Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 77
Psal UrduGeoR 77:1  Āsaf kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Yadūtūn ke lie. Maiṅ Allāh se fariyād karke madad ke lie chillātā hūṅ, maiṅ Allāh ko pukārtā hūṅ ki mujh par dhyān de.
Psal UrduGeoR 77:2  Apnī musībat meṅ maiṅ ne Rab ko talāsh kiyā. Rāt ke waqt mere hāth bilānāġhā us kī taraf uṭhe rahe. Merī jān ne tasallī pāne se inkār kiyā.
Psal UrduGeoR 77:3  Maiṅ Allāh ko yād kartā hūṅ to āheṅ bharne lagtā hūṅ, maiṅ soch-bichār meṅ paṛ jātā hūṅ to rūh niḍhāl ho jātī hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 77:4  Tū merī āṅkhoṅ ko band hone nahīṅ detā. Maiṅ itnā bechain hūṅ ki bol bhī nahīṅ saktā.
Psal UrduGeoR 77:5  Maiṅ qadīm zamāne par ġhaur kartā hūṅ, un sāloṅ par jo baṛī der hue guzar gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 77:6  Rāt ko maiṅ apnā gīt yād kartā hūṅ. Merā dil mahw-e-ḳhyāl rahtā aur merī rūh taftīsh kartī rahtī hai.
Psal UrduGeoR 77:7  “Kyā Rab hameshā ke lie radd karegā, kyā āindā hameṅ kabhī pasand nahīṅ karegā?
Psal UrduGeoR 77:8  Kyā us kī shafqat hameshā ke lie jātī rahī hai? Kyā us ke wāde ab se jawāb de gae haiṅ?
Psal UrduGeoR 77:9  Kyā Allāh mehrbānī karnā bhūl gayā hai? Kyā us ne ġhusse meṅ apnā rahm bāz rakhā hai?” (Silāh)
Psal UrduGeoR 77:10  Maiṅ bolā, “Is se mujhe dukh hai ki Allāh T'ālā kā dahnā hāth badal gayā hai.”
Psal UrduGeoR 77:11  Maiṅ Rab ke kām yād karūṅga, hāṅ qadīm zamāne ke tere mojize yād karūṅga.
Psal UrduGeoR 77:12  Jo kuchh tū ne kiyā us ke har pahlū par ġhaur-o-ḳhauz karūṅga, tere azīm kāmoṅ meṅ mahw-e-ḳhyāl rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 77:13  Ai Allāh, terī rāh quddūs hai. Kaun-sā mābūd hamāre Ḳhudā jaisā azīm hai?
Psal UrduGeoR 77:14  Tū hī mojize karne wālā Ḳhudā hai. Aqwām ke darmiyān tū ne apnī qudrat kā izhār kiyā hai.
Psal UrduGeoR 77:15  Baṛī quwwat se tū ne ewazānā de kar apnī qaum, Yāqūb aur Yūsuf kī aulād ko rihā kar diyā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 77:16  Ai Allāh, pānī ne tujhe dekhā, pānī ne tujhe dekhā to taṛapne lagā, gahrāiyoṅ tak larazne lagā.
Psal UrduGeoR 77:17  Mūslādhār bārish barsī, bādal garaj uṭhe aur tere tīr idhar-udhar chalne lage.
Psal UrduGeoR 77:18  Āṅdhī meṅ terī āwāz kaṛaktī rahī, duniyā bijliyoṅ se raushan huī, zamīn kāṅptī kāṅptī uchhal paṛī.
Psal UrduGeoR 77:19  Terī rāh samundar meṅ se, terā rāstā gahre pānī meṅ se guzarā, to bhī tere naqsh-e-qadam kisī ko nazar na āe.
Psal UrduGeoR 77:20  Mūsā aur Hārūn ke hāth se tū ne rewaṛ kī tarah apnī qaum kī rāhnumāī kī.