Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 24
Psal UrduGeoR 24:1  Dāūd kā zabūr. Zamīn aur jo kuchh us par hai Rab kā hai, duniyā aur us ke bāshinde usī ke haiṅ.
Psal UrduGeoR 24:2  Kyoṅki us ne zamīn kī buniyād samundaroṅ par rakhī aur use dariyāoṅ par qāym kiyā.
Psal UrduGeoR 24:3  Kis ko Rab ke pahāṛ par chaṛhnī kī ijāzat hai? Kaun us ke muqaddas maqām meṅ khaṛā ho saktā hai?
Psal UrduGeoR 24:4  Wuh jis ke hāth pāk aur dil sāf haiṅ, jo na fareb kā irādā rakhtā, na qasam khā kar jhūṭ boltā hai.
Psal UrduGeoR 24:5  Wuh Rab se barkat pāegā, use apnī najāt ke Ḳhudā se rāstī milegī.
Psal UrduGeoR 24:6  Yih hogā un logoṅ kā hāl jo Allāh kī marzī dariyāft karte, jo tere chehre ke tālib hote haiṅ, ai Yāqūb ke Ḳhudā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 24:7  Ai phāṭako, khul jāo! Ai qadīm darwāzo, pūre taur par khul jāo tāki jalāl kā Bādshāh dāḳhil ho jāe.
Psal UrduGeoR 24:8  Jalāl kā Bādshāh kaun hai? Rab jo qawī aur qādir hai, Rab jo jang meṅ zorāwar hai.
Psal UrduGeoR 24:9  Ai phāṭako, khul jāo! Ai qadīm darwāzo, pūre taur par khul jāo tāki jalāl kā Bādshāh dāḳhil ho jāe.
Psal UrduGeoR 24:10  Jalāl kā Bādshāh kaun hai? Rabbul-afwāj, wuhī jalāl kā Bādshāh hai. (Silāh)