Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 20
Psal UrduGeoR 20:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Musībat ke din Rab terī sune, Yāqūb ke Ḳhudā kā nām tujhe mahfūz rakhe.
Psal UrduGeoR 20:2  Wuh maqdis se terī madad bheje, wuh Siyyūn se terā sahārā bane.
Psal UrduGeoR 20:3  Wuh terī ġhallā kī nazareṅ yād kare, terī bhasm hone wālī qurbāniyāṅ qabūl farmāe. (Silāh)
Psal UrduGeoR 20:4  Wuh tere dil kī ārzū pūrī kare, tere tamām mansūboṅ ko kāmyābī baḳhshe.
Psal UrduGeoR 20:5  Tab ham terī najāt kī ḳhushī manāeṅge, ham apne Ḳhudā ke nām meṅ fatah kā jhanḍā gāṛeṅge. Rab terī tamām guzārisheṅ pūrī kare.
Psal UrduGeoR 20:6  Ab maiṅ ne jān liyā hai ki Rab apne masah kie hue bādshāh kī madad kartā hai. Wuh apne muqaddas āsmān se us kī sun kar apne dahne hāth kī qudrat se use chhuṭkārā degā.
Psal UrduGeoR 20:7  Bāz apne rathoṅ par, bāz apne ghoṛoṅ par faḳhr karte haiṅ, lekin ham Rab apne Ḳhudā ke nām par faḳhr kareṅge.
Psal UrduGeoR 20:8  Hamāre dushman jhuk kar gir jāeṅge, lekin ham uṭh kar mazbūtī se khaṛe raheṅge.
Psal UrduGeoR 20:9  Ai Rab, hamārī madad farmā! Bādshāh hamārī sune jab ham madad ke lie pukāreṅ.