PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 56
Psal | UrduGeoR | 56:1 | Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Dūr-darāz Jazīroṅ kā Kabūtar. Yih sunahrā gīt us waqt se mutālliq hai jab Filistiyoṅ ne use Jāt meṅ pakaṛ liyā. Ai Allāh, mujh par mehrbānī kar! Kyoṅki log mujhe tang kar rahe haiṅ, laṛne wālā din-bhar mujhe satā rahā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 56:2 | Din-bhar mere dushman mere pīchhe lage haiṅ, kyoṅki wuh bahut haiṅ aur ġhurūr se mujh se laṛ rahe haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 56:3 | Lekin jab ḳhauf mujhe apnī girift meṅ le le to maiṅ tujh par hī bharosā rakhtā hūṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 56:4 | Allāh ke kalām par merā faḳhr hai, Allāh par merā bharosā hai. Maiṅ ḍarūṅga nahīṅ, kyoṅki fānī insān mujhe kyā nuqsān pahuṅchā saktā hai? | |
Psal | UrduGeoR | 56:5 | Din-bhar wuh mere alfāz ko toṛ-maroṛ kar ġhalat mānī nikālte, apne tamām mansūboṅ se mujhe zarar pahuṅchānā chāhte haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 56:6 | Wuh hamlā-āwar ho kar tāk meṅ baiṭh jāte aur mere har qadam par ġhaur karte haiṅ. Kyoṅki wuh mujhe mār ḍālne par tule hue haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 56:7 | Jo aisī sharīr harkateṅ karte haiṅ, kyā unheṅ bachnā chāhie? Hargiz nahīṅ! Ai Allāh, aqwām ko ġhusse meṅ ḳhāk meṅ milā de. | |
Psal | UrduGeoR | 56:8 | Jitne bhī din maiṅ beghar phirā hūṅ un kā tū ne pūrā hisāb rakhā hai. Ai Allāh, mere āṅsū apne mashkīze meṅ ḍāl le! Kyā wuh pahle se terī kitāb meṅ qalamband nahīṅ haiṅ? Zarūr! | |
Psal | UrduGeoR | 56:9 | Phir jab maiṅ tujhe pukārūṅga to mere dushman mujh se bāz āeṅge. Yih maiṅ ne jān liyā hai ki Allāh mere sāth hai! | |
Psal | UrduGeoR | 56:11 | Allāh par merā bharosā hai. Maiṅ ḍarūṅga nahīṅ, kyoṅki fānī insān mujhe kyā nuqsān pahuṅchā saktā hai? | |
Psal | UrduGeoR | 56:12 | Ai Allāh, tere huzūr maiṅ ne mannateṅ mānī haiṅ, aur ab maiṅ tujhe shukrguzārī kī qurbāniyāṅ pesh karūṅga. | |