Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 109
Psal UrduGeoR 109:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Allāh mere faḳhr, ḳhāmosh na rah!
Psal UrduGeoR 109:2  Kyoṅki unhoṅ ne apnā bedīn aur farebdeh muṅh mere ḳhilāf khol kar jhūṭī zabān se mere sāth bāt kī hai.
Psal UrduGeoR 109:3  Wuh mujhe nafrat ke alfāz se gher kar bilāwajah mujh se laṛe haiṅ.
Psal UrduGeoR 109:4  Merī muhabbat ke jawāb meṅ wuh mujh par apnī dushmanī kā izhār karte haiṅ. Lekin duā hī merā sahārā hai.
Psal UrduGeoR 109:5  Merī nekī ke ewaz wuh mujhe nuqsān pahuṅchāte aur mere pyār ke badle mujh se nafrat karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 109:6  Ai Allāh, kisī bedīn ko muqarrar kar jo mere dushman ke ḳhilāf gawāhī de, koī muḳhālif us ke dahne hāth khaṛā ho jāe jo us par ilzām lagāe.
Psal UrduGeoR 109:7  Muqaddame meṅ use mujrim ṭhahrāyā jāe. Us kī duāeṅ bhī us ke gunāhoṅ meṅ shumār kī jāeṅ.
Psal UrduGeoR 109:8  Us kī zindagī muḳhtasar ho, koī aur us kī zimmedārī uṭhāe.
Psal UrduGeoR 109:9  Us kī aulād yatīm aur us kī bīwī bewā ban jāe.
Psal UrduGeoR 109:10  Us ke bachche āwārā phireṅ aur bhīk māṅgne par majbūr ho jāeṅ. Unheṅ un ke tabāhshudā gharoṅ se nikal kar idhar-udhar roṭī ḍhūṅḍnī paṛe.
Psal UrduGeoR 109:11  Jis se us ne qarzā liyā thā wuh us ke tamām māl par qabzā kare, aur ajnabī us kī mehnat kā phal lūṭ leṅ.
Psal UrduGeoR 109:12  Koī na ho jo us par mehrbānī kare yā us ke yatīmoṅ par rahm kare.
Psal UrduGeoR 109:13  Us kī aulād ko miṭāyā jāe, aglī pusht meṅ un kā nām-o-nishān tak na rahe.
Psal UrduGeoR 109:14  Rab us ke bāpdādā kī nāinsāfī kā lihāz kare, aur wuh us kī māṅ kī ḳhatā bhī darguzar na kare.
Psal UrduGeoR 109:15  Un kā burā kirdār Rab ke sāmne rahe, aur wuh un kī yād rū-e-zamīn par se miṭā ḍāle.
Psal UrduGeoR 109:16  Kyoṅki us ko kabhī mehrbānī karne kā ḳhayāl na āyā balki wuh musībatzadā, muhtāj aur shikastādil kā tāqqub kartā rahā tāki use mār ḍāle.
Psal UrduGeoR 109:17  Use lānat karne kā shauq thā, chunāṅche lānat usī par āe! Use barkat denā pasand nahīṅ thā, chunāṅche barkat us se dūr rahe.
Psal UrduGeoR 109:18  Us ne lānat chādar kī tarah oṛh lī, chunāṅche lānat pānī kī tarah us ke jism meṅ aur tel kī tarah us kī haḍḍiyoṅ meṅ sirāyat kar jāe.
Psal UrduGeoR 109:19  Wuh kapṛe kī tarah us se lipṭī rahe, paṭke kī tarah hameshā us se kamarbastā rahe.
Psal UrduGeoR 109:20  Rab mere muḳhālifoṅ ko aur unheṅ jo mere ḳhilāf burī bāteṅ karte haiṅ yihī sazā de.
Psal UrduGeoR 109:21  Lekin tū ai Rab Qādir-e-mutlaq, apne nām kī ḳhātir mere sāth mehrbānī kā sulūk kar. Mujhe bachā, kyoṅki terī hī shafqat tasallībaḳhsh hai.
Psal UrduGeoR 109:22  Kyoṅki maiṅ musībatzadā aur zarūratmand hūṅ. Merā dil mere andar majrūh hai.
Psal UrduGeoR 109:23  Shām ke ḍhalte sāy kī tarah maiṅ ḳhatm hone wālā hūṅ. Mujhe ṭiḍḍī kī tarah jhāṛ kar dūr kar diyā gayā hai.
Psal UrduGeoR 109:24  Rozā rakhte rakhte mere ghuṭne ḍagmagāne lage aur merā jism sūkh gayā hai.
Psal UrduGeoR 109:25  Maiṅ apne dushmanoṅ ke lie mazāq kā nishānā ban gayā hūṅ. Mujhe dekh kar wuh sar hilā kar “Taubā taubā” kahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 109:26  Ai Rab mere Ḳhudā, merī madad kar! Apnī shafqat kā izhār karke mujhe chhuṛā!
Psal UrduGeoR 109:27  Unheṅ patā chale ki yih tere hāth se pesh āyā hai, ki tū Rab hī ne yih sab kuchh kiyā hai.
Psal UrduGeoR 109:28  Jab wuh lānat kareṅ to mujhe barkat de! Jab wuh mere ḳhilāf uṭheṅ to baḳhsh de ki sharmindā ho jāeṅ jabki terā ḳhādim ḳhush ho.
Psal UrduGeoR 109:29  Mere muḳhālif ruswāī se mulabbas ho jāeṅ, unheṅ sharmindagī kī chādar oṛhnī paṛe.
Psal UrduGeoR 109:30  Maiṅ zor se Rab kī satāish karūṅga, bahutoṅ ke darmiyān us kī hamd karūṅga.
Psal UrduGeoR 109:31  Kyoṅki wuh muhtāj ke dahne hāth khaṛā rahtā hai tāki use un se bachāe jo use mujrim ṭhahrāte haiṅ.