Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 48
Psal UrduGeoR 48:1  Gīt. Qorah kī aulād kā zabūr. Rab azīm aur baṛī tārīf ke lāyq hai. Us kā muqaddas pahāṛ hamāre Ḳhudā ke shahr meṅ hai.
Psal UrduGeoR 48:2  Koh-e-Siyyūn kī bulandī ḳhūbsūrat hai, pūrī duniyā us se ḳhush hotī hai. Koh-e-Siyyūn dūrtarīn shimāl kā ilāhī pahāṛ hī hai, wuh azīm Bādshāh kā shahr hai.
Psal UrduGeoR 48:3  Allāh us ke mahaloṅ meṅ hai, wuh us kī panāhgāh sābit huā hai.
Psal UrduGeoR 48:4  Kyoṅki dekho, bādshāh jamā ho kar Yarūshalam se laṛne āe.
Psal UrduGeoR 48:5  Lekin use deḳhte hī wuh hairān hue, wuh dahshat khā kar bhāg gae.
Psal UrduGeoR 48:6  Wahāṅ un par kapkapī tārī huī, aur wuh dard-e-zah meṅ mubtalā aurat kī tarah pech-o-tāb khāne lage.
Psal UrduGeoR 48:7  Jis tarah mashriqī āṅdhī Tarsīs ke shāndār jahāzoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe kar detī hai usī tarah tū ne unheṅ tabāh kar diyā.
Psal UrduGeoR 48:8  Jo kuchh ham ne sunā hai wuh hamāre deḳhte deḳhte Rabbul-afwāj hamāre Ḳhudā ke shahr par sādiq āyā hai, Allāh use abad tak qāym rakhegā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 48:9  Ai Allāh, ham ne terī sukūnatgāh meṅ terī shafqat par ġhaur-o-ḳhauz kiyā hai.
Psal UrduGeoR 48:10  Ai Allāh, terā nām is lāyq hai ki terī tārīf duniyā kī intahā tak kī jāe. Terā dahnā hāth rāstī se bharā rahtā hai.
Psal UrduGeoR 48:11  Koh-e-Siyyūn shādmān ho, Yahūdāh kī beṭiyāṅ tere munsifānā faisloṅ ke bāis ḳhushī manāeṅ.
Psal UrduGeoR 48:12  Siyyūn ke irdgird ghūmo-phiro, us kī fasīl ke sāth sāth chal kar us ke burj gin lo.
Psal UrduGeoR 48:13  Us kī qilābandī par ḳhūb dhyān do, us ke mahaloṅ kā muāynā karo tāki āne wālī nasl ko sab kuchh sunā sako.
Psal UrduGeoR 48:14  Yaqīnan Allāh hamārā Ḳhudā hameshā tak aisā hī hai. Wuh abad tak hamārī rāhnumāī karegā.