Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 59
Psal UrduGeoR 59:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Tabāh na Kar. Yih sunahrā gīt us waqt se mutālliq hai jab Sāūl ne apne ādmiyoṅ ko Dāūd ke ghar kī pahrādārī karne ke lie bhejā tāki jab mauqā mile use qatl kareṅ. Ai mere Ḳhudā, mujhe mere dushmanoṅ se bachā. Un se merī hifāzat kar jo mere ḳhilāf uṭhe haiṅ.
Psal UrduGeoR 59:2  Mujhe badkāroṅ se chhuṭkārā de, ḳhūṅḳhāroṅ se rihā kar.
Psal UrduGeoR 59:3  Dekh, wuh merī tāk meṅ baiṭhe haiṅ. Ai Rab, zabardast ādmī mujh par hamlā-āwar haiṅ, hālāṅki mujh se na ḳhatā huī na gunāh.
Psal UrduGeoR 59:4  Maiṅ bequsūr hūṅ, tāham wuh dauṛ dauṛ kar mujh se laṛne kī taiyāriyāṅ kar rahe haiṅ. Chunāṅche jāg uṭh, merī madad karne ā, jo kuchh ho rahā hai us par nazar ḍāl.
Psal UrduGeoR 59:5  Ai Rab, lashkaroṅ aur Isrāīl ke Ḳhudā, dīgar tamām qaumoṅ ko sazā dene ke lie jāg uṭh. Un sab par karm na farmā jo sharīr aur ġhaddār haiṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 59:6  Har shām ko wuh wāpas ā jāte aur kuttoṅ kī tarah bhaunkte hue shahr kī galiyoṅ meṅ ghūmte-phirte haiṅ.
Psal UrduGeoR 59:7  Dekh, un ke muṅh se rāl ṭapak rahī hai, un ke hoṅṭoṅ se talwāreṅ nikal rahī haiṅ. Kyoṅki wuh samajhte haiṅ, “Kaun sunegā?”
Psal UrduGeoR 59:8  Lekin tū ai Rab, un par haṅstā hai, tū tamām qaumoṅ kā mazāq uṛātā hai.
Psal UrduGeoR 59:9  Ai merī quwwat, merī āṅkheṅ tujh par lagī raheṅgī, kyoṅki Allāh merā qilā hai.
Psal UrduGeoR 59:10  Merā Ḳhudā apnī mehrbānī ke sāth mujh se milne āegā, Allāh baḳhsh degā ki maiṅ apne dushmanoṅ kī shikast dekh kar ḳhush hūṅgā.
Psal UrduGeoR 59:11  Ai Allāh hamārī ḍhāl, unheṅ halāk na kar, warnā merī qaum terā kām bhūl jāegī. Apnī qudrat kā izhār yoṅ kar ki wuh idhar-udhar laṛkhaṛā kar gir jāeṅ.
Psal UrduGeoR 59:12  Jo kuchh bhī un ke muṅh se nikaltā hai wuh gunāh hai, wuh lānateṅ aur jhūṭ hī sunāte haiṅ. Chunāṅche unheṅ un ke takabbur ke jāl meṅ phaṅsne de.
Psal UrduGeoR 59:13  Ġhusse meṅ unheṅ tabāh kar! Unheṅ yoṅ tabāh kar ki un kā nām-o-nishān tak na rahe. Tab log duniyā kī intahā tak jān leṅge ki Allāh Yāqūb kī aulād par hukūmat kartā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 59:14  Har shām ko wuh wāpas ā jāte aur kuttoṅ kī tarah bhaunkte hue shahr kī galiyoṅ meṅ ghūmte-phirte haiṅ.
Psal UrduGeoR 59:15  Wuh idhar-udhar gasht lagā kar khāne kī chīzeṅ ḍhūṅḍte haiṅ. Agar peṭ na bhare to ġhurrāte rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 59:16  Lekin maiṅ terī qudrat kī madahsarāī karūṅga, subah ko ḳhushī ke nāre lagā kar terī shafqat kī satāish karūṅga. Kyoṅki tū merā qilā aur musībat ke waqt merī panāhgāh hai.
Psal UrduGeoR 59:17  Ai merī quwwat, maiṅ terī madahsarāī karūṅga, kyoṅki Allāh merā qilā aur merā mehrbān Ḳhudā hai.