Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 2
Psal UrduGeoR 2:1  Aqwām kyoṅ taish meṅ ā gaī haiṅ? Ummateṅ kyoṅ bekār sāzisheṅ kar rahī haiṅ?
Psal UrduGeoR 2:2  Duniyā ke bādshāh uṭh khaṛe hue, hukmrān Rab aur us ke Masīh ke ḳhilāf jamā ho gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 2:3  Wuh kahte haiṅ, “Āo, ham un kī zanjīroṅ ko toṛ kar āzād ho jāeṅ, un ke rassoṅ ko dūr tak phaiṅk deṅ.”
Psal UrduGeoR 2:4  Lekin jo āsmān par taḳhtnashīn hai wuh haṅstā hai, Rab un kā mazāq uṛātā hai.
Psal UrduGeoR 2:5  Phir wuh ġhusse se unheṅ ḍānṭtā, apnā shadīd ġhazab un par nāzil karke unheṅ ḍarātā hai.
Psal UrduGeoR 2:6  Wuh farmātā hai, “Maiṅ ne ḳhud apne Bādshāh ko apne muqaddas pahāṛ Siyyūn par muqarrar kiyā hai!”
Psal UrduGeoR 2:7  Āo, maiṅ Rab kā farmān sunāūṅ. Us ne mujh se kahā, “Tū merā Beṭā hai, āj maiṅ terā Bāp ban gayā hūṅ.
Psal UrduGeoR 2:8  Mujh se māṅg to maiṅ tujhe mīrās meṅ tamām aqwām atā karūṅga, duniyā kī intahā tak sab kuchh baḳhsh dūṅgā.
Psal UrduGeoR 2:9  Tū unheṅ lohe ke shāhī asā se pāsh pāsh karegā, unheṅ miṭṭī ke bartanoṅ kī tarah chaknāchūr karegā.”
Psal UrduGeoR 2:10  Chunāṅche ai bādshāho, samajh se kām lo! Ai duniyā ke hukmrāno, tarbiyat qabūl karo!
Psal UrduGeoR 2:11  Ḳhauf karte hue Rab kī ḳhidmat karo, larazte hue ḳhushī manāo.
Psal UrduGeoR 2:12  Beṭe ko bosā do, aisā na ho ki wuh ġhusse ho jāe aur tum rāste meṅ hī halāk ho jāo. Kyoṅki wuh ek dam taish meṅ ā jātā hai. Mubārak haiṅ wuh sab jo us meṅ panāh lete haiṅ.