Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 55
Psal UrduGeoR 55:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Hikmat kā yih gīt tārdār sāzoṅ ke sāth gānā hai. Ai Allāh, merī duā par dhyān de, apne āp ko merī iltijā se chhupāe na rakh.
Psal UrduGeoR 55:2  Mujh par ġhaur kar, merī sun. Maiṅ bechainī se idhar-udhar ghūmte hue āheṅ bhar rahā hūṅ.
Psal UrduGeoR 55:3  Kyoṅki dushman shor machā rahā, bedīn mujhe tang kar rahā hai. Wuh mujh par āfat lāne par tule hue haiṅ, ġhusse meṅ merī muḳhālafat kar rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 55:4  Merā dil mere andar taṛap rahā hai, maut kī dahshat mujh par chhā gaī hai.
Psal UrduGeoR 55:5  Ḳhauf aur larzish mujh par tārī huī, haibat mujh par ġhālib ā gaī hai.
Psal UrduGeoR 55:6  Maiṅ bolā, “Kāsh mere kabūtar ke-se par hoṅ tāki uṛ kar ārām-o-sukūn pā sakūṅ!
Psal UrduGeoR 55:7  Tab maiṅ dūr tak bhāg kar registān meṅ baserā kartā,
Psal UrduGeoR 55:8  maiṅ jaldī se kahīṅ panāh letā jahāṅ tez āṅdhī aur tūfān se mahfūz rahtā.” (Silāh)
Psal UrduGeoR 55:9  Ai Rab, un meṅ abtarī paidā kar, un kī zabān meṅ iḳhtilāf ḍāl! Kyoṅki mujhe shahr meṅ har taraf zulm aur jhagaṛe nazar āte haiṅ.
Psal UrduGeoR 55:10  Din rāt wuh fasīl par chakkar kāṭte haiṅ, aur shahr fasād aur ḳharābī se bharā rahtā hai.
Psal UrduGeoR 55:11  Us ke bīch meṅ tabāhī kī hukūmat hai, aur zulm aur fareb us ke chauk ko nahīṅ chhoṛte.
Psal UrduGeoR 55:12  Agar koī dushman merī ruswāī kartā to qābil-e-bardāsht hotā. Agar mujh se nafrat karne wālā mujhe dabā kar apne āp ko sarfarāz kartā to maiṅ us se chhup jātā.
Psal UrduGeoR 55:13  Lekin tū hī ne yih kiyā, tū jo mujh jaisā hai, jo merā qarībī dost aur hamrāz hai.
Psal UrduGeoR 55:14  Merī tere sāth kitnī achchhī rifāqat thī jab ham hujūm ke sāth Allāh ke ghar kī taraf chalte gae.
Psal UrduGeoR 55:15  Maut achānak hī unheṅ apnī girift meṅ le le. Zindā hī wuh Pātāl meṅ utar jāeṅ, kyoṅki burāī ne un meṅ apnā ghar banā liyā hai.
Psal UrduGeoR 55:16  Lekin maiṅ pukār kar Allāh se madad māṅgtā hūṅ, aur Rab mujhe najāt degā.
Psal UrduGeoR 55:17  Maiṅ har waqt āh-o-zārī kartā aur karāhtā rahtā hūṅ, ḳhāh subah ho, ḳhāh dopahar yā shām. Aur wuh merī sunegā.
Psal UrduGeoR 55:18  Wuh fidyā de kar merī jān ko un se chhuṛāegā jo mere ḳhilāf laṛ rahe haiṅ. Go un kī tādād baṛī hai wuh mujhe ārām-o-sukūn degā.
Psal UrduGeoR 55:19  Allāh jo azal se taḳhtnashīn hai merī sun kar unheṅ munāsib jawāb degā. (Silāh) Kyoṅki na wuh tabdīl ho jāeṅge, na kabhī Allāh kā ḳhauf māneṅge.
Psal UrduGeoR 55:20  Us shaḳhs ne apnā hāth apne dostoṅ ke ḳhilāf uṭhāyā, us ne apnā ahd toṛ liyā hai.
Psal UrduGeoR 55:21  Us kī zabān par makkhan kī-sī chiknī-chupṛī bāteṅ aur dil meṅ jang hai. Us ke tel se zyādā narm alfāz haqīqat meṅ khīṅchī huī talwāreṅ haiṅ.
Psal UrduGeoR 55:22  Apnā bojh Rab par ḍāl to wuh tujhe saṅbhālegā. Wuh rāstbāz ko kabhī ḍagmagāne nahīṅ degā.
Psal UrduGeoR 55:23  Lekin ai Allāh, tū unheṅ tabāhī ke gaṛhe meṅ utarne degā. Ḳhūṅḳhār aur dhokebāz ādhī umr bhī nahīṅ pāeṅge balki jaldī mareṅge. Lekin maiṅ tujh par bharosā rakhtā hūṅ.