Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 21
Psal UrduGeoR 21:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Rab, bādshāh terī quwwat dekh kar shādmān hai, wuh terī najāt kī kitnī baṛī ḳhushī manātā hai.
Psal UrduGeoR 21:2  Tū ne us kī dilī ḳhāhish pūrī kī aur inkār na kiyā jab us kī ārzū ne hoṅṭoṅ par alfāz kā rūp dhārā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 21:3  Kyoṅki tū achchhī achchhī barkateṅ apne sāth le kar us se milne āyā, tū ne use ḳhālis sone kā tāj pahnāyā.
Psal UrduGeoR 21:4  Us ne tujh se zindagī pāne kī ārzū kī to tū ne use umr kī darāzī baḳhshī, mazīd itne din ki un kī intahā nahīṅ.
Psal UrduGeoR 21:5  Terī najāt se use baṛī izzat hāsil huī, tū ne use shān-o-shaukat se ārāstā kiyā.
Psal UrduGeoR 21:6  Kyoṅki tū use abad tak barkat detā, use apne chehre ke huzūr lā kar nihāyat ḳhush kar detā hai.
Psal UrduGeoR 21:7  Kyoṅki bādshāh Rab par etamād kartā hai, Allāh T'ālā kī shafqat use ḍagmagāne se bachāegī.
Psal UrduGeoR 21:8  Tere dushman tere qabze meṅ ā jāeṅge, jo tujh se nafrat karte haiṅ unheṅ terā dahnā hāth pakaṛ legā.
Psal UrduGeoR 21:9  Jab tū un par zāhir hogā to wuh bhaṛaktī bhaṭṭī kī-sī musībat meṅ phaṅs jāeṅge. Rab apne ġhazab meṅ unheṅ haṛap kar legā, aur āg unheṅ khā jāegī.
Psal UrduGeoR 21:10  Tū un kī aulād ko rū-e-zamīn par se miṭā ḍālegā, insānoṅ meṅ un kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā.
Psal UrduGeoR 21:11  Go wuh tere ḳhilāf sāzisheṅ karte haiṅ to bhī un ke bure mansūbe nākām raheṅge.
Psal UrduGeoR 21:12  Kyoṅki tū unheṅ bhagā kar un ke chehroṅ ko apne tīroṅ kā nishānā banā degā.
Psal UrduGeoR 21:13  Ai Rab, uṭh aur apnī qudrat kā izhār kar tāki ham terī qudrat kī tamjīd meṅ sāz bajā kar gīt gāeṅ.