PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 4
Psal | UrduGeoR | 4:1 | Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tārdār sāzoṅ ke sāth gānā hai. Ai merī rāstī ke Ḳhudā, merī sun jab maiṅ tujhe pukārtā hūṅ. Ai tū jo musībat meṅ merī maḳhlasī rahā hai mujh par mehrbānī karke merī iltijā sun! | |
Psal | UrduGeoR | 4:2 | Ai ādamzādo, merī izzat kab tak ḳhāk meṅ milāī jātī rahegī? Tum kab tak bātil chīzoṅ se lipṭe rahoge, kab tak jhūṭ kī talāsh meṅ rahoge? (Silāh) | |
Psal | UrduGeoR | 4:3 | Jān lo ki Rab ne īmāndār ko apne lie alag kar rakhā hai. Rab merī sunegā jab maiṅ use pukārūṅga. | |
Psal | UrduGeoR | 4:4 | Ġhusse meṅ āte waqt gunāh mat karnā. Apne bistar par leṭ kar muāmale par soch-bichār karo, lekin dil meṅ, ḳhāmoshī se. (Silāh) | |
Psal | UrduGeoR | 4:6 | Bahutere shak kar rahe haiṅ, “Kaun hamāre hālāt ṭhīk karegā?” Ai Rab, apne chehre kā nūr ham par chamkā! | |
Psal | UrduGeoR | 4:7 | Tū ne mere dil ko ḳhushī se bhar diyā hai, aisī ḳhushī se jo un ke pās bhī nahīṅ hotī jin ke pās kasrat kā anāj aur angūr hai. | |