Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 82
Psal UrduGeoR 82:1  Āsaf kā zabūr. Allāh ilāhī majlis meṅ khaṛā hai, mābūdoṅ ke darmiyān wuh adālat kartā hai,
Psal UrduGeoR 82:2  “Tum kab tak adālat meṅ ġhalat faisle karke bedīnoṅ kī jānibdārī karoge? (Silāh)
Psal UrduGeoR 82:3  Pasthāloṅ aur yatīmoṅ kā insāf karo, musībatzadoṅ aur zarūratmandoṅ ke huqūq qāym rakho.
Psal UrduGeoR 82:4  Pasthāloṅ aur ġharīboṅ ko bachā kar bedīnoṅ ke hāth se chhuṛāo.”
Psal UrduGeoR 82:5  Lekin wuh kuchh nahīṅ jānte, unheṅ samajh hī nahīṅ ātī. Wuh tārīkī meṅ ṭaṭol ṭaṭol kar ghūmte-phirte haiṅ jabki zamīn kī tamām buniyādeṅ jhūmne lagī haiṅ.
Psal UrduGeoR 82:6  Beshak maiṅ ne kahā, “Tum Ḳhudā ho, sab Allāh T'ālā ke farzand ho.
Psal UrduGeoR 82:7  Lekin tum fānī insān kī tarah mar jāoge, tum dīgar hukmrānoṅ kī tarah gir jāoge.”
Psal UrduGeoR 82:8  Ai Allāh, uṭh kar zamīn kī adālat kar! Kyoṅki tamām aqwām terī hī maurūsī milkiyat haiṅ.