PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 51
Psal | UrduGeoR | 51:1 | Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Yih gīt us waqt se mutālliq hai jab Dāūd ke Bat-sabā ke sāth zinā karne ke bād Nātan Nabī us ke pās āyā. Ai Allāh, apnī shafqat ke mutābiq mujh par mehrbānī kar, apne baṛe rahm ke mutābiq merī sarkashī ke dāġh miṭā de. | |
Psal | UrduGeoR | 51:2 | Mujhe dho de tāki merā qusūr dūr ho jāe, jo gunāh mujh se sarzad huā hai us se mujhe pāk kar. | |
Psal | UrduGeoR | 51:3 | Kyoṅki maiṅ apnī sarkashī ko māntā hūṅ, aur merā gunāh hameshā mere sāmne rahtā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 51:4 | Maiṅ ne tere, sirf tere hī ḳhilāf gunāh kiyā, maiṅ ne wuh kuchh kiyā jo terī nazar meṅ burā hai. Kyoṅki lāzim hai ki tū bolte waqt rāst ṭhahre aur adālat karte waqt pākīzā sābit ho jāe. | |
Psal | UrduGeoR | 51:5 | Yaqīnan maiṅ gunāhālūdā hālat meṅ paidā huā. Jyoṅ hī maiṅ māṅ ke peṭ meṅ wujūd meṅ āyā to gunāhgār thā. | |
Psal | UrduGeoR | 51:6 | Yaqīnan tū bātin kī sachchāī pasand kartā aur poshīdagī meṅ mujhe hikmat kī tālīm detā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 51:7 | Zūfā le kar mujh se gunāh dūr kar tāki pāk-sāf ho jāūṅ. Mujhe dho de tāki barf se zyādā safed ho jāūṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 51:8 | Mujhe dubārā ḳhushī aur shādmānī sunane de tāki jin haḍḍiyoṅ ko tū ne kuchal diyā wuh shādiyānā bajāeṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 51:10 | Ai Allāh, mere andar pāk dil paidā kar, mujh meṅ nae sire se sābitqadam rūh qāym kar. | |
Psal | UrduGeoR | 51:12 | Mujhe dubārā apnī najāt kī ḳhushī dilā, mujhe musta'id rūh atā karke saṅbhāle rakh. | |
Psal | UrduGeoR | 51:13 | Tab maiṅ unheṅ terī rāhoṅ kī tālīm dūṅgā jo tujh se bewafā ho gae haiṅ, aur gunāhgār tere pās wāpas āeṅge. | |
Psal | UrduGeoR | 51:14 | Ai Allāh, merī najāt ke Ḳhudā, qatl kā qusūr mujh se dūr karke mujhe bachā. Tab merī zabān terī rāstī kī hamd-o-sanā karegī. | |
Psal | UrduGeoR | 51:16 | Kyoṅki tū zabah kī qurbānī nahīṅ chāhtā, warnā maiṅ wuh pesh kartā. Bhasm hone wālī qurbāniyāṅ tujhe pasand nahīṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 51:17 | Allāh ko manzūr qurbānī shikastā rūh hai. Ai Allāh, tū shikastā aur kuchle hue dil ko haqīr nahīṅ jānegā. | |
Psal | UrduGeoR | 51:18 | Apnī mehrbānī kā izhār karke Siyyūn ko ḳhushhālī baḳhsh, Yarūshalam kī fasīl tāmīr kar. | |