Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 50
Psal UrduGeoR 50:1  Āsaf kā zabūr. Rab Qādir-e-mutlaq Ḳhudā bol uṭhā hai, us ne tulū-e-subah se le kar ġhurūb-e-āftāb tak pūrī duniyā ko bulāyā hai.
Psal UrduGeoR 50:2  Allāh kā nūr Siyyūn se chamak uṭhā hai, us pahāṛ se jo kāmil husn kā izhār hai.
Psal UrduGeoR 50:3  Hamārā Ḳhudā ā rahā hai, wuh ḳhāmosh nahīṅ rahegā. Us ke āge āge sab kuchh bhasm ho rahā hai, us ke irdgird tez āṅdhī chal rahī hai.
Psal UrduGeoR 50:4  Wuh āsmān-o-zamīn ko āwāz detā hai, “Ab maiṅ apnī qaum kī adālat karūṅga.
Psal UrduGeoR 50:5  Mere īmāndāroṅ ko mere huzūr jamā karo, unheṅ jinhoṅ ne qurbāniyāṅ pesh karke mere sāth ahd bāndhā hai.”
Psal UrduGeoR 50:6  Āsmān us kī rāstī kā elān kareṅge, kyoṅki Allāh ḳhud insāf karne wālā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 50:7  “Ai merī qaum, sun! Mujhe bāt karne de. Ai Isrāīl, maiṅ tere ḳhilāf gawāhī dūṅgā. Maiṅ Allāh terā Ḳhudā hūṅ.
Psal UrduGeoR 50:8  Maiṅ tujhe terī zabah kī qurbāniyoṅ ke bāis malāmat nahīṅ kar rahā. Terī bhasm hone wālī qurbāniyāṅ to musalsal mere sāmne haiṅ.
Psal UrduGeoR 50:9  Na maiṅ tere ghar se bail lūṅgā, na tere bāṛoṅ se bakre.
Psal UrduGeoR 50:10  Kyoṅki jangal ke tamām jāndār mere hī haiṅ, hazāroṅ pahāṛiyoṅ par basne wāle jānwar mere hī haiṅ.
Psal UrduGeoR 50:11  Maiṅ pahāṛoṅ ke har parinde ko jāntā hūṅ, aur jo bhī maidānoṅ meṅ harkat kartā hai wuh merā hai.
Psal UrduGeoR 50:12  Agar mujhe bhūk lagtī to maiṅ tujhe na batātā, kyoṅki zamīn aur jo kuchh us par hai merā hai.
Psal UrduGeoR 50:13  Kyā tū samajhtā hai ki maiṅ sānḍoṅ kā gosht khānā yā bakroṅ kā ḳhūn pīnā chāhtā hūṅ?
Psal UrduGeoR 50:14  Allāh ko shukrguzārī kī qurbānī pesh kar, aur wuh mannat pūrī kar jo tū ne Allāh T'ālā ke huzūr mānī hai.
Psal UrduGeoR 50:15  Musībat ke din mujhe pukār. Tab maiṅ tujhe najāt dūṅgā aur tū merī tamjīd karegā.”
Psal UrduGeoR 50:16  Lekin bedīn se Allāh farmātā hai, “Mere ahkām sunāne aur mere ahd kā zikr karne kā terā kyā haq hai?
Psal UrduGeoR 50:17  Tū to tarbiyat se nafrat kartā aur mere farmān kachre kī tarah apne pīchhe phaiṅk detā hai.
Psal UrduGeoR 50:18  Kisī chor ko deḳhte hī tū us kā sāth detā hai, tū zinākāroṅ se rifāqat rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 50:19  Tū apne muṅh ko bure kām ke lie istemāl kartā, apnī zabān ko dhokā dene ke lie taiyār rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 50:20  Tū dūsroṅ ke pās baiṭh kar apne bhāī ke ḳhilāf boltā hai, apnī hī māṅ ke beṭe par tohmat lagātā hai.
Psal UrduGeoR 50:21  Yih kuchh tū ne kiyā hai, aur maiṅ ḳhāmosh rahā. Tab tū samjhā ki maiṅ bilkul tujh jaisā hūṅ. Lekin maiṅ tujhe malāmat karūṅga, tere sāmne hī muāmalā tartīb se sunāūṅgā.
Psal UrduGeoR 50:22  Tum jo Allāh ko bhūle hue ho, bāt samajh lo, warnā maiṅ tumheṅ phāṛ ḍālūṅgā. Us waqt koī nahīṅ hogā jo tumheṅ bachāe.
Psal UrduGeoR 50:23  Jo shukrguzārī kī qurbānī pesh kare wuh merī tāzīm kartā hai. Jo musammam irāde se aisī rāh par chale use maiṅ Allāh kī najāt dikhāūṅgā.”