Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 73
Psal UrduGeoR 73:1  Āsaf kā zabūr. Yaqīnan Allāh Isrāīl par mehrbān hai, un par jin ke dil pāk haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:2  Lekin maiṅ phisalne ko thā, mere qadam laġhzish khāne ko the.
Psal UrduGeoR 73:3  Kyoṅki sheḳhībāzoṅ ko dekh kar maiṅ bechain ho gayā, is lie ki bedīn itne ḳhushhāl haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:4  Marte waqt un ko koī taklīf nahīṅ hotī, aur un ke jism moṭe-tāze rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:5  Ām logoṅ ke masāyl se un kā wāstā nahīṅ paṛtā. Jis dard-o-karab meṅ dūsre mubtalā rahte haiṅ us se wuh āzād hote haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:6  Is lie un ke gale meṅ takabbur kā hār hai, wuh zulm kā libās pahne phirte haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:7  Charbī ke bāis un kī āṅkheṅ ubhar āī haiṅ. Un ke dil belagām wahmoṅ kī girift meṅ rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:8  Wuh mazāq uṛā kar burī bāteṅ karte haiṅ, apne ġhurūr meṅ zulm kī dhamkiyāṅ dete haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:9  Wuh samajhte haiṅ ki jo kuchh hamāre muṅh se nikaltā hai wuh āsmān se hai, jo bāt hamārī zabān par ā jātī hai wuh pūrī zamīn ke lie ahmiyat rakhtī hai.
Psal UrduGeoR 73:10  Chunāṅche awām un kī taraf rujū hote haiṅ, kyoṅki un ke hāṅ kasrat kā pānī piyā jātā hai.
Psal UrduGeoR 73:11  Wuh kahte haiṅ, “Allāh ko kyā patā hai? Allāh T'ālā ko ilm hī nahīṅ.”
Psal UrduGeoR 73:12  Dekho, yihī hai bedīnoṅ kā hāl. Wuh hameshā sukūn se rahte, hameshā apnī daulat meṅ izāfā karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:13  Yaqīnan maiṅ ne befāydā apnā dil pāk rakhā aur abas apne hāth ġhalat kām karne se bāz rakhe.
Psal UrduGeoR 73:14  Kyoṅki din-bhar maiṅ dard-o-karab meṅ mubtalā rahtā hūṅ, har subah mujhe sazā dī jātī hai.
Psal UrduGeoR 73:15  Agar maiṅ kahtā, “Maiṅ bhī un kī tarah bolūṅgā,” to tere farzandoṅ kī nasl se ġhaddārī kartā.
Psal UrduGeoR 73:16  Maiṅ soch-bichār meṅ paṛ gayā tāki bāt samjhūṅ, lekin sochte sochte thak gayā, aziyat meṅ sirf izāfā huā.
Psal UrduGeoR 73:17  Tab maiṅ Allāh ke maqdis meṅ dāḳhil ho kar samajh gayā ki un kā anjām kyā hogā.
Psal UrduGeoR 73:18  Yaqīnan tū unheṅ phisalnī jagah par rakhegā, unheṅ fareb meṅ phaṅsā kar zamīn par paṭaḳh degā.
Psal UrduGeoR 73:19  Achānak hī wuh tabāh ho jāeṅge, dahshatnāk musībat meṅ phaṅs kar mukammal taur par fanā ho jāeṅge.
Psal UrduGeoR 73:20  Ai Rab, jis tarah ḳhāb jāg uṭhte waqt ġhairhaqīqī sābit hotā hai usī tarah tū uṭhte waqt unheṅ wahm qarār de kar haqīr jānegā.
Psal UrduGeoR 73:21  Jab mere dil meṅ talḳhī paidā huī aur mere bātin meṅ saḳht dard thā
Psal UrduGeoR 73:22  to maiṅ ahmaq thā. Maiṅ kuchh nahīṅ samajhtā thā balki tere sāmne maweshī kī mānind thā.
Psal UrduGeoR 73:23  To bhī maiṅ hameshā tere sāth lipṭā rahūṅgā, kyoṅki tū merā dahnā hāth thāme rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 73:24  Tū apne mashware se merī qiyādat karke āḳhir meṅ izzat ke sāth merā ḳhairmaqdam karegā.
Psal UrduGeoR 73:25  Jab tū mere sāth hai to mujhe āsmān par kyā kamī hogī? Jab tū mere sāth hai to maiṅ zamīn kī koī bhī chīz nahīṅ chāhūṅgā.
Psal UrduGeoR 73:26  Ḳhāh merā jism aur merā dil jawāb de jāeṅ, lekin Allāh hameshā tak mere dil kī chaṭān aur merī mīrās hai.
Psal UrduGeoR 73:27  Yaqīnan jo tujh se dūr haiṅ wuh halāk ho jāeṅge, jo tujh se bewafā haiṅ unheṅ tū tabāh kar degā.
Psal UrduGeoR 73:28  Lekin mere lie Allāh kī qurbat sab kuchh hai. Maiṅ ne Rab Qādir-e-mutlaq ko apnī panāhgāh banāyā hai, aur maiṅ logoṅ ko tere tamām kām sunāūṅgā.