Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 52
Psal UrduGeoR 52:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Hikmat kā yih gīt us waqt se mutālliq hai jab Doeg Adomī Sāūl Bādshāh ke pās gayā aur use batāyā, “Dāūd Aḳhīmalik Imām ke ghar meṅ gayā hai.” Ai sūrme, tū apnī badī par kyoṅ faḳhr kartā hai? Allāh kī shafqat din-bhar qāym rahtī hai.
Psal UrduGeoR 52:2  Ai dhokebāz, terī zabān tez ustre kī tarah chaltī huī tabāhī ke mansūbe bāndhtī hai.
Psal UrduGeoR 52:3  Tujhe bhalāī kī nisbat burāī zyādā pyārī hai, sach bolne kī nisbat jhūṭ zyādā pasand hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 52:4  Ai farebdeh zabān, tū har tabāhkun bāt se pyār kartī hai.
Psal UrduGeoR 52:5  Lekin Allāh tujhe hameshā ke lie ḳhāk meṅ milāegā. Wuh tujhe mār mār kar tere ḳhaime se nikāl degā, tujhe jaṛ se ukhāṛ kar zindoṅ ke mulk se ḳhārij kar degā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 52:6  Rāstbāz yih dekh kar ḳhauf khāeṅge. Wuh us par haṅs kar kaheṅge,
Psal UrduGeoR 52:7  “Lo, yih wuh ādmī hai jis ne Allāh meṅ panāh na lī balki apnī baṛī daulat par etamād kiyā, jo apne tabāhkun mansūboṅ se tāqatwar ho gayā thā.”
Psal UrduGeoR 52:8  Lekin maiṅ Allāh ke ghar meṅ zaitūn ke phalte-phūlte daraḳht kī mānind hūṅ. Maiṅ hameshā ke lie Allāh kī shafqat par bharosā rakhūṅgā.
Psal UrduGeoR 52:9  Maiṅ abad tak us ke lie terī satāish karūṅga jo tū ne kiyā hai. Maiṅ tere īmāndāroṅ ke sāmne hī tere nām ke intazār meṅ rahūṅgā, kyoṅki wuh bhalā hai.