Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 105
Psal UrduGeoR 105:1  Rab kā shukr karo aur us kā nām pukāro! Aqwām meṅ us ke kāmoṅ kā elān karo.
Psal UrduGeoR 105:2  Sāz bajā kar us kī madahsarāī karo. Us ke tamām ajāyb ke bāre meṅ logoṅ ko batāo.
Psal UrduGeoR 105:3  Us ke muqaddas nām par faḳhr karo. Rab ke tālib dil se ḳhush hoṅ.
Psal UrduGeoR 105:4  Rab aur us kī qudrat kī dariyāft karo, har waqt us ke chehre ke tālib raho.
Psal UrduGeoR 105:5  Jo mojize us ne kie unheṅ yād karo. Us ke ilāhī nishān aur us ke muṅh ke faisle dohrāte raho.
Psal UrduGeoR 105:6  Tum jo us ke ḳhādim Ibrāhīm kī aulād aur Yāqūb ke farzand ho, jo us ke barguzīdā log ho, tumheṅ sab kuchh yād rahe!
Psal UrduGeoR 105:7  Wuhī Rab hamārā Ḳhudā hai, wuhī pūrī duniyā kī adālat kartā hai.
Psal UrduGeoR 105:8  Wuh hameshā apne ahd kā ḳhayāl rakhtā hai, us kalām kā jo us ne hazār pushtoṅ ke lie farmāyā thā.
Psal UrduGeoR 105:9  Yih wuh ahd hai jo us ne Ibrāhīm se bāndhā, wuh wādā jo us ne qasam khā kar Is'hāq se kiyā thā.
Psal UrduGeoR 105:10  Us ne use Yāqūb ke lie qāym kiyā tāki wuh us ke mutābiq zindagī guzāre, us ne tasdīq kī ki yih merā Isrāīl se abadī ahd hai.
Psal UrduGeoR 105:11  Sāth sāth us ne farmāyā, “Maiṅ tujhe Mulk-e-Kanān dūṅgā. Yih terī mīrās kā hissā hogā.”
Psal UrduGeoR 105:12  Us waqt wuh tādād meṅ kam aur thoṛe hī the balki mulk meṅ ajnabī hī the.
Psal UrduGeoR 105:13  Ab tak wuh muḳhtalif qaumoṅ aur saltanatoṅ meṅ ghūmte-phirte the.
Psal UrduGeoR 105:14  Lekin Allāh ne un par kisī ko zulm karne na diyā, aur un kī ḳhātir us ne bādshāhoṅ ko ḍānṭā,
Psal UrduGeoR 105:15  “Mere masah kie hue ḳhādimoṅ ko mat chheṛnā, mere nabiyoṅ ko nuqsān mat pahuṅchānā.”
Psal UrduGeoR 105:16  Phir Allāh ne Mulk-e-Kanān meṅ kāl paṛne diyā aur ḳhurāk kā har zaḳhīrā ḳhatm kiyā.
Psal UrduGeoR 105:17  Lekin us ne un ke āge āge ek ādmī ko Misr bhejā yānī Yūsuf ko jo ġhulām ban kar faroḳht huā.
Psal UrduGeoR 105:18  Us ke pāṅw aur gardan zanjīroṅ meṅ jakaṛe rahe
Psal UrduGeoR 105:19  jab tak wuh kuchh pūrā na huā jis kī peshgoī Yūsuf ne kī thī, jab tak Rab ke farmān ne us kī tasdīq na kī.
Psal UrduGeoR 105:20  Tab Misrī bādshāh ne apne bandoṅ ko bhej kar use rihāī dī, qaumoṅ ke hukmrān ne use āzād kiyā.
Psal UrduGeoR 105:21  Us ne use apne gharāne par nigarān aur apnī tamām milkiyat par hukmrān muqarrar kiyā.
Psal UrduGeoR 105:22  Yūsuf ko Firaun ke ra'īsoṅ ko apnī marzī ke mutābiq chalāne aur Misrī buzurgoṅ ko hikmat kī tālīm dene kī zimmedārī bhī dī gaī.
Psal UrduGeoR 105:23  Phir Yāqūb kā ḳhāndān Misr āyā, aur Isrāīl Hām ke mulk meṅ ajnabī kī haisiyat se basne lagā.
Psal UrduGeoR 105:24  Wahāṅ Allāh ne apnī qaum ko bahut phalne-phūlne diyā, us ne use us ke dushmanoṅ se zyādā tāqatwar banā diyā.
Psal UrduGeoR 105:25  Sāth sāth us ne Misriyoṅ kā rawaiyā badal diyā, to wuh us kī qaum Isrāīl se nafrat karke Rab ke ḳhādimoṅ se chālākiyāṅ karne lage.
Psal UrduGeoR 105:26  Tab Allāh ne apne ḳhādim Mūsā aur apne chune hue bande Hārūn ko Misr meṅ bhejā.
Psal UrduGeoR 105:27  Mulk-e-Hām meṅ ā kar unhoṅ ne un ke darmiyān Allāh ke ilāhī nishān aur mojize dikhāe.
Psal UrduGeoR 105:28  Allāh ke hukm par Misr par tārīkī chhā gaī, mulk meṅ andherā ho gayā. Lekin unhoṅ ne us ke farmān na māne.
Psal UrduGeoR 105:29  Us ne un kā pānī ḳhūn meṅ badal kar un kī machhliyoṅ ko marwā diyā.
Psal UrduGeoR 105:30  Misr ke mulk par meṅḍakoṅ ke ġhol chhā gae jo un ke hukmrānoṅ ke andarūnī kamroṅ tak pahuṅch gae.
Psal UrduGeoR 105:31  Allāh ke hukm par Misr ke pūre ilāqe meṅ makkhiyoṅ aur juoṅ ke ġhol phail gae.
Psal UrduGeoR 105:32  Bārish kī bajāe us ne un ke mulk par ole aur dahakte shole barsāe.
Psal UrduGeoR 105:33  Us ne un kī angūr kī beleṅ aur anjīr ke daraḳht tabāh kar die, un ke ilāqe ke daraḳht toṛ ḍāle.
Psal UrduGeoR 105:34  Us ke hukm par anginat ṭiḍḍiyāṅ apne bachchoṅ samet mulk par hamlā-āwar huīṅ.
Psal UrduGeoR 105:35  Wuh un ke mulk kī tamām hariyālī aur un ke khetoṅ kī tamām paidāwār chaṭ kar gaīṅ.
Psal UrduGeoR 105:36  Phir Allāh ne Misr meṅ tamām pahlauṭhoṅ ko mār ḍālā, un kī mardānagī kā pahlā phal tamām huā.
Psal UrduGeoR 105:37  Is ke bād wuh Isrāīl ko chāṅdī aur sone se nawāz kar Misr se nikāl lāyā. Us waqt us ke qabīloṅ meṅ ṭhokar khāne wālā ek bhī nahīṅ thā.
Psal UrduGeoR 105:38  Misr ḳhush thā jab wuh rawānā hue, kyoṅki un par Isrāīl kī dahshat chhā gaī thī.
Psal UrduGeoR 105:39  Din ko Allāh ne un ke ūpar bādal kambal kī tarah bichhā diyā, rāt ko āg muhaiyā kī tāki raushnī ho.
Psal UrduGeoR 105:40  Jab unhoṅ ne ḳhurāk māṅgī to us ne unheṅ baṭer pahuṅchā kar āsmānī roṭī se ser kiyā.
Psal UrduGeoR 105:41  Us ne chaṭān ko chāk kiyā to pānī phūṭ niklā, aur registān meṅ pānī kī nadiyāṅ bahne lagīṅ.
Psal UrduGeoR 105:42  Kyoṅki us ne us muqaddas wāde kā ḳhayāl rakhā jo us ne apne ḳhādim Ibrāhīm se kiyā thā.
Psal UrduGeoR 105:43  Chunāṅche wuh apnī chunī huī qaum ko Misr se nikāl lāyā, aur wuh ḳhushī aur shādmānī ke nāre lagā kar nikal āe.
Psal UrduGeoR 105:44  Us ne unheṅ dīgar aqwām ke mamālik die, aur unhoṅ ne dīgar ummatoṅ kī mehnat ke phal par qabzā kiyā.
Psal UrduGeoR 105:45  Kyoṅki wuh chāhtā thā ki wuh us ke ahkām aur hidāyāt ke mutābiq zindagī guzāreṅ. Rab kī hamd ho.