PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 33
Psal | UrduGeoR | 33:1 | Ai rāstbāzo, Rab kī ḳhushī manāo! Kyoṅki munāsib hai ki sīdhī rāh par chalne wāle us kī satāish kareṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 33:2 | Sarod bajā kar Rab kī hamd-o-sanā karo. Us kī tamjīd meṅ das tāroṅ wālā sāz bajāo. | |
Psal | UrduGeoR | 33:6 | Rab ke kahne par āsmān ḳhalaq huā, us ke muṅh ke dam se sitāroṅ kā pūrā lashkar wujūd meṅ āyā. | |
Psal | UrduGeoR | 33:7 | Wuh samundar ke pānī kā baṛā ḍher jamā kartā, pānī kī gahrāiyoṅ ko godāmoṅ meṅ mahfūz rakhtā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 33:9 | Kyoṅki us ne farmāyā to fauran wujūd meṅ āyā, us ne hukm diyā to usī waqt qāym huā. | |
Psal | UrduGeoR | 33:10 | Rab aqwām kā mansūbā nākām hone detā, wuh ummatoṅ ke irādoṅ ko shikast detā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 33:11 | Lekin Rab kā mansūbā hameshā tak kāmyāb rahtā, us ke dil ke irāde pusht-dar-pusht qāym rahte haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 33:12 | Mubārak hai wuh qaum jis kā Ḳhudā Rab hai, wuh qaum jise us ne chun kar apnī mīrās banā liyā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 33:15 | Jis ne un sab ke diloṅ ko tashkīl diyā wuh un ke tamām kāmoṅ par dhyān detā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 33:16 | Bādshāh kī baṛī fauj use nahīṅ chhuṛātī, aur sūrme kī baṛī tāqat use nahīṅ bachātī. | |
Psal | UrduGeoR | 33:17 | Ghoṛā bhī madad nahīṅ kar saktā. Jo us par ummīd rakhe wuh dhokā khāegā. Us kī baṛī tāqat chhuṭkārā nahīṅ detī. | |
Psal | UrduGeoR | 33:18 | Yaqīnan Rab kī āṅkh un par lagī rahtī hai jo us kā ḳhauf mānte aur us kī mehrbānī ke intazār meṅ rahte haiṅ, | |
Psal | UrduGeoR | 33:21 | Hamārā dil us meṅ ḳhush hai, kyoṅki ham us ke muqaddas nām par bharosā rakhte haiṅ. | |