Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 60
Psal UrduGeoR 60:1  Dāūd kā zabūr. Tarz: Ahd kā Sosan. Tālīm ke lie yih sunahrā gīt us waqt se mutālliq hai jab Dāūd ne Masoputāmiyā ke Arāmiyoṅ aur Zobāh ke Arāmiyoṅ se jang kī. Wāpasī par Yoāb ne Namak kī Wādī meṅ 12,000 Adomiyoṅ ko mār ḍālā. Ai Allāh, tū ne hameṅ radd kiyā, hamārī qilābandī meṅ raḳhnā ḍāl diyā hai. Lekin ab apne ġhazab se bāz ā kar hameṅ bahāl kar.
Psal UrduGeoR 60:2  Tū ne zamīn ko aise jhaṭke die ki us meṅ darāṛeṅ paṛ gaīṅ. Ab us ke shigāfoṅ ko shifā de, kyoṅki wuh abhī tak thartharā rahī hai.
Psal UrduGeoR 60:3  Tū ne apnī qaum ko talḳh tajraboṅ se dochār hone diyā, hameṅ aisī tez mai pilā dī ki ham ḍagmagāne lage haiṅ.
Psal UrduGeoR 60:4  Lekin jo terā ḳhauf mānte haiṅ un ke lie tū ne jhanḍā gāṛ diyā jis ke irdgird wuh jamā ho kar tīroṅ se panāh le sakte haiṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 60:5  Apne dahne hāth se madad karke merī sun tāki jo tujhe pyāre haiṅ wuh najāt pāeṅ.
Psal UrduGeoR 60:6  Allāh ne apne maqdis meṅ farmāyā hai, “Maiṅ fatah manāte hue Sikam ko taqsīm karūṅga aur Wādī-e-Sukkāt ko nāp kar bāṅṭ dūṅgā.
Psal UrduGeoR 60:7  Jiliyād merā hai aur Manassī merā hai. Ifrāīm merā ḳhod aur Yahūdāh merā shāhī asā hai.
Psal UrduGeoR 60:8  Moāb merā ġhusl kā bartan hai, aur Adom par maiṅ apnā jūtā phaiṅk dūṅgā. Ai Filistī mulk, mujhe dekh kar zordār nāre lagā!”
Psal UrduGeoR 60:9  Kaun mujhe qilāband shahr meṅ lāegā? Kaun merī rāhnumāī karke mujhe Adom tak pahuṅchāegā?
Psal UrduGeoR 60:10  Ai Allāh, tū hī yih kar saktā hai, go tū ne hameṅ radd kiyā hai. Ai Allāh, tū hamārī faujoṅ kā sāth nahīṅ detā jab wuh laṛne ke lie nikaltī haiṅ.
Psal UrduGeoR 60:11  Musībat meṅ hameṅ sahārā de, kyoṅki is waqt insānī madad bekār hai.
Psal UrduGeoR 60:12  Allāh ke sāth ham zabardast kām kareṅge, kyoṅki wuhī hamāre dushmanoṅ ko kuchal degā.