Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 18
Psal UrduGeoR 18:1  Rab ke ḳhādim Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Dāūd ne Rab ke lie yih gīt gāyā jab Rab ne use tamām dushmanoṅ aur Sāūl se bachāyā. Wuh bolā, Ai Rab merī quwwat, maiṅ tujhe pyār kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 18:2  Rab merī chaṭān, merā qilā aur merā najātdahindā hai. Merā Ḳhudā merī chaṭān hai jis meṅ maiṅ panāh letā hūṅ. Wuh merī ḍhāl, merī najāt kā pahāṛ, merā buland hisār hai.
Psal UrduGeoR 18:3  Maiṅ Rab ko pukārtā hūṅ, us kī tamjīd ho! Tab wuh mujhe dushmanoṅ se chhuṭkārā detā hai.
Psal UrduGeoR 18:4  Maut ke rassoṅ ne mujhe gher liyā, halākat ke sailāb ne mere dil par dahshat tārī kī.
Psal UrduGeoR 18:5  Pātāl ke rassoṅ ne mujhe jakaṛ liyā, maut ne mere rāste meṅ apne phande ḍāl die.
Psal UrduGeoR 18:6  Jab maiṅ musībat meṅ phaṅs gayā to maiṅ ne Rab ko pukārā. Maiṅ ne madad ke lie apne Ḳhudā se fariyād kī to us ne apnī sukūnatgāh se merī āwāz sunī, merī chīḳheṅ us ke kān tak pahuṅch gaīṅ.
Psal UrduGeoR 18:7  Tab zamīn laraz uṭhī aur thartharāne lagī, pahāṛoṅ kī buniyādeṅ Rab ke ġhazab ke sāmne kāṅpne aur jhūlne lagīṅ.
Psal UrduGeoR 18:8  Us kī nāk se dhuāṅ nikal āyā, us ke muṅh se bhasm karne wāle shole aur dahakte koele bhaṛak uṭhe.
Psal UrduGeoR 18:9  Āsmān ko jhukā kar wuh nāzil huā. Jab utar āyā to us ke pāṅwoṅ ke nīche andherā hī andherā thā.
Psal UrduGeoR 18:10  Wuh karūbī farishte par sawār huā aur uṛ kar hawā ke paroṅ par manḍlāne lagā.
Psal UrduGeoR 18:11  Us ne andhere ko apnī chhupne kī jagah banāyā, bārish ke kāle aur ghane bādal ḳhaime kī tarah apne girdāgird lagāe.
Psal UrduGeoR 18:12  Us ke huzūr kī tez raushnī se us ke bādal ole aur sholāzan koele le kar nikal āe.
Psal UrduGeoR 18:13  Rab āsmān se kaṛakne lagā, Allāh T'ālā kī āwāz gūṅj uṭhī. Tab ole aur sholāzan koele barasne lage.
Psal UrduGeoR 18:14  Us ne apne tīr chalāe to dushman titar-bitar ho gae. Us kī tez bijlī idhar-udhar girtī gaī to un meṅ halchal mach gaī.
Psal UrduGeoR 18:15  Ai Rab, tū ne ḍānṭā to samundar kī wādiyāṅ zāhir huīṅ, jab tū ġhusse meṅ garjā to tere dam ke jhoṅkoṅ se zamīn kī buniyādeṅ nazar āīṅ.
Psal UrduGeoR 18:16  Bulandiyoṅ par se apnā hāth baṛhā kar us ne mujhe pakaṛ liyā, mujhe gahre pānī meṅ se khīṅch kar nikāl lāyā.
Psal UrduGeoR 18:17  Us ne mujhe mere zabardast dushman se bachāyā, un se jo mujh se nafrat karte haiṅ, jin par maiṅ ġhālib na ā sakā.
Psal UrduGeoR 18:18  Jis din maiṅ musībat meṅ phaṅs gayā us din unhoṅ ne mujh par hamlā kiyā, lekin Rab merā sahārā banā rahā.
Psal UrduGeoR 18:19  Us ne mujhe tang jagah se nikāl kar chhuṭkārā diyā, kyoṅki wuh mujh se ḳhush thā.
Psal UrduGeoR 18:20  Rab mujhe merī rāstbāzī kā ajr detā hai. Mere hāth sāf haiṅ, is lie wuh mujhe barkat detā hai.
Psal UrduGeoR 18:21  Kyoṅki maiṅ Rab kī rāhoṅ par chaltā rahā hūṅ, maiṅ badī karne se apne Ḳhudā se dūr nahīṅ huā.
Psal UrduGeoR 18:22  Us ke tamām ahkām mere sāmne rahe haiṅ, maiṅ ne us ke farmānoṅ ko radd nahīṅ kiyā.
Psal UrduGeoR 18:23  Us ke sāmne hī maiṅ be'ilzām rahā, gunāh karne se bāz rahā hūṅ.
Psal UrduGeoR 18:24  Is lie Rab ne mujhe merī rāstbāzī kā ajr diyā, kyoṅki us kī āṅkhoṅ ke sāmne hī meṅ pāk-sāf sābit huā.
Psal UrduGeoR 18:25  Ai Allāh, jo wafādār hai us ke sāth terā sulūk wafādārī kā hai, jo be'ilzām hai us ke sāth terā sulūk be'ilzām hai.
Psal UrduGeoR 18:26  Jo pāk hai us ke sāth terā sulūk pāk hai. Lekin jo kajrau hai us ke sāth terā sulūk bhī kajrawī kā hai.
Psal UrduGeoR 18:27  Kyoṅki tū pasthāloṅ ko najāt detā aur maġhrūr āṅkhoṅ ko past kartā hai.
Psal UrduGeoR 18:28  Ai Rab, tū hī merā charāġh jalātā, merā Ḳhudā hī mere andhere ko raushan kartā hai.
Psal UrduGeoR 18:29  Kyoṅki tere sāth maiṅ faujī daste par hamlā kar saktā, apne Ḳhudā ke sāth dīwār ko phalāṅg saktā hūṅ.
Psal UrduGeoR 18:30  Allāh kī rāh kāmil hai, Rab kā farmān ḳhālis hai. Jo bhī us meṅ panāh le us kī wuh ḍhāl hai.
Psal UrduGeoR 18:31  Kyoṅki Rab ke siwā kaun Ḳhudā hai? Hamāre Ḳhudā ke siwā kaun chaṭān hai?
Psal UrduGeoR 18:32  Allāh mujhe quwwat se kamarbastā kartā, wuh merī rāh ko kāmil kar detā hai.
Psal UrduGeoR 18:33  Wuh mere pāṅwoṅ ko hiran kī-sī phurtī atā kartā, mujhe mazbūtī se merī bulandiyoṅ par khaṛā kartā hai.
Psal UrduGeoR 18:34  Wuh mere hāthoṅ ko jang karne kī tarbiyat detā hai. Ab mere bāzū pītal kī kamān ko bhī tān lete haiṅ.
Psal UrduGeoR 18:35  Ai Rab, tū ne mujhe apnī najāt kī ḍhāl baḳhsh dī hai. Tere dahne hāth ne mujhe qāym rakhā, terī narmī ne mujhe baṛā banā diyā hai.
Psal UrduGeoR 18:36  Tū mere qadmoṅ ke lie rāstā banā detā hai, is lie mere ṭaḳhne nahīṅ ḍagmagāte.
Psal UrduGeoR 18:37  Maiṅ ne apne dushmanoṅ kā tāqqub karke unheṅ pakaṛ liyā, maiṅ bāz na āyā jab tak wuh ḳhatm na ho gae.
Psal UrduGeoR 18:38  Maiṅ ne unheṅ yoṅ pāsh pāsh kar diyā ki dubārā uṭh na sake balki gir kar mere pāṅwoṅ tale paṛe rahe.
Psal UrduGeoR 18:39  Kyoṅki tū ne mujhe jang karne ke lie quwwat se kamarbastā kar diyā, tū ne mere muḳhālifoṅ ko mere sāmne jhukā diyā.
Psal UrduGeoR 18:40  Tū ne mere dushmanoṅ ko mere sāmne se bhagā diyā, aur maiṅ ne nafrat karne wāloṅ ko tabāh kar diyā.
Psal UrduGeoR 18:41  Wuh madad ke lie chīḳhte-chillāte rahe, lekin bachāne wālā koī nahīṅ thā. Wuh Rab ko pukārte rahe, lekin us ne jawāb na diyā.
Psal UrduGeoR 18:42  Maiṅ ne unheṅ chūr chūr karke gard kī tarah hawā meṅ uṛā diyā. Maiṅ ne unheṅ kachre kī tarah galī meṅ phaiṅk diyā.
Psal UrduGeoR 18:43  Tū ne mujhe qaum ke jhagaṛoṅ se bachā kar aqwām kā sardār banā diyā hai. Jis qaum se maiṅ nāwāqif thā wuh merī ḳhidmat kartī hai.
Psal UrduGeoR 18:44  Jyoṅ hī maiṅ bāt kartā hūṅ to log merī sunte haiṅ. Pardesī dabak kar merī ḳhushāmad karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 18:45  Wuh himmat hār kar kāṅpte hue apne qiloṅ se nikal āte haiṅ.
Psal UrduGeoR 18:46  Rab zindā hai! Merī chaṭān kī tamjīd ho! Merī najāt ke Ḳhudā kī tāzīm ho!
Psal UrduGeoR 18:47  Wuhī Ḳhudā hai jo merā intaqām letā, aqwām ko mere tābe kar detā
Psal UrduGeoR 18:48  aur mujhe mere dushmanoṅ se chhuṭkārā detā hai. Yaqīnan tū mujhe mere muḳhālifoṅ par sarfarāz kartā, mujhe zālimoṅ se bachāe rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 18:49  Ai Rab, is lie maiṅ aqwām meṅ terī hamd-o-sanā karūṅga, tere nām kī tārīf meṅ gīt gāūṅgā.
Psal UrduGeoR 18:50  Kyoṅki Rab apne bādshāh ko baṛī najāt detā hai, wuh apne masah kie hue bādshāh Dāūd aur us kī aulād par hameshā tak mehrbān rahegā.