PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 77
Psal | UrduGeoR | 77:1 | Āsaf kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Yadūtūn ke lie. Maiṅ Allāh se fariyād karke madad ke lie chillātā hūṅ, maiṅ Allāh ko pukārtā hūṅ ki mujh par dhyān de. | |
Psal | UrduGeoR | 77:2 | Apnī musībat meṅ maiṅ ne Rab ko talāsh kiyā. Rāt ke waqt mere hāth bilānāġhā us kī taraf uṭhe rahe. Merī jān ne tasallī pāne se inkār kiyā. | |
Psal | UrduGeoR | 77:3 | Maiṅ Allāh ko yād kartā hūṅ to āheṅ bharne lagtā hūṅ, maiṅ soch-bichār meṅ paṛ jātā hūṅ to rūh niḍhāl ho jātī hai. (Silāh) | |
Psal | UrduGeoR | 77:4 | Tū merī āṅkhoṅ ko band hone nahīṅ detā. Maiṅ itnā bechain hūṅ ki bol bhī nahīṅ saktā. | |
Psal | UrduGeoR | 77:5 | Maiṅ qadīm zamāne par ġhaur kartā hūṅ, un sāloṅ par jo baṛī der hue guzar gae haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 77:6 | Rāt ko maiṅ apnā gīt yād kartā hūṅ. Merā dil mahw-e-ḳhyāl rahtā aur merī rūh taftīsh kartī rahtī hai. | |
Psal | UrduGeoR | 77:8 | Kyā us kī shafqat hameshā ke lie jātī rahī hai? Kyā us ke wāde ab se jawāb de gae haiṅ? | |
Psal | UrduGeoR | 77:9 | Kyā Allāh mehrbānī karnā bhūl gayā hai? Kyā us ne ġhusse meṅ apnā rahm bāz rakhā hai?” (Silāh) | |
Psal | UrduGeoR | 77:12 | Jo kuchh tū ne kiyā us ke har pahlū par ġhaur-o-ḳhauz karūṅga, tere azīm kāmoṅ meṅ mahw-e-ḳhyāl rahūṅgā. | |
Psal | UrduGeoR | 77:14 | Tū hī mojize karne wālā Ḳhudā hai. Aqwām ke darmiyān tū ne apnī qudrat kā izhār kiyā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 77:15 | Baṛī quwwat se tū ne ewazānā de kar apnī qaum, Yāqūb aur Yūsuf kī aulād ko rihā kar diyā hai. (Silāh) | |
Psal | UrduGeoR | 77:16 | Ai Allāh, pānī ne tujhe dekhā, pānī ne tujhe dekhā to taṛapne lagā, gahrāiyoṅ tak larazne lagā. | |
Psal | UrduGeoR | 77:18 | Āṅdhī meṅ terī āwāz kaṛaktī rahī, duniyā bijliyoṅ se raushan huī, zamīn kāṅptī kāṅptī uchhal paṛī. | |
Psal | UrduGeoR | 77:19 | Terī rāh samundar meṅ se, terā rāstā gahre pānī meṅ se guzarā, to bhī tere naqsh-e-qadam kisī ko nazar na āe. | |