Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 103
Psal UrduGeoR 103:1  Dāūd kā zabūr. Ai merī jān, Rab kī satāish kar! Merā rag-o-reshā us ke quddūs nām kī hamd kare!
Psal UrduGeoR 103:2  Ai merī jān, Rab kī satāish kar aur jo kuchh us ne tere lie kiyā hai use bhūl na jā.
Psal UrduGeoR 103:3  Kyoṅki wuh tere tamām gunāhoṅ ko muāf kartā, tujhe tamām bīmāriyoṅ se shifā detā hai.
Psal UrduGeoR 103:4  Wuh ewazānā de kar terī jān ko maut ke gaṛhe se chhuṛā letā, tere sar ko apnī shafqat aur rahm t ke tāj se ārāstā kartā hai.
Psal UrduGeoR 103:5  Wuh terī zindagī ko achchhī chīzoṅ se ser kartā hai, aur tū dubārā jawān ho kar uqāb kī-sī taqwiyat pātā hai.
Psal UrduGeoR 103:6  Rab tamām mazlūmoṅ ke lie rāstī aur insāf qāym kartā hai.
Psal UrduGeoR 103:7  Us ne apnī rāheṅ Mūsā par aur apne azīm kām Isrāīliyoṅ par zāhir kie.
Psal UrduGeoR 103:8  Rab rahīm aur mehrbān hai, wuh tahammul aur shafqat se bharpūr hai.
Psal UrduGeoR 103:9  Na wuh hameshā ḍānṭtā rahegā, na abad tak nārāz rahegā.
Psal UrduGeoR 103:10  Na wuh hamārī ḳhatāoṅ ke mutābiq sazā detā, na hamāre gunāhoṅ kā munāsib ajr detā hai.
Psal UrduGeoR 103:11  Kyoṅki jitnā buland āsmān hai, utnī hī azīm us kī shafqat un par hai jo us kā ḳhauf mānte haiṅ.
Psal UrduGeoR 103:12  Jitnī dūr mashriq maġhrib se hai utnā hī us ne hamāre qusūr ham se dūr kar die haiṅ.
Psal UrduGeoR 103:13  Jis tarah bāp apne bachchoṅ par tars khātā hai usī tarah Rab un par tars khātā hai jo us kā ḳhauf mānte haiṅ.
Psal UrduGeoR 103:14  Kyoṅki wuh hamārī sāḳht jāntā hai, use yād hai ki ham ḳhāk hī haiṅ.
Psal UrduGeoR 103:15  Insān ke din ghās kī mānind haiṅ, aur wuh janglī phūl kī tarah hī phaltā-phūltā hai.
Psal UrduGeoR 103:16  Jab us par se hawā guzare to wuh nahīṅ rahtā, aur us ke nām-o-nishān kā bhī patā nahīṅ chaltā.
Psal UrduGeoR 103:17  Lekin jo Rab kā ḳhauf māneṅ un par wuh hameshā tak mehrbānī karegā, wuh apnī rāstī un ke potoṅ aur nawāsoṅ par bhī zāhir karegā.
Psal UrduGeoR 103:18  Shart yih hai ki wuh us ke ahd ke mutābiq zindagī guzāreṅ aur dhyān se us ke ahkām par amal kareṅ.
Psal UrduGeoR 103:19  Rab ne āsmān par apnā taḳht qāym kiyā hai, aur us kī bādshāhī sab par hukūmat kartī hai.
Psal UrduGeoR 103:20  Ai Rab ke farishto, us ke tāqatwar sūrmāo, jo us ke farmān pūre karte ho tāki us kā kalām mānā jāe, Rab kī satāish karo!
Psal UrduGeoR 103:21  Ai tamām lashkaro, tum sab jo us ke ḳhādim ho aur us kī marzī pūrī karte ho, Rab kī satāish karo!
Psal UrduGeoR 103:22  Tum sab jinheṅ us ne banāyā, Rab kī satāish karo! Us kī saltanat kī har jagah par us kī tamjīd karo. Ai merī jān, Rab kī satāish kar!