PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 53
Psal | UrduGeoR | 53:1 | Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Hikmat kā gīt. Tarz: Mahalat. Ahmaq dil meṅ kahtā hai, “Allāh hai hī nahīṅ!” Aise log badchalan haiṅ, un kī harkateṅ qābil-e-ghin haiṅ. Ek bhī nahīṅ hai jo achchhā kām kare. | |
Psal | UrduGeoR | 53:2 | Allāh ne āsmān se insān par nazar ḍālī tāki dekhe ki kyā koī samajhdār hai? Kyā koī Allāh kā tālib hai? | |
Psal | UrduGeoR | 53:3 | Afsos, sab sahīh rāh se bhaṭak gae. Sab ke sab bigaṛ gae haiṅ. Koī nahīṅ jo bhalāī kartā ho, ek bhī nahīṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 53:4 | Kyā jo badī karke merī qaum ko roṭī kī tarah khā lete haiṅ unheṅ samajh nahīṅ ātī? Wuh to Allāh ko pukārte hī nahīṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 53:5 | Tab un par saḳht dahshat wahāṅ chhā gaī jahāṅ pahle dahshat kā sabab nahīṅ thā. Jinhoṅ ne tujhe gher rakhā thā Allāh ne un kī haḍḍiyāṅ bikher dīṅ. Tū ne un ko ruswā kiyā, kyoṅki Allāh ne unheṅ radd kiyā hai. | |