Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 116
Psal UrduGeoR 116:1  Maiṅ Rab se muhabbat rakhtā hūṅ, kyoṅki us ne merī āwāz aur merī iltijā sunī hai.
Psal UrduGeoR 116:2  Us ne apnā kān merī taraf jhukāyā hai, is lie maiṅ umr-bhar use pukārūṅga.
Psal UrduGeoR 116:3  Maut ne mujhe apnī zanjīroṅ meṅ jakaṛ liyā, aur Pātāl kī pareshāniyāṅ mujh par ġhālib āīṅ. Maiṅ musībat aur dukh meṅ phaṅs gayā.
Psal UrduGeoR 116:4  Tab maiṅ ne Rab kā nām pukārā, “Ai Rab, mehrbānī karke mujhe bachā!”
Psal UrduGeoR 116:5  Rab mehrbān aur rāst hai, hamārā Ḳhudā rahīm hai.
Psal UrduGeoR 116:6  Rab sādā logoṅ kī hifāzat kartā hai. Jab maiṅ pasthāl thā to us ne mujhe bachāyā.
Psal UrduGeoR 116:7  Ai merī jān, apnī ārāmgāh ke pās wāpas ā, kyoṅki Rab ne tere sāth bhalāī kī hai.
Psal UrduGeoR 116:8  Kyoṅki ai Rab, tū ne merī jān ko maut se, merī āṅkhoṅ ko āṅsū bahāne se aur mere pāṅwoṅ ko phisalne se bachāyā hai.
Psal UrduGeoR 116:9  Ab maiṅ zindoṅ kī zamīn meṅ rah kar Rab ke huzūr chalūṅgā.
Psal UrduGeoR 116:10  Maiṅ īmān lāyā aur is lie bolā, “Maiṅ shadīd musībat meṅ phaṅs gayā hūṅ.”
Psal UrduGeoR 116:11  Maiṅ saḳht ghabrā gayā aur bolā, “Tamām insān daroġhgo haiṅ.”
Psal UrduGeoR 116:12  Jo bhalāiyāṅ Rab ne mere sāth kī haiṅ un sab ke ewaz maiṅ kyā dūṅ?
Psal UrduGeoR 116:13  Maiṅ najāt kā pyālā uṭhā kar Rab kā nām pukārūṅga.
Psal UrduGeoR 116:14  Maiṅ Rab ke huzūr us kī sārī qaum ke sāmne hī apnī mannateṅ pūrī karūṅga.
Psal UrduGeoR 116:15  Rab kī nigāh meṅ us ke īmāndāroṅ kī maut girāṅqadar hai.
Psal UrduGeoR 116:16  Ai Rab, yaqīnan maiṅ terā ḳhādim, hāṅ terā ḳhādim aur terī ḳhādimā kā beṭā hūṅ. Tū ne merī zanjīroṅ ko toṛ ḍālā hai.
Psal UrduGeoR 116:17  Maiṅ tujhe shukrguzārī kī qurbānī pesh karke terā nām pukārūṅga.
Psal UrduGeoR 116:18  Maiṅ Rab ke huzūr us kī sārī qaum ke sāmne hī apnī mannateṅ pūrī karūṅga.
Psal UrduGeoR 116:19  Maiṅ Rab ke ghar kī bārgāhoṅ meṅ, ai Yarūshalam tere bīch meṅ hī unheṅ pūrā karūṅga. Rab kī hamd ho.