PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 90
Psal | UrduGeoR | 90:2 | Is se pahle ki pahāṛ paidā hue aur tū zamīn aur duniyā ko wujūd meṅ lāyā tū hī thā. Ai Allāh, tū azal se abad tak hai. | |
Psal | UrduGeoR | 90:3 | Tū insān ko dubārā ḳhāk hone detā hai. Tū farmātā hai, ‘Ai ādamzādo, dubārā ḳhāk meṅ mil jāo!’ | |
Psal | UrduGeoR | 90:4 | Kyoṅki terī nazar meṅ hazār sāl kal ke guzare hue din ke barābar yā rāt ke ek pahar kī mānind haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 90:5 | Tū logoṅ ko sailāb kī tarah bahā le jātā hai, wuh nīnd aur us ghās kī mānind haiṅ jo subah ko phūṭ nikaltī hai. | |
Psal | UrduGeoR | 90:7 | Kyoṅki ham tere ġhazab se fanā ho jāte aur tere qahr se hawāsbāḳhtā ho jāte haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 90:8 | Tū ne hamārī ḳhatāoṅ ko apne sāmne rakhā, hamāre poshīdā gunāhoṅ ko apne chehre ke nūr meṅ lāyā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 90:9 | Chunāṅche hamāre tamām din tere qahr ke taht ghaṭte ghaṭte ḳhatm ho jāte haiṅ. Jab ham apne sāloṅ ke iḳhtitām par pahuṅchte haiṅ to zindagī sard āh ke barābar hī hotī hai. | |
Psal | UrduGeoR | 90:10 | Hamārī umr 70 sāl yā agar zyādā tāqat ho to 80 sāl tak pahuṅchtī hai, aur jo din faḳhr kā bāis the wuh bhī taklīfdeh aur bekār haiṅ. Jald hī wuh guzar jāte haiṅ, aur ham parindoṅ kī tarah uṛ kar chale jāte haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 90:11 | Kaun tere ġhazab kī pūrī shiddat jāntā hai? Kaun samajhtā hai ki terā qahr hamārī ḳhudātarsī kī kamī ke mutābiq hī hai? | |
Psal | UrduGeoR | 90:12 | Chunāṅche hameṅ hamāre dinoṅ kā sahīh hisāb karnā sikhā tāki hamāre dil dānishmand ho jāeṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 90:13 | Ai Rab, dubārā hamārī taraf rujū farmā! Tū kab tak dūr rahegā? Apne ḳhādimoṅ par tars khā! | |
Psal | UrduGeoR | 90:14 | Subah ko hameṅ apnī shafqat se ser kar! Tab ham zindagī-bhar bāġh bāġh hoṅge aur ḳhushī manāeṅge. | |
Psal | UrduGeoR | 90:15 | Hameṅ utne hī din ḳhushī dilā jitne tū ne hameṅ past kiyā hai, utne hī sāl jitne hameṅ dukh sahnā paṛā hai. | |