Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 66
Psal UrduGeoR 66:1  Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Zabūr. Gīt. Ai sārī zamīn, ḳhushī ke nāre lagā kar Allāh kī madahsarāī kar!
Psal UrduGeoR 66:2  Us ke nām ke jalāl kī tamjīd karo, us kī satāish urūj tak le jāo!
Psal UrduGeoR 66:3  Allāh se kaho, “Tere kām kitne purjalāl haiṅ. Terī baṛī qudrat ke sāmne tere dushman dabak kar terī ḳhushāmad karne lagte haiṅ.
Psal UrduGeoR 66:4  Tamām duniyā tujhe sijdā kare! Wuh terī tārīf meṅ gīt gāe, tere nām kī satāish kare.” (Silāh)
Psal UrduGeoR 66:5  Āo, Allāh ke kām dekho! Ādamzād kī ḳhātir us ne kitne purjalāl mojize kie haiṅ!
Psal UrduGeoR 66:6  Us ne samundar ko ḳhushk zamīn meṅ badal diyā. Jahāṅ pahle pānī kā tez bahāw thā wahāṅ se log paidal hī guzare. Chunāṅche āo, ham us kī ḳhushī manāeṅ.
Psal UrduGeoR 66:7  Apnī qudrat se wuh abad tak hukūmat kartā hai. Us kī āṅkheṅ qaumoṅ par lagī rahtī haiṅ tāki sarkash us ke ḳhilāf na uṭheṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 66:8  Ai ummato, hamāre Ḳhudā kī hamd karo. Us kī satāish dūr tak sunāī de.
Psal UrduGeoR 66:9  Kyoṅki wuh hamārī zindagī qāym rakhtā, hamāre pāṅwoṅ ko ḍagmagāne nahīṅ detā.
Psal UrduGeoR 66:10  Kyoṅki ai Allāh, tū ne hameṅ āzmāyā. Jis tarah chāṅdī ko pighlā kar sāf kiyā jātā hai usī tarah tū ne hameṅ pāk-sāf kar diyā hai.
Psal UrduGeoR 66:11  Tū ne hameṅ jāl meṅ phaṅsā diyā, hamārī kamr par aziyatnāk bojh ḍāl diyā.
Psal UrduGeoR 66:12  Tū ne logoṅ ke rathoṅ ko hamāre saroṅ par se guzarne diyā, aur ham āg aur pānī kī zad meṅ ā gae. Lekin phir tū ne hameṅ musībat se nikāl kar farāwānī kī jagah pahuṅchāyā.
Psal UrduGeoR 66:13  Maiṅ bhasm hone wālī qurbāniyāṅ le kar tere ghar meṅ āūṅgā aur tere huzūr apnī mannateṅ pūrī karūṅga,
Psal UrduGeoR 66:14  wuh mannateṅ jo mere muṅh ne musībat ke waqt mānī thīṅ.
Psal UrduGeoR 66:15  Bhasm hone wālī qurbānī ke taur par maiṅ tujhe moṭī-tāzī bheṛeṅ aur menḍhoṅ kā dhuāṅ pesh karūṅga, sāth sāth bail aur bakre bhī chaṛhāūṅgā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 66:16  Ai Allāh kā ḳhauf mānane wālo, āo aur suno! Jo kuchh Allāh ne merī jān ke lie kiyā wuh tumheṅ sunāūṅgā.
Psal UrduGeoR 66:17  Maiṅ ne apne muṅh se use pukārā, lekin merī zabān us kī tārīf karne ke lie taiyār thī.
Psal UrduGeoR 66:18  Agar maiṅ dil meṅ gunāh kī parwarish kartā to Rab merī na suntā.
Psal UrduGeoR 66:19  Lekin yaqīnan Rab ne merī sunī, us ne merī iltijā par tawajjuh dī.
Psal UrduGeoR 66:20  Allāh kī hamd ho, jis ne na merī duā radd kī, na apnī shafqat mujh se bāz rakhī.