PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 64
Psal | UrduGeoR | 64:1 | Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Allāh, sun jab maiṅ apnī āh-o-zārī pesh kartā hūṅ. Merī zindagī dushman kī dahshat se mahfūz rakh. | |
Psal | UrduGeoR | 64:2 | Mujhe badmāshoṅ kī sāzishoṅ se chhupāe rakh, un kī halchal se jo ġhalat kām karte haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 64:3 | Wuh apnī zabān ko talwār kī tarah tez karte aur apne zahrīle alfāz ko tīroṅ kī tarah taiyār rakhte haiṅ | |
Psal | UrduGeoR | 64:4 | tāki tāk meṅ baiṭh kar unheṅ bequsūr par chalāeṅ. Wuh achānak aur bebākī se unheṅ us par barsā dete haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 64:5 | Wuh burā kām karne meṅ ek dūsre kī hauslā-afzāī karte, ek dūsre se mashwarā lete haiṅ ki ham apne phande kis tarah chhupā kar lagāeṅ? Wuh kahte haiṅ, “Yih kisī ko bhī nazar nahīṅ āeṅge.” | |
Psal | UrduGeoR | 64:6 | Wuh baṛī bārīkī se bure mansūboṅ kī taiyāriyāṅ karte, phir kahte haiṅ, “Chalo, bāt ban gaī hai, mansūbā soch-bichār ke bād taiyār huā hai.” Yaqīnan insān ke bātin aur dil kī tah tak pahuṅchnā mushkil hī hai. | |
Psal | UrduGeoR | 64:8 | Wuh apnī hī zabān se ṭhokar khā kar gir jāeṅge. Jo bhī unheṅ dekhegā wuh “Taubā taubā” kahegā. | |
Psal | UrduGeoR | 64:9 | Tab tamām log ḳhauf khā kar kaheṅge, “Allāh hī ne yih kiyā!” Unheṅ samajh āegī ki yih usī kā kām hai. | |