tū ne mujhe ummīd dilāī hai.
Psal UrduGeoR 119:50  Musībat meṅ yihī tasallī kā bāis rahā hai ki terā kalām merī jān ko tāzādam kartā hai.
Psal UrduGeoR 119:51  Maġhrūr merā had se zyādā mazāq uṛāte haiṅ, lekin maiṅ terī sharīat se dūr nahīṅ hotā.
Psal UrduGeoR 119:52  Ai Rab, maiṅ tere qadīm farmān yād kartā hūṅ to mujhe tasallī miltī hai.
Psal UrduGeoR 119:53  Bedīnoṅ ko dekh kar maiṅ āg-bagūlā ho jātā hūṅ, kyoṅki unhoṅ ne terī sharīat ko tark kiyā hai.
Psal UrduGeoR 119:54  Jis ghar meṅ maiṅ pardesī hūṅ us meṅ maiṅ tere ahkām ke gīt gātā rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:55  Ai Rab, rāt ko maiṅ terā nām yād kartā hūṅ, terī sharīat par amal kartā rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:56  Yih terī baḳhshish hai ki maiṅ tere āīn kī pairawī kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:57  Rab merī mīrās hai. Maiṅ ne tere farmānoṅ par amal karne kā wādā kiyā hai.
Psal UrduGeoR 119:58  Maiṅ pūre dil se terī shafqat kā tālib rahā hūṅ. Apne wāde ke mutābiq mujh par mehrbānī kar.
Psal UrduGeoR 119:59  Maiṅ ne apnī rāhoṅ par dhyān de kar tere ahkām kī taraf qadam baṛhāe haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:60  Maiṅ nahīṅ jhijaktā balki bhāg kar tere ahkām par amal karne kī koshish kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:61  Bedīnoṅ ke rassoṅ ne mujhe jakaṛ liyā hai, lekin maiṅ terī sharīat nahīṅ bhūltā.
Psal UrduGeoR 119:62  Ādhī rāt ko maiṅ jāg uṭhtā hūṅ tāki tere rāst farmānoṅ ke lie terā shukr karūṅ.
Psal UrduGeoR 119:63  Maiṅ un sab kā sāthī hūṅ jo terā ḳhauf mānte haiṅ, un sab kā dost jo terī hidāyāt par amal karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:64  Ai Rab, duniyā terī shafqat se māmūr hai. Mujhe apne ahkām sikhā!
Psal UrduGeoR 119:65  Ai Rab, tū ne apne kalām ke mutābiq apne ḳhādim se bhalāī kī hai.
Psal UrduGeoR 119:66  Mujhe sahīh imtiyāz aur irfān sikhā, kyoṅki maiṅ tere ahkām par īmān rakhtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:67  Is se pahle ki mujhe past kiyā gayā maiṅ āwārā phirtā thā, lekin ab maiṅ tere kalām ke tābe rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:68  Tū bhalā hai aur bhalāī kartā hai. Mujhe apne āīn sikhā!
Psal UrduGeoR 119:69  Maġhrūroṅ ne jhūṭ bol kar mujh par kīchaṛ uchhālī hai, lekin maiṅ pūre dil se terī hidāyāt kī farmāṅbardārī kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:70  Un ke dil akaṛ kar behis ho gae haiṅ, lekin maiṅ terī sharīat se lutfandoz hotā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:71  Mere lie achchhā thā ki mujhe past kiyā gayā, kyoṅki is tarah maiṅ ne tere ahkām sīkh lie.
Psal UrduGeoR 119:72  Jo sharīat tere muṅh se sādir huī hai wuh mujhe sone-chāṅdī ke hazāroṅ sikkoṅ se zyādā pasand hai.
Psal UrduGeoR 119:73  Tere hāthoṅ ne mujhe banā kar mazbūt buniyād par rakh diyā hai. Mujhe samajh atā farmā tāki tere ahkām sīkh lūṅ.
Psal UrduGeoR 119:74  Jo terā ḳhauf mānte haiṅ wuh mujhe dekh kar ḳhush ho jāeṅ, kyoṅki maiṅ tere kalām ke intazār meṅ rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:75  Ai Rab, maiṅ ne jān liyā hai ki tere faisle rāst haiṅ. Yih bhī terī wafādārī kā izhār hai ki tū ne mujhe past kiyā hai.
Psal UrduGeoR 119:76  Terī shafqat mujhe tasallī de, jis tarah tū ne apne ḳhādim se wādā kiyā hai.
Psal UrduGeoR 119:77  Mujh par apne rahm kā izhār kar tāki merī jān meṅ jān āe, kyoṅki maiṅ terī sharīat se lutfandoz hotā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:78  Jo maġhrūr mujhe jhūṭ se past kar rahe haiṅ wuh sharmindā ho jāeṅ. Lekin maiṅ tere farmānoṅ meṅ mahw-e-ḳhyāl rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 119:79  Kāsh jo terā ḳhauf mānte aur tere ahkām jānte haiṅ wuh mere pās wāpas āeṅ!
Psal UrduGeoR 119:80  Merā dil tere āīn kī pairawī karne meṅ be'ilzām rahe tāki merī ruswāī na ho jāe.
Psal UrduGeoR 119:81  Merī jān terī najāt kī ārzū karte karte niḍhāl ho rahī hai, maiṅ tere kalām ke intazār meṅ hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:82  Merī āṅkheṅ tere wāde kī rāh deḳhte deḳhte dhundlā rahī haiṅ. Tū mujhe kab tasallī degā?
Psal UrduGeoR 119:83  Maiṅ dhueṅ meṅ sukaṛī huī mashk kī mānind hūṅ lekin tere farmānoṅ ko nahīṅ bhūltā.
Psal UrduGeoR 119:84  Tere ḳhādim ko mazīd kitnī der intazār karnā paṛegā? Tū merā tāqqub karne wāloṅ kī adālat kab karegā?
Psal UrduGeoR 119:85  Jo maġhrūr terī sharīat ke tābe nahīṅ hote unhoṅ ne mujhe phaṅsāne ke lie gaṛhe khod lie haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:86  Tere tamām ahkām purwafā haiṅ. Merī madad kar, kyoṅki wuh jhūṭ kā sahārā le kar merā tāqqub kar rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:87  Wuh mujhe rū-e-zamīn par se miṭāne ke qarīb hī haiṅ, lekin maiṅ ne tere āīn ko tark nahīṅ kiyā.
Psal UrduGeoR 119:88  Apnī shafqat kā izhār karke merī jān ko tāzādam kar tāki tere muṅh ke farmānoṅ par amal karūṅ.
Psal UrduGeoR 119:89  Ai Rab, terā kalām abad tak āsmān par qāym-o-dāym hai.
Psal UrduGeoR 119:90  Terī wafādārī pusht-dar-pusht rahtī hai. Tū ne zamīn kī buniyād rakhī, aur wuh wahīṅ kī wahīṅ barqarār rahtī hai.
Psal UrduGeoR 119:91  Āj tak āsmān-o-zamīn tere farmānoṅ ko pūrā karne ke lie hāzir rahte haiṅ, kyoṅki tamām chīzeṅ terī ḳhidmat karne ke lie banāī gaī haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:92  Agar terī sharīat merī ḳhushī na hotī to maiṅ apnī musībat meṅ halāk ho gayā hotā.
Psal UrduGeoR 119:93  Maiṅ terī hidāyāt kabhī nahīṅ bhūlūṅgā, kyoṅki unhīṅ ke zariye tū merī jān ko tāzādam kartā hai.
Psal UrduGeoR 119:94  Maiṅ terā hī hūṅ, mujhe bachā! Kyoṅki maiṅ tere ahkām kā tālib rahā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:95  Bedīn merī tāk meṅ baiṭh gae haiṅ tāki mujhe mār ḍāleṅ, lekin maiṅ tere āīn par dhyān detā rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 119:96  Maiṅ ne dekhā hai ki har kāmil chīz kī had hotī hai, lekin tere farmān kī koī had nahīṅ hotī.
Psal UrduGeoR 119:97  Terī sharīat mujhe kitnī pyārī hai! Din-bhar maiṅ us meṅ mahw-e-ḳhyāl rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:98  Terā farmān mujhe mere dushmanoṅ se zyādā dānishmand banā detā hai, kyoṅki wuh hameshā tak merā ḳhazānā hai.
Psal UrduGeoR 119:99  Mujhe apne tamām ustādoṅ se zyādā samajh hāsil hai, kyoṅki maiṅ tere āīn meṅ mahw-e-ḳhyāl rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:100  Mujhe buzurgoṅ se zyādā samajh hāsil hai, kyoṅki maiṅ wafādārī se tere ahkām kī pairawī kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:101  Maiṅ ne har burī rāh par qadam rakhne se gurez kiyā hai tāki tere kalām se lipṭā rahūṅ.
Psal UrduGeoR 119:102  Maiṅ tere farmānoṅ se dūr nahīṅ huā, kyoṅki tū hī ne mujhe tālīm dī hai.
Psal UrduGeoR 119:103  Terā kalām kitnā lazīz hai, wuh mere muṅh meṅ shahd se zyādā mīṭhā hai.
Psal UrduGeoR 119:104  Tere ahkām se mujhe samajh hāsil hotī hai, is lie maiṅ jhūṭ kī har rāh se nafrat kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:105  Terā kalām mere pāṅwoṅ ke lie charāġh hai jo merī rāh ko raushan kartā hai.
Psal UrduGeoR 119:106  Maiṅ ne qasam khāī hai ki tere rāst farmānoṅ kī pairawī karūṅga, aur maiṅ yih wādā pūrā bhī karūṅga.
Psal UrduGeoR 119:107  Mujhe bahut past kiyā gayā hai. Ai Rab, apne kalām ke mutābiq merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:108  Ai Rab, mere muṅh kī razākārānā qurbāniyoṅ ko pasand kar aur mujhe apne āīn sikhā!
Psal UrduGeoR 119:109  Merī jān hameshā ḳhatre meṅ hai, lekin maiṅ terī sharīat nahīṅ bhūltā.
Psal UrduGeoR 119:110  Bedīnoṅ ne mere lie phandā taiyār kar rakhā hai, lekin maiṅ tere farmānoṅ se nahīṅ bhaṭkā.
Psal UrduGeoR 119:111  Tere ahkām merī abadī mīrās ban gae haiṅ, kyoṅki un se merā dil ḳhushī se uchhaltā hai.
Psal UrduGeoR 119:112  Maiṅ ne apnā dil tere ahkām par amal karne kī taraf māyl kiyā hai, kyoṅki is kā ajr abadī hai.
Psal UrduGeoR 119:113  Maiṅ dodiloṅ se nafrat lekin terī sharīat se muhabbat kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:114  Tū merī panāhgāh aur merī ḍhāl hai, maiṅ tere kalām ke intazār meṅ rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:115  Ai badkāro, mujh se dūr ho jāo, kyoṅki maiṅ apne Ḳhudā ke ahkām se lipṭā rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 119:116  Apne farmān ke mutābiq mujhe saṅbhāl tāki zindā rahūṅ. Merī ās ṭūṭne na de tāki sharmindā na ho jāūṅ.
Psal UrduGeoR 119:117  Merā sahārā ban tāki bach kar har waqt tere āīn kā lihāz rakhūṅ.
Psal UrduGeoR 119:118  Tū un sab ko radd kartā hai jo tere ahkām se bhaṭke phirte haiṅ, kyoṅki un kī dhokebāzī fareb hī hai.
Psal UrduGeoR 119:119  Tū zamīn ke tamām bedīnoṅ ko nāpāk chāṅdī se ḳhārij kī huī mail kī tarah phaiṅk kar nest kar detā hai, is lie tere farmān mujhe pyāre haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:120  Merā jism tujh se dahshat khā kar thartharātā hai, aur maiṅ tere faisloṅ se ḍartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:121  Maiṅ ne rāst aur bā-insāf kām kiyā hai, chunāṅche mujhe un ke hawāle na kar jo mujh par zulm karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:122  Apne ḳhādim kī ḳhushhālī kā zāmin ban kar maġhrūroṅ ko mujh par zulm karne na de.
Psal UrduGeoR 119:123  Merī āṅkheṅ terī najāt aur tere rāst wāde kī rāh deḳhte deḳhte rah gaī haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:124  Apne ḳhādim se terā sulūk terī shafqat ke mutābiq ho. Mujhe apne ahkām sikhā.
Psal UrduGeoR 119:125  Maiṅ terā hī ḳhādim hūṅ. Mujhe fahm atā farmā tāki tere āīn kī pūrī samajh āe.
Psal UrduGeoR 119:126  Ab waqt ā gayā hai ki Rab qadam uṭhāe, kyoṅki logoṅ ne terī sharīat ko toṛ ḍālā hai.
Psal UrduGeoR 119:127  Is lie maiṅ tere ahkām ko sone balki ḳhālis sone se zyādā pyār kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:128  Is lie maiṅ ehtiyāt se tere tamām āīn ke mutābiq zindagī guzārtā hūṅ. Maiṅ har farebdeh rāh se nafrat kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:129  Tere ahkām tājjubangez haiṅ, is lie merī jān un par amal kartī hai.
Psal UrduGeoR 119:130  Tere kalām kā inkishāf raushnī baḳhshtā aur sādālauh ko samajh atā kartā hai.
Psal UrduGeoR 119:131  Maiṅ tere farmānoṅ ke lie itnā pyāsā hūṅ ki muṅh khol kar hāṅp rahā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:132  Merī taraf rujū farmā aur mujh par wuhī mehrbānī kar jo tū un sab par kartā hai jo tere nām se pyār karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:133  Apne kalām se mere qadam mazbūt kar, kisī bhī gunāh ko mujh par hukūmat na karne de.
Psal UrduGeoR 119:134  Fidyā de kar mujhe insān ke zulm se chhuṭkārā de tāki maiṅ tere ahkām ke tābe rahūṅ.
Psal UrduGeoR 119:135  Apne chehre kā nūr apne ḳhādim par chamkā aur mujhe apne ahkām sikhā.
Psal UrduGeoR 119:136  Merī āṅkhoṅ se āṅsuoṅ kī nadiyāṅ bah rahī haiṅ, kyoṅki log terī sharīat ke tābe nahīṅ rahte.
Psal UrduGeoR 119:137  Ai Rab, tū rāst hai, aur tere faisle durust haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:138  Tū ne rāstī aur baṛī wafādārī ke sāth apne farmān jārī kie haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:139  Merī jān ġhairat ke bāis tabāh ho gaī hai, kyoṅki mere dushman tere farmān bhūl gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:140  Terā kalām āzmā kar pāk-sāf sābit huā hai, terā ḳhādim use pyār kartā hai.
Psal UrduGeoR 119:141  Mujhe zalīl aur haqīr jānā jātā hai, lekin maiṅ tere āīn nahīṅ bhūltā.
Psal UrduGeoR 119:142  Terī rāstī abadī hai, aur terī sharīat sachchāī hai.
Psal UrduGeoR 119:143  Musībat aur pareshānī mujh par ġhālib ā gaī haiṅ, lekin maiṅ tere ahkām se lutfandoz hotā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:144  Tere ahkām abad tak rāst haiṅ. Mujhe samajh atā farmā tāki maiṅ jītā rahūṅ.
Psal UrduGeoR 119:145  Maiṅ pūre dil se pukārtā hūṅ, “Ai Rab, merī sun! Maiṅ tere āīn ke mutābiq zindagī guzārūṅga.”
Psal UrduGeoR 119:146  Maiṅ pukārtā hūṅ, “Mujhe bachā! Maiṅ tere ahkām kī pairawī karūṅga.”
Psal UrduGeoR 119:147  Pau phaṭne se pahle pahle maiṅ uṭh kar madad ke lie pukārtā hūṅ. Maiṅ tere kalām ke intazār meṅ hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:148  Rāt ke waqt hī merī āṅkheṅ khul jātī haiṅ tāki tere kalām par ġhaur-o-ḳhauz karūṅ.
Psal UrduGeoR 119:149  Apnī shafqat ke mutābiq merī āwāz sun! Ai Rab, apne farmānoṅ ke mutābiq merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:150  Jo chālākī se merā tāqqub kar rahe haiṅ wuh qarīb pahuṅch gae haiṅ. Lekin wuh terī sharīat se intahāī dūr haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:151  Ai Rab, tū qarīb hī hai, aur tere ahkām sachchāī haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:152  Baṛī der pahle mujhe tere farmānoṅ se mālūm huā hai ki tū ne unheṅ hameshā ke lie qāym rakhā hai.
Psal UrduGeoR 119:153  Merī musībat kā ḳhayāl karke mujhe bachā! Kyoṅki maiṅ terī sharīat nahīṅ bhūltā.
Psal UrduGeoR 119:154  Adālat meṅ mere haq meṅ laṛ kar merā ewazānā de tāki merī jān chhūṭ jāe. Apne wāde ke mutābiq merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:155  Najāt bedīnoṅ se bahut dūr hai, kyoṅki wuh tere ahkām ke tālib nahīṅ hote.
Psal UrduGeoR 119:156  Ai Rab, tū muta'addid tarīqoṅ se apne rahm kā izhār kartā hai. Apne āīn ke mutābiq merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:157  Merā tāqqub karne wāloṅ aur mere dushmanoṅ kī baṛī tādād hai, lekin maiṅ tere ahkām se dūr nahīṅ huā.
Psal UrduGeoR 119:158  Bewafāoṅ ko dekh kar mujhe ghin ātī hai, kyoṅki wuh tere kalām ke mutābiq zindagī nahīṅ guzārte.
Psal UrduGeoR 119:159  Dekh, mujhe tere ahkām se pyār hai. Ai Rab, apnī shafqat ke mutābiq merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:160  Tere kalām kā lubb-e-lubāb sachchāī hai, tere tamām rāst farmān abad tak qāym haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:161  Sardār bilāwajah merā pīchhā karte haiṅ, lekin merā dil tere kalām se hī ḍartā hai.
Psal UrduGeoR 119:162  Maiṅ tere kalām kī ḳhushī us kī tarah manātā hūṅ jise kasrat kā māl-e-ġhanīmat mil gayā ho.
Psal UrduGeoR 119:163  Maiṅ jhūṭ se nafrat kartā balki ghin khātā hūṅ, lekin terī sharīat mujhe pyārī hai.
Psal UrduGeoR 119:164  Maiṅ din meṅ sāt bār terī satāish kartā hūṅ, kyoṅki tere ahkām rāst haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:165  Jinheṅ sharīat pyārī hai unheṅ baṛā sukūn hāsil hai, wuh kisī bhī chīz se ṭhokar khā kar nahīṅ gireṅge.
Psal UrduGeoR 119:166  Ai Rab, maiṅ terī najāt ke intazār meṅ rahte hue tere ahkām kī pairawī kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:167  Merī jān tere farmānoṅ se lipṭī rahtī hai, wuh use nihāyat pyāre haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:168  Maiṅ tere āīn aur hidāyāt kī pairawī kartā hūṅ, kyoṅki merī tamām rāheṅ tere sāmne haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:169  Ai Rab, merī āheṅ tere sāmne āeṅ, mujhe apne kalām ke mutābiq samajh atā farmā.
Psal UrduGeoR 119:170  Merī iltijāeṅ tere sāmne āeṅ, mujhe apne kalām ke mutābiq chhuṛā!
Psal UrduGeoR 119:171  Mere hoṅṭoṅ se hamd-o-sanā phūṭ nikle, kyoṅki tū mujhe apne ahkām sikhātā hai.
Psal UrduGeoR 119:172  Merī zabān tere kalām kī madahsarāī kare, kyoṅki tere tamām farmān rāst haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:173  Terā hāth merī madad karne ke lie taiyār rahe, kyoṅki maiṅ ne tere ahkām iḳhtiyār kie haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:174  Ai Rab, maiṅ terī najāt kā ārzūmand hūṅ, terī sharīat se lutfandoz hotā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:175  Merī jān zindā rahe tāki terī satāish kar sake. Tere āīn merī madad kareṅ.
Psal UrduGeoR 119:176  Maiṅ bhaṭkī huī bheṛ kī tarah āwārā phir rahā hūṅ. Apne ḳhādim ko talāsh kar, kyoṅki maiṅ tere ahkām nahīṅ bhūltā.