PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 41
Psal | UrduGeoR | 41:1 | Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Mubārak hai wuh jo pasthāl kā ḳhayāl rakhtā hai. Musībat ke din Rab use chhuṭkārā degā. | |
Psal | UrduGeoR | 41:2 | Rab us kī hifāzat karke us kī zindagī ko mahfūz rakhegā, wuh mulk meṅ use barkat de kar use us ke dushmanoṅ ke lālach ke hawāle nahīṅ karegā. | |
Psal | UrduGeoR | 41:3 | Bīmārī ke waqt Rab us ko bistar par saṅbhālegā. Tū us kī sehhat pūrī tarah bahāl karegā. | |
Psal | UrduGeoR | 41:4 | Maiṅ bolā, “Ai Rab, mujh par rahm kar! Mujhe shifā de, kyoṅki maiṅ ne terā hī gunāh kiyā hai.” | |
Psal | UrduGeoR | 41:5 | Mere dushman mere bāre meṅ ġhalat bāteṅ karke kahte haiṅ, “Wuh kab maregā? Us kā nām-o-nishān kab miṭegā?” | |
Psal | UrduGeoR | 41:6 | Jab kabhī koī mujh se milne āe to us kā dil jhūṭ boltā hai. Pas-e-pardā wuh aisī nuqsāndeh mālūmāt jamā kartā hai jinheṅ bād meṅ bāhar jā kar galiyoṅ meṅ phailā sake. | |
Psal | UrduGeoR | 41:7 | Mujh se nafrat karne wāle sab āpas meṅ mere ḳhilāf phusphusāte haiṅ. Wuh mere ḳhilāf bure mansūbe bāndh kar kahte haiṅ, | |
Psal | UrduGeoR | 41:8 | “Use mohlak marz lag gayā hai. Wuh kabhī apne bistar par se dubārā nahīṅ uṭhegā.” | |
Psal | UrduGeoR | 41:9 | Merā dost bhī mere ḳhilāf uṭh khaṛā huā hai. Jis par maiṅ etamād kartā thā aur jo merī roṭī khātā thā, us ne mujh par lāt uṭhāī hai. | |
Psal | UrduGeoR | 41:10 | Lekin tū ai Rab, mujh par mehrbānī kar! Mujhe dubārā uṭhā khaṛā kar tāki unheṅ un ke sulūk kā badlā de sakūṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 41:11 | Is se maiṅ jāntā hūṅ ki tū mujh se ḳhush hai ki merā dushman mujh par fatah ke nāre nahīṅ lagātā. | |
Psal | UrduGeoR | 41:12 | Tū ne mujhe merī diyānatdārī ke bāis qāym rakhā aur hameshā ke lie apne huzūr khaṛā kiyā hai. | |