PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 102
Psal | UrduGeoR | 102:1 | Musībatzadā kī duā, us waqt jab wuh niḍhāl ho kar Rab ke sāmne apnī āh-o-zārī unḍel detā hai. Ai Rab, merī duā sun! Madad ke lie merī āheṅ tere huzūr pahuṅcheṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 102:2 | Jab maiṅ musībat meṅ hūṅ to apnā chehrā mujh se chhupāe na rakh balki apnā kān merī taraf jhukā. Jab maiṅ pukārūṅ to jald hī merī sun. | |
Psal | UrduGeoR | 102:3 | Kyoṅki mere din dhueṅ kī tarah ġhāyb ho rahe haiṅ, merī haḍḍiyāṅ koeloṅ kī tarah dahak rahī haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 102:4 | Merā dil ghās kī tarah jhulas kar sūkh gayā hai, aur maiṅ roṭī khānā bhī bhūl gayā hūṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 102:5 | Āh-o-zārī karte karte merā jism sukaṛ gayā hai, jild aur haḍḍiyāṅ hī rah gaī haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 102:8 | Din-bhar mere dushman mujhe lān-tān karte haiṅ. Jo merā mazāq uṛāte haiṅ wuh merā nām le kar lānat karte haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 102:10 | Kyoṅki mujh par terī lānat aur terā ġhazab nāzil huā hai. Tū ne mujhe uṭhā kar zamīn par paṭaḳh diyā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 102:11 | Mere din shām ke ḍhalne wāle sāy kī mānind haiṅ. Maiṅ ghās kī tarah sūkh rahā hūṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 102:12 | Lekin tū ai Rab abad tak taḳhtnashīn hai, terā nām pusht-dar-pusht qāym rahtā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 102:13 | Ab ā, Koh-e-Siyyūn par rahm kar. Kyoṅki us par mehrbānī karne kā waqt ā gayā hai, muqarrarā waqt ā gayā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 102:14 | Kyoṅki tere ḳhādimoṅ ko us kā ek ek patthar pyārā hai, aur wuh us ke malbe par tars khāte haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 102:15 | Tab hī qaumeṅ Rab ke nām se ḍareṅgī, aur duniyā ke tamām bādshāh tere jalāl kā ḳhauf khāeṅge. | |
Psal | UrduGeoR | 102:16 | Kyoṅki Rab Siyyūn ko az sar-e-nau tāmīr karegā, wuh apne pūre jalāl ke sāth zāhir ho jāegā. | |
Psal | UrduGeoR | 102:18 | Āne wālī nasl ke lie yih qalamband ho jāe tāki jo qaum abhī paidā nahīṅ huī wuh Rab kī satāish kare. | |
Psal | UrduGeoR | 102:19 | Kyoṅki Rab ne apne maqdis kī bulandiyoṅ se jhāṅkā hai, us ne āsmān se zamīn par nazar ḍālī hai | |
Psal | UrduGeoR | 102:21 | Kyoṅki us kī marzī hai ki wuh Koh-e-Siyyūn par Rab ke nām kā elān kareṅ aur Yarūshalam meṅ us kī satāish kareṅ, | |
Psal | UrduGeoR | 102:24 | Maiṅ bolā, “Ai mere Ḳhudā, mujhe zindoṅ ke mulk se dūr na kar, merī zindagī to adhūrī rah gaī hai. Lekin tere sāl pusht-dar-pusht qāym rahte haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 102:25 | Tū ne qadīm zamāne meṅ zamīn kī buniyād rakhī, aur tere hī hāthoṅ ne āsmānoṅ ko banāyā. | |
Psal | UrduGeoR | 102:26 | Yih to tabāh ho jāeṅge, lekin tū qāym rahegā. Yih sab kapṛe kī tarah ghis-phaṭ jāeṅge. Tū unheṅ purāne libās kī tarah badal degā, aur wuh jāte raheṅge. | |