Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 34
Psal UrduGeoR 34:1  Dāūd kā yih zabūr us waqt se mutālliq hai jab us ne Filistī bādshāh Abīmalik ke sāmne pāgal banane kā rūp bhar liyā. Yih dekh kar bādshāh ne use bhagā diyā. Chale jāne ke bād Dāūd ne yih gīt gāyā. Har waqt maiṅ Rab kī tamjīd karūṅga, us kī hamd-o-sanā hameshā hī mere hoṅṭoṅ par rahegī.
Psal UrduGeoR 34:2  Merī jān Rab par faḳhr karegī. Musībatzadā yih sun kar ḳhush ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 34:3  Āo, mere sāth Rab kī tāzīm karo. Āo, ham mil kar us kā nām sarbuland kareṅ.
Psal UrduGeoR 34:4  Maiṅ ne Rab ko talāsh kiyā to us ne merī sunī. Jin chīzoṅ se maiṅ dahshat khā rahā thā un sab se us ne mujhe rihāī dī.
Psal UrduGeoR 34:5  Jin kī āṅkheṅ us par lagī raheṅ wuh ḳhushī se chamkeṅge, aur un ke muṅh sharmindā nahīṅ hoṅge.
Psal UrduGeoR 34:6  Is nāchār ne pukārā to Rab ne us kī sunī, us ne use us kī tamām musībatoṅ se najāt dī.
Psal UrduGeoR 34:7  Jo Rab kā ḳhauf māneṅ un ke irdgird us kā farishtā ḳhaimāzan ho kar un ko bachāe rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 34:8  Rab kī bhalāī kā tajrabā karo. Mubārak hai wuh jo us meṅ panāh le.
Psal UrduGeoR 34:9  Ai Rab ke muqaddasīn, us kā ḳhauf māno, kyoṅki jo us kā ḳhauf māneṅ unheṅ kamī nahīṅ.
Psal UrduGeoR 34:10  Jawān sherbabar kabhī zarūratmand aur bhūke hote haiṅ, lekin Rab ke tāliboṅ ko kisī bhī achchhī chīz kī kamī nahīṅ hogī.
Psal UrduGeoR 34:11  Ai bachcho, āo, merī bāteṅ suno! Maiṅ tumheṅ Rab ke ḳhauf kī tālīm dūṅgā.
Psal UrduGeoR 34:12  Kaun maze se zindagī guzārnā aur achchhe din deḳhnā chāhtā hai?
Psal UrduGeoR 34:13  Wuh apnī zabān ko sharīr bāteṅ karne se roke aur apne hoṅṭoṅ ko jhūṭ bolne se.
Psal UrduGeoR 34:14  Wuh burāī se muṅh pher kar nek kām kare, sulah-salāmatī kā tālib ho kar us ke pīchhe lagā rahe.
Psal UrduGeoR 34:15  Rab kī āṅkheṅ rāstbāzoṅ par lagī rahtī haiṅ, aur us ke kān un kī iltijāoṅ kī taraf māyl haiṅ.
Psal UrduGeoR 34:16  Lekin Rab kā chehrā un ke ḳhilāf hai jo ġhalat kām karte haiṅ. Un kā zamīn par nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā.
Psal UrduGeoR 34:17  Jab rāstbāz fariyād kareṅ to Rab un kī suntā, wuh unheṅ un kī tamām musībat se chhuṭkārā detā hai.
Psal UrduGeoR 34:18  Rab shikastādiloṅ ke qarīb hotā hai, wuh unheṅ rihāī detā hai jin kī rūh ko ḳhāk meṅ kuchlā gayā ho.
Psal UrduGeoR 34:19  Rāstbāz kī muta'addid takālīf hotī haiṅ, lekin Rab use un sab se bachā letā hai.
Psal UrduGeoR 34:20  Wuh us kī tamām haḍḍiyoṅ kī hifāzat kartā hai, ek bhī nahīṅ toṛī jāegī.
Psal UrduGeoR 34:21  Burāī bedīn ko mār ḍālegī, aur jo rāstbāz se nafrat kare use munāsib ajr milegā.
Psal UrduGeoR 34:22  Lekin Rab apne ḳhādimoṅ kī jān kā fidyā degā. Jo bhī us meṅ panāh le use sazā nahīṅ milegī.