Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 83
Psal UrduGeoR 83:1  Gīt. Āsaf kā zabūr. Ai Allāh, ḳhāmosh na rah! Ai Allāh, chup na rah!
Psal UrduGeoR 83:2  Dekh, tere dushman shor machā rahe haiṅ, tujh se nafrat karne wāle apnā sar tere ḳhilāf uṭhā rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 83:3  Terī qaum ke ḳhilāf wuh chālāk mansūbe bāndh rahe haiṅ, jo terī āṛ meṅ chhup gae haiṅ un ke ḳhilāf sāzisheṅ kar rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 83:4  Wuh kahte haiṅ, “Āo, ham unheṅ miṭā deṅ tāki qaum nest ho jāe aur Isrāīl kā nām-o-nishān bāqī na rahe.”
Psal UrduGeoR 83:5  Kyoṅki wuh āpas meṅ salāh-mashwarā karne ke bād dilī taur par muttahid ho gae haiṅ, unhoṅ ne tere hī ḳhilāf ahd bāndhā hai.
Psal UrduGeoR 83:6  Un meṅ Adom ke ḳhaime, Ismāīlī, Moāb, Hājirī,
Psal UrduGeoR 83:7  Jabāl, Ammon, Amālīq, Filistiyā aur Sūr ke bāshinde shāmil ho gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 83:8  Asūr bhī un meṅ sharīk ho kar Lūt kī aulād ko sahārā de rahā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 83:9  Un ke sāth wuhī sulūk kar jo tū ne Midiyāniyoṅ se yānī Qaison Nadī par Sīsarā aur Yābīn se kiyā.
Psal UrduGeoR 83:10  Kyoṅki wuh Ain-dor ke pās halāk ho kar khet meṅ gobar ban gae.
Psal UrduGeoR 83:11  Un ke shurafā ke sāth wuhī bartāw kar jo tū ne Oreb aur Zaeb se kiyā. Un ke tamām sardār Zibah aur Zalmunnā kī mānind ban jāeṅ,
Psal UrduGeoR 83:12  jinhoṅ ne kahā, “Āo, ham Allāh kī charāgāhoṅ par qabzā kareṅ.”
Psal UrduGeoR 83:13  Ai mere Ḳhudā, unheṅ luṛhakbūṭī aur hawā meṅ uṛte hue bhūse kī mānind banā de.
Psal UrduGeoR 83:14  Jis tarah āg pūre jangal meṅ phail jātī aur ek hī sholā pahāṛoṅ ko jhulsā detā hai,
Psal UrduGeoR 83:15  usī tarah apnī āṅdhī se un kā tāqqub kar, apne tūfān se un ko dahshatzadā kar de.
Psal UrduGeoR 83:16  Ai Rab, un kā muṅh kālā kar tāki wuh terā nām talāsh kareṅ.
Psal UrduGeoR 83:17  Wuh hameshā tak sharmindā aur hawāsbāḳhtā raheṅ, wuh sharmsār ho kar halāk ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 83:18  Tab hī wuh jān leṅge ki tū hī jis kā nām Rab hai Allāh T'ālā yānī pūrī duniyā kā mālik hai.