Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 8
Psal UrduGeoR 8:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Gittīt. Ai Rab hamāre āqā, terā nām pūrī duniyā meṅ kitnā shāndār hai! Tū ne āsmān par hī apnā jalāl zāhir kar diyā hai.
Psal UrduGeoR 8:2  Apne muḳhālifoṅ ke jawāb meṅ tū ne chhoṭe bachchoṅ aur shīrḳhāroṅ kī zabān ko taiyār kiyā hai tāki wuh terī quwwat se dushman aur kīnāparwar ko ḳhatm kareṅ.
Psal UrduGeoR 8:3  Jab maiṅ tere āsmān kā mulāhazā kartā hūṅ jo terī ungliyoṅ kā kām hai, chāṅd aur sitāroṅ par ġhaur kartā hūṅ jin ko tū ne apnī apnī jagah par qāym kiyā
Psal UrduGeoR 8:4  to insān kaun hai ki tū use yād kare yā ādamzād ki tū us kā ḳhayāl rakhe?
Psal UrduGeoR 8:5  Tū ne use farishtoṅ se kuchh hī kam banāyā, tū ne use jalāl aur izzat kā tāj pahnāyā.
Psal UrduGeoR 8:6  Tū ne use apne hāthoṅ ke kāmoṅ par muqarrar kiyā, sab kuchh us ke pāṅwoṅ ke nīche kar diyā,
Psal UrduGeoR 8:7  ḳhāh bheṛ-bakriyāṅ hoṅ ḳhāh gāy-bail, janglī jānwar,
Psal UrduGeoR 8:8  parinde, machhliyāṅ yā samundarī rāhoṅ par chalne wāle bāqī tamām jānwar.
Psal UrduGeoR 8:9  Ai Rab hamāre āqā, pūrī duniyā meṅ terā nām kitnā shāndār hai!