Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 144
Psal UrduGeoR 144:1  Dāūd kā zabūr. Rab merī chaṭān kī hamd ho, jo mere hāthoṅ ko laṛne aur merī ungliyoṅ ko jang karne kī tarbiyat detā hai.
Psal UrduGeoR 144:2  Wuh merī shafqat, merā qilā, merā najātdahindā aur merī ḍhāl hai. Usī meṅ maiṅ panāh letā hūṅ, aur wuhī dīgar aqwām ko mere tābe kar detā hai.
Psal UrduGeoR 144:3  Ai Rab, insān kaun hai ki tū us kā ḳhayāl rakhe? Ādamzād kaun hai ki tū us kā lihāz kare?
Psal UrduGeoR 144:4  Insān dam-bhar kā hī hai, us ke din tezī se guzarne wāle sāy kī mānind haiṅ.
Psal UrduGeoR 144:5  Ai Rab, apne āsmān ko jhukā kar utar ā! Pahāṛoṅ ko chhū tāki wuh dhuāṅ chhoṛeṅ.
Psal UrduGeoR 144:6  Bijlī bhej kar unheṅ muntashir kar, apne tīr chalā kar unheṅ darham-barham kar.
Psal UrduGeoR 144:7  Apnā hāth bulandiyoṅ se nīche baṛhā aur mujhe chhuṛā kar pānī kī gahrāiyoṅ aur pardesiyoṅ ke hāth se bachā,
Psal UrduGeoR 144:8  jin kā muṅh jhūṭ boltā aur dahnā hāth fareb detā hai.
Psal UrduGeoR 144:9  Ai Allāh, maiṅ terī tamjīd meṅ nayā gīt gāūṅgā, das tāroṅ kā sitār bajā kar terī madahsarāī karūṅga.
Psal UrduGeoR 144:10  Kyoṅki tū bādshāhoṅ ko najāt detā aur apne ḳhādim Dāūd ko mohlak talwār se bachātā hai.
Psal UrduGeoR 144:11  Mujhe chhuṛā kar pardesiyoṅ ke hāth se bachā, jin kā muṅh jhūṭ boltā aur dahnā hāth fareb detā hai.
Psal UrduGeoR 144:12  Hamāre beṭe jawānī meṅ phalne-phūlne wāle paudoṅ kī mānind hoṅ, hamārī beṭiyāṅ mahal ko sajāne ke lie tarāshe hue kone ke satūn kī mānind hoṅ.
Psal UrduGeoR 144:13  Hamāre godām bhare raheṅ aur har qism kī ḳhurāk muhaiyā kareṅ. Hamārī bheṛ-bakriyāṅ hamāre maidānoṅ meṅ hazāroṅ balki beshumār bachche janm deṅ.
Psal UrduGeoR 144:14  Hamāre gāy-bail moṭe-tāze hoṅ, aur na koī zāe ho jāe, na kisī ko nuqsān pahuṅche. Hamāre chaukoṅ meṅ āh-o-zārī kī āwāz sunāī na de.
Psal UrduGeoR 144:15  Mubārak hai wuh qaum jis par yih sab kuchh sādiq ātā hai, mubārak hai wuh qaum jis kā Ḳhudā Rab hai!