Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 102
Psal UrduGeoR 102:1  Musībatzadā kī duā, us waqt jab wuh niḍhāl ho kar Rab ke sāmne apnī āh-o-zārī unḍel detā hai. Ai Rab, merī duā sun! Madad ke lie merī āheṅ tere huzūr pahuṅcheṅ.
Psal UrduGeoR 102:2  Jab maiṅ musībat meṅ hūṅ to apnā chehrā mujh se chhupāe na rakh balki apnā kān merī taraf jhukā. Jab maiṅ pukārūṅ to jald hī merī sun.
Psal UrduGeoR 102:3  Kyoṅki mere din dhueṅ kī tarah ġhāyb ho rahe haiṅ, merī haḍḍiyāṅ koeloṅ kī tarah dahak rahī haiṅ.
Psal UrduGeoR 102:4  Merā dil ghās kī tarah jhulas kar sūkh gayā hai, aur maiṅ roṭī khānā bhī bhūl gayā hūṅ.
Psal UrduGeoR 102:5  Āh-o-zārī karte karte merā jism sukaṛ gayā hai, jild aur haḍḍiyāṅ hī rah gaī haiṅ.
Psal UrduGeoR 102:6  Maiṅ registān meṅ dashtī ullū aur khanḍarāt meṅ chhoṭe ullū kī mānind hūṅ.
Psal UrduGeoR 102:7  Maiṅ bistar par jāgtā rahtā hūṅ, chhat par tanhā parinde kī mānind hūṅ.
Psal UrduGeoR 102:8  Din-bhar mere dushman mujhe lān-tān karte haiṅ. Jo merā mazāq uṛāte haiṅ wuh merā nām le kar lānat karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 102:9  Rākh merī roṭī hai, aur jo kuchh pītā hūṅ us meṅ mere āṅsū mile hote haiṅ.
Psal UrduGeoR 102:10  Kyoṅki mujh par terī lānat aur terā ġhazab nāzil huā hai. Tū ne mujhe uṭhā kar zamīn par paṭaḳh diyā hai.
Psal UrduGeoR 102:11  Mere din shām ke ḍhalne wāle sāy kī mānind haiṅ. Maiṅ ghās kī tarah sūkh rahā hūṅ.
Psal UrduGeoR 102:12  Lekin tū ai Rab abad tak taḳhtnashīn hai, terā nām pusht-dar-pusht qāym rahtā hai.
Psal UrduGeoR 102:13  Ab ā, Koh-e-Siyyūn par rahm kar. Kyoṅki us par mehrbānī karne kā waqt ā gayā hai, muqarrarā waqt ā gayā hai.
Psal UrduGeoR 102:14  Kyoṅki tere ḳhādimoṅ ko us kā ek ek patthar pyārā hai, aur wuh us ke malbe par tars khāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 102:15  Tab hī qaumeṅ Rab ke nām se ḍareṅgī, aur duniyā ke tamām bādshāh tere jalāl kā ḳhauf khāeṅge.
Psal UrduGeoR 102:16  Kyoṅki Rab Siyyūn ko az sar-e-nau tāmīr karegā, wuh apne pūre jalāl ke sāth zāhir ho jāegā.
Psal UrduGeoR 102:17  Muflisoṅ kī duā par wuh dhyān degā aur un kī fariyādoṅ ko haqīr nahīṅ jānegā.
Psal UrduGeoR 102:18  Āne wālī nasl ke lie yih qalamband ho jāe tāki jo qaum abhī paidā nahīṅ huī wuh Rab kī satāish kare.
Psal UrduGeoR 102:19  Kyoṅki Rab ne apne maqdis kī bulandiyoṅ se jhāṅkā hai, us ne āsmān se zamīn par nazar ḍālī hai
Psal UrduGeoR 102:20  tāki qaidiyoṅ kī āh-o-zārī sune aur marne wāloṅ kī zanjīreṅ khole.
Psal UrduGeoR 102:21  Kyoṅki us kī marzī hai ki wuh Koh-e-Siyyūn par Rab ke nām kā elān kareṅ aur Yarūshalam meṅ us kī satāish kareṅ,
Psal UrduGeoR 102:22  ki qaumeṅ aur saltanateṅ mil kar jamā ho jāeṅ aur Rab kī ibādat kareṅ.
Psal UrduGeoR 102:23  Rāste meṅ hī Allāh ne merī tāqat toṛ kar mere din muḳhtasar kar die haiṅ.
Psal UrduGeoR 102:24  Maiṅ bolā, “Ai mere Ḳhudā, mujhe zindoṅ ke mulk se dūr na kar, merī zindagī to adhūrī rah gaī hai. Lekin tere sāl pusht-dar-pusht qāym rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 102:25  Tū ne qadīm zamāne meṅ zamīn kī buniyād rakhī, aur tere hī hāthoṅ ne āsmānoṅ ko banāyā.
Psal UrduGeoR 102:26  Yih to tabāh ho jāeṅge, lekin tū qāym rahegā. Yih sab kapṛe kī tarah ghis-phaṭ jāeṅge. Tū unheṅ purāne libās kī tarah badal degā, aur wuh jāte raheṅge.
Psal UrduGeoR 102:27  Lekin tū wuhī kā wuhī rahtā hai, aur terī zindagī kabhī ḳhatm nahīṅ hotī.
Psal UrduGeoR 102:28  Tere ḳhādimoṅ ke farzand tere huzūr baste raheṅge, aur un kī aulād tere sāmne qāym rahegī.”