PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 38
Psal | UrduGeoR | 38:1 | Dāūd kā zabūr. Yāddāsht ke lie. Ai Rab, apne ġhazab meṅ mujhe sazā na de, qahr meṅ mujhe tambīh na kar! | |
Psal | UrduGeoR | 38:3 | Terī lānat ke bāis merā pūrā jism bīmār hai, mere gunāh ke bāis merī tamām haḍḍiyāṅ galne lagī haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 38:4 | Kyoṅki maiṅ apne gunāhoṅ ke sailāb meṅ ḍūb gayā hūṅ, wuh nāqābil-e-bardāsht bojh ban gae haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 38:6 | Maiṅ kubaṛā ban kar ḳhāk meṅ dab gayā hūṅ, pūrā din mātamī libās pahne phirtā hūṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 38:8 | Maiṅ niḍhāl aur pāsh pāsh ho gayā hūṅ. Dil ke azāb ke bāis maiṅ chīḳhtā-chillātā hūṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 38:10 | Merā dil zor se dhaṛaktā, merī tāqat jawāb de gaī balki merī āṅkhoṅ kī raushnī bhī jātī rahī hai. | |
Psal | UrduGeoR | 38:11 | Mere dost aur sāthī merī musībat dekh kar mujh se gurez karte, mere qarīb ke rishtedār dūr khaṛe rahte haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 38:12 | Mere jānī dushman phande bichhā rahe haiṅ, jo mujhe nuqsān pahuṅchānā chāhte haiṅ wuh dhamkiyāṅ de rahe aur sārā sārā din farebdeh mansūbe bāndh rahe haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 38:13 | Aur maiṅ? Maiṅ to goyā bahrā hūṅ, maiṅ nahīṅ suntā. Maiṅ gūṅge kī mānind hūṅ jo apnā muṅh nahīṅ kholtā. | |
Psal | UrduGeoR | 38:16 | Maiṅ bolā, “Aisā na ho ki wuh merā nuqsān dekh kar baġhleṅ bajāeṅ, wuh mere pāṅwoṅ ke ḍagmagāne par mujhe dabā kar apne āp par faḳhr kareṅ.” | |
Psal | UrduGeoR | 38:18 | Chunāṅche maiṅ apnā qusūr taslīm kartā hūṅ, maiṅ apne gunāh ke bāis ġhamgīn hūṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 38:19 | Mere dushman zindā aur tāqatwar haiṅ, aur jo bilāwajah mujh se nafrat karte haiṅ wuh bahut haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 38:20 | Wuh nekī ke badle badī karte haiṅ. Wuh is lie mere dushman haiṅ ki maiṅ bhalāī ke pīchhe lagā rahtā hūṅ. | |