Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 94
Psal UrduGeoR 94:1  Ai Rab, ai intaqām lene wāle Ḳhudā! Ai intaqām lene wāle Ḳhudā, apnā nūr chamkā.
Psal UrduGeoR 94:2  Ai duniyā ke munsif, uṭh kar maġhrūroṅ ko un ke āmāl kī munāsib sazā de.
Psal UrduGeoR 94:3  Ai Rab, bedīn kab tak, hāṅ kab tak fatah ke nāre lagāeṅge?
Psal UrduGeoR 94:4  Wuh kufr kī bāteṅ ugalte rahte, tamām badkār sheḳhī mārte rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 94:5  Ai Rab, wuh terī qaum ko kuchal rahe, terī maurūsī milkiyat par zulm kar rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 94:6  Bewāoṅ aur ajnabiyoṅ ko wuh maut ke ghāṭ utār rahe, yatīmoṅ ko qatl kar rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 94:7  Wuh kahte haiṅ, “Yih Rab ko nazar nahīṅ ātā, Yāqūb kā Ḳhudā dhyān hī nahīṅ detā.”
Psal UrduGeoR 94:8  Ai qaum ke nādāno, dhyān do! Ai ahmaqo, tumheṅ kab samajh āegī?
Psal UrduGeoR 94:9  Jis ne kān banāyā, kyā wuh nahīṅ suntā? Jis ne āṅkh ko tashkīl diyā kyā wuh nahīṅ deḳhtā?
Psal UrduGeoR 94:10  Jo aqwām ko tambīh kartā aur insān ko tālīm detā hai kyā wuh sazā nahīṅ detā?
Psal UrduGeoR 94:11  Rab insān ke ḳhayālāt jāntā hai, wuh jāntā hai ki wuh dam-bhar ke hī haiṅ.
Psal UrduGeoR 94:12  Ai Rab, mubārak hai wuh jise tū tarbiyat detā hai, jise tū apnī sharīat kī tālīm detā hai
Psal UrduGeoR 94:13  tāki wuh musībat ke dinoṅ se ārām pāe aur us waqt tak sukūn se zindagī guzāre jab tak bedīnoṅ ke lie gaṛhā taiyār na ho.
Psal UrduGeoR 94:14  Kyoṅki Rab apnī qaum ko radd nahīṅ karegā, wuh apnī maurūsī milkiyat ko tark nahīṅ karegā.
Psal UrduGeoR 94:15  Faisle dubārā insāf par mabnī hoṅge, aur tamām diyānatdār dil us kī pairawī kareṅge.
Psal UrduGeoR 94:16  Kaun sharīroṅ ke sāmne merā difā karegā? Kaun mere lie badkāroṅ kā sāmnā karegā?
Psal UrduGeoR 94:17  Agar Rab merā sahārā na hotā to merī jān jald hī ḳhāmoshī ke mulk meṅ jā bastī.
Psal UrduGeoR 94:18  Ai Rab, jab maiṅ bolā, “Merā pāṅw ḍagmagāne lagā hai” to terī shafqat ne mujhe saṅbhālā.
Psal UrduGeoR 94:19  Jab tashwīshnāk ḳhayālāt mujhe bechain karne lage to terī tasalliyoṅ ne merī jān ko tāzādam kiyā.
Psal UrduGeoR 94:20  Ai Allāh, kyā tabāhī kī hukūmat tere sāth muttahid ho saktī hai, aisī hukūmat jo apne farmānoṅ se zulm kartī hai? Hargiz nahīṅ!
Psal UrduGeoR 94:21  Wuh rāstbāz kī jān lene ke lie āpas meṅ mil jāte aur bequsūroṅ ko qātil ṭhahrāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 94:22  Lekin Rab merā qilā ban gayā hai, aur merā Ḳhudā merī panāh kī chaṭān sābit huā hai.
Psal UrduGeoR 94:23  Wuh un kī nāinsāfī un par wāpas āne degā aur un kī sharīr harkatoṅ ke jawāb meṅ unheṅ tabāh karegā. Rab hamārā Ḳhudā unheṅ nest karegā.