Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 95
Psal UrduGeoR 95:1  Āo, ham shādiyānā bajā kar Rab kī madahsarāī kareṅ, ḳhushī ke nāre lagā kar apnī najāt kī chaṭān kī tamjīd kareṅ!
Psal UrduGeoR 95:2  Āo, ham shukrguzārī ke sāth us ke huzūr āeṅ, gīt gā kar us kī satāish kareṅ.
Psal UrduGeoR 95:3  Kyoṅki Rab azīm Ḳhudā aur tamām mābūdoṅ par azīm Bādshāh hai.
Psal UrduGeoR 95:4  Us ke hāth meṅ zamīn kī gahrāiyāṅ haiṅ, aur pahāṛ kī bulandiyāṅ bhī usī kī haiṅ.
Psal UrduGeoR 95:5  Samundar us kā hai, kyoṅki us ne use ḳhalaq kiyā. Ḳhushkī us kī hai, kyoṅki us ke hāthoṅ ne use tashkīl diyā.
Psal UrduGeoR 95:6  Āo ham sijdā kareṅ aur Rab apne Ḳhāliq ke sāmne jhuk kar ghuṭne ṭekeṅ.
Psal UrduGeoR 95:7  Kyoṅki wuh hamārā Ḳhudā hai aur ham us kī charāgāh kī qaum aur us ke hāth kī bheṛeṅ haiṅ. Agar tum āj us kī āwāz suno
Psal UrduGeoR 95:8  “To apne diloṅ ko saḳht na karo jis tarah Marībā meṅ huā, jis tarah registān meṅ Massā meṅ huā.
Psal UrduGeoR 95:9  Wahāṅ tumhāre bāpdādā ne mujhe āzmāyā aur jāṅchā, hālāṅki unhoṅ ne mere kām dekh lie the.
Psal UrduGeoR 95:10  Chālīs sāl maiṅ us nasl se ghin khātā rahā. Maiṅ bolā, ‘Un ke dil hameshā sahīh rāh se haṭ jāte haiṅ, aur wuh merī rāheṅ nahīṅ jānte.’
Psal UrduGeoR 95:11  Apne ġhazab meṅ maiṅ ne qasam khāī, ‘Yih kabhī us mulk meṅ dāḳhil nahīṅ hoṅge jahāṅ maiṅ unheṅ sukūn detā.’”