Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 139
Psal UrduGeoR 139:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Rab, tū merā muāynā kartā aur mujhe ḳhūb jāntā hai.
Psal UrduGeoR 139:2  Merā uṭhnā baiṭhnā tujhe mālūm hai, aur tū dūr se hī merī soch samajhtā hai.
Psal UrduGeoR 139:3  Tū mujhe jāṅchtā hai, ḳhāh maiṅ rāste meṅ hūṅ yā ārām karūṅ. Tū merī tamām rāhoṅ se wāqif hai.
Psal UrduGeoR 139:4  Kyoṅki jab bhī koī bāt merī zabān par āe tū ai Rab pahle hī us kā pūrā ilm rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 139:5  Tū mujhe chāroṅ taraf se ghere rakhtā hai, terā hāth mere ūpar hī rahtā hai.
Psal UrduGeoR 139:6  Is kā ilm itnā hairānkun aur azīm hai ki maiṅ ise samajh nahīṅ saktā.
Psal UrduGeoR 139:7  Maiṅ tere Rūh se kahāṅ bhāg jāūṅ, tere chehre se kahāṅ farār ho jāūṅ?
Psal UrduGeoR 139:8  Agar āsmān par chaṛh jāūṅ to tū wahāṅ maujūd hai, agar utar kar apnā bistar Pātāl meṅ bichhāūṅ to tū wahāṅ bhī hai.
Psal UrduGeoR 139:9  Go maiṅ tulū-e-subah ke paroṅ par uṛ kar samundar kī dūrtarīn had par jā basūṅ,
Psal UrduGeoR 139:10  wahāṅ bhī terā hāth merī qiyādat karegā, wahāṅ bhī terā dahnā hāth mujhe thāme rakhegā.
Psal UrduGeoR 139:11  Agar maiṅ kahūṅ, “Tārīkī mujhe chhupā de, aur mere irdgird kī raushnī rāt meṅ badal jāe,” to bhī koī farq nahīṅ paṛegā.
Psal UrduGeoR 139:12  Tere sāmne tārīkī bhī tārīk nahīṅ hotī, tere huzūr rāt din kī tarah raushan hotī hai balki raushnī aur andherā ek jaise hote haiṅ.
Psal UrduGeoR 139:13  Kyoṅki tū ne merā bātin banāyā hai, tū ne mujhe māṅ ke peṭ meṅ tashkīl diyā hai.
Psal UrduGeoR 139:14  Maiṅ terā shukr kartā hūṅ ki mujhe jalālī aur mojizānā taur se banāyā gayā hai. Tere kām hairatangez haiṅ, aur merī jān yih ḳhūb jāntī hai.
Psal UrduGeoR 139:15  Merā ḍhāṅchā tujh se chhupā nahīṅ thā jab mujhe poshīdagī meṅ banāyā gayā, jab mujhe zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ tashkīl diyā gayā.
Psal UrduGeoR 139:16  Terī āṅkhoṅ ne mujhe us waqt dekhā jab mere jism kī shakl abhī nāmukammal thī. Jitne bhī din mere lie muqarrar the wuh sab terī kitāb meṅ us waqt darj the, jab ek bhī nahīṅ guzarā thā.
Psal UrduGeoR 139:17  Ai Allāh, tere ḳhayālāt samajhnā mere lie kitnā mushkil hai! Un kī kul tādād kitnī azīm hai.
Psal UrduGeoR 139:18  Agar maiṅ unheṅ gin saktā to wuh ret se zyādā hote. Maiṅ jāg uṭhtā hūṅ to tere hī sāth hotā hūṅ.
Psal UrduGeoR 139:19  Ai Allāh, kāsh tū bedīn ko mār ḍāle, ki ḳhūṅḳhār mujh se dūr ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 139:20  Wuh fareb se terā zikr karte haiṅ, hāṅ tere muḳhālif jhūṭ bolte haiṅ.
Psal UrduGeoR 139:21  Ai Rab, kyā maiṅ un se nafrat na karūṅ jo tujh se nafrat karte haiṅ? Kyā maiṅ un se ghin na khāūṅ jo tere ḳhilāf uṭhe haiṅ?
Psal UrduGeoR 139:22  Yaqīnan maiṅ un se saḳht nafrat kartā hūṅ. Wuh mere dushman ban gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 139:23  Ai Allāh, merā muāynā karke mere dil kā hāl jān le, mujhe jāṅch kar mere bechain ḳhayālāt ko jān le.
Psal UrduGeoR 139:24  Maiṅ nuqsāndeh rāh par to nahīṅ chal rahā? Abadī rāh par merī qiyādat kar!