PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 5
Psal | UrduGeoR | 5:1 | Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ise bāṅsrī ke sāth gānā hai. Ai Rab, merī bāteṅ sun, merī āhoṅ par dhyān de! | |
Psal | UrduGeoR | 5:2 | Ai mere Bādshāh, mere Ḳhudā, madad ke lie merī chīḳheṅ sun, kyoṅki maiṅ tujh hī se duā kartā hūṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 5:3 | Ai Rab, subah ko tū merī āwāz suntā hai, subah ko maiṅ tujhe sab kuchh tartīb se pesh karke jawāb kā intazār karne lagtā hūṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 5:4 | Kyoṅki tū aisā Ḳhudā nahīṅ hai jo bedīnī se ḳhush ho. Jo burā hai wuh tere huzūr nahīṅ ṭhahar saktā. | |
Psal | UrduGeoR | 5:7 | Lekin mujh par tū ne baṛī mehrbānī kī hai, is lie maiṅ tere ghar meṅ dāḳhil ho saktā, maiṅ terā ḳhauf mān kar terī muqaddas sukūnatgāh ke sāmne sijdā kartā hūṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 5:8 | Ai Rab, apnī rāst rāh par merī rāhnumāī kar tāki mere dushman mujh par ġhālib na āeṅ. Apnī rāh ko mere āge hamwār kar. | |
Psal | UrduGeoR | 5:9 | Kyoṅki un ke muṅh se ek bhī qābil-e-etamād bāt nahīṅ nikaltī. Un kā dil tabāhī se bharā rahtā, un kā galā khulī qabr hai, aur un kī zabān chiknī-chupṛī bāteṅ ugaltī rahtī hai. | |
Psal | UrduGeoR | 5:10 | Ai Rab, unheṅ un ke ġhalat kām kā ajr de. Un kī sāzisheṅ un kī apnī tabāhī kā bāis baneṅ. Unheṅ un ke muta'addid gunāhoṅ ke bāis nikāl kar muntashir kar de, kyoṅki wuh tujh se sarkash ho gae haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 5:11 | Lekin jo tujh meṅ panāh lete haiṅ wuh sab ḳhush hoṅ, wuh abad tak shādiyānā bajāeṅ, kyoṅki tū unheṅ mahfūz rakhtā hai. Tere nām ko pyār karne wāle terā jashn manāeṅ. | |