Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 37
Psal UrduGeoR 37:1  Dāūd kā zabūr. Sharīroṅ ke bāis bechain na ho jā, badkāroṅ par rashk na kar.
Psal UrduGeoR 37:2  Kyoṅki wuh ghās kī tarah jald hī murjhā jāeṅge, hariyālī kī tarah jald hī sūkh jāeṅge.
Psal UrduGeoR 37:3  Rab par bharosā rakh kar bhalāī kar, mulk meṅ rah kar wafādārī kī parwarish kar.
Psal UrduGeoR 37:4  Rab se lutfandoz ho to jo terā dil chāhe wuh tujhe degā.
Psal UrduGeoR 37:5  Apnī rāh Rab ke sapurd kar. Us par bharosā rakh to wuh tujhe kāmyābī baḳhshegā.
Psal UrduGeoR 37:6  Tab wuh terī rāstbāzī sūraj kī tarah tulū hone degā aur terā insāf dopahar kī raushnī kī tarah chamakne degā.
Psal UrduGeoR 37:7  Rab ke huzūr chup ho kar sabar se us kā intazār kar. Beqarār na ho agar sāzisheṅ karne wālā kāmyāb ho.
Psal UrduGeoR 37:8  Ḳhafā hone se bāz ā, ġhusse ko chhoṛ de. Ranjīdā na ho, warnā burā hī natījā niklegā.
Psal UrduGeoR 37:9  Kyoṅki sharīr miṭ jāeṅge jabki Rab se ummīd rakhne wāle mulk ko mīrās meṅ pāeṅge.
Psal UrduGeoR 37:10  Mazīd thoṛī der sabar kar to bedīn kā nām-o-nishān miṭ jāegā. Tū us kā khoj lagāegā, lekin kahīṅ nahīṅ pāegā.
Psal UrduGeoR 37:11  Lekin halīm mulk ko mīrās meṅ pā kar baṛe amn aur sukūn se lutfandoz hoṅge.
Psal UrduGeoR 37:12  Beshak bedīn dāṅt pīs pīs kar rāstbāz ke ḳhilāf sāzisheṅ kartā rahe.
Psal UrduGeoR 37:13  Lekin Rab us par haṅstā hai, kyoṅki wuh jāntā hai ki us kā anjām qarīb hī hai.
Psal UrduGeoR 37:14  Bedīnoṅ ne talwār ko khīṅchā aur kamān ko tān liyā hai tāki nāchāroṅ aur zarūratmandoṅ ko girā deṅ aur sīdhī rāh par chalne wāloṅ ko qatl kareṅ.
Psal UrduGeoR 37:15  Lekin un kī talwār un ke apne dil meṅ ghoṅpī jāegī, un kī kamān ṭūṭ jāegī.
Psal UrduGeoR 37:16  Rāstbāz ko jo thoṛā-bahut hāsil hai wuh bahut bedīnoṅ kī daulat se behtar hai.
Psal UrduGeoR 37:17  Kyoṅki bedīnoṅ kā bāzū ṭūṭ jāegā jabki Rab rāstbāzoṅ ko saṅbhāltā hai.
Psal UrduGeoR 37:18  Rab be'ilzāmoṅ ke din jāntā hai, aur un kī maurūsī milkiyat hameshā ke lie qāym rahegī.
Psal UrduGeoR 37:19  Musībat ke waqt wuh sharmsār nahīṅ hoṅge, kāl bhī paṛe to ser hoṅge.
Psal UrduGeoR 37:20  Lekin bedīn halāk ho jāeṅge, aur Rab ke dushman charāgāhoṅ kī shān kī tarah nest ho jāeṅge, dhueṅ kī tarah ġhāyb ho jāeṅge.
Psal UrduGeoR 37:21  Bedīn qarz letā aur use nahīṅ utārtā, lekin rāstbāz mehrbān hai aur faiyāzī se detā hai.
Psal UrduGeoR 37:22  Kyoṅki jinheṅ Rab barkat de wuh mulk ko mīrās meṅ pāeṅge, lekin jin par wuh lānat bheje un kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā.
Psal UrduGeoR 37:23  Agar kisī ke pāṅw jam jāeṅ to yih Rab kī taraf se hai. Aise shaḳhs kī rāh ko wuh pasand kartā hai.
Psal UrduGeoR 37:24  Agar gir bhī jāe to paṛā nahīṅ rahegā, kyoṅki Rab us ke hāth kā sahārā banā rahegā.
Psal UrduGeoR 37:25  Maiṅ jawān thā aur ab būṛhā ho gayā hūṅ. Lekin maiṅ ne kabhī nahīṅ dekhā ki rāstbāz ko tark kiyā gayā yā us ke bachchoṅ ko bhīk māṅgnī paṛī.
Psal UrduGeoR 37:26  Wuh hameshā mehrbān aur qarz dene ke lie taiyār hai. Us kī aulād barkat kā bāis hogī.
Psal UrduGeoR 37:27  Burāī se bāz ā kar bhalāī kar. Tab tū hameshā ke lie mulk meṅ ābād rahegā,
Psal UrduGeoR 37:28  kyoṅki Rab ko insāf pyārā hai, aur wuh apne īmāndāroṅ ko kabhī tark nahīṅ karegā. Wuh abad tak mahfūz raheṅge jabki bedīnoṅ kī aulād kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā.
Psal UrduGeoR 37:29  Rāstbāz mulk ko mīrās meṅ pā kar us meṅ hameshā baseṅge.
Psal UrduGeoR 37:30  Rāstbāz kā muṅh hikmat bayān kartā aur us kī zabān se insāf nikaltā hai.
Psal UrduGeoR 37:31  Allāh kī sharīat us ke dil meṅ hai, aur us ke qadam kabhī nahīṅ ḍagmagāeṅge.
Psal UrduGeoR 37:32  Bedīn rāstbāz kī tāk meṅ baiṭh kar use mār ḍālne kā mauqā ḍhūṅḍtā hai.
Psal UrduGeoR 37:33  Lekin Rab rāstbāz ko us ke hāth meṅ nahīṅ chhoṛegā, wuh use adālat meṅ mujrim nahīṅ ṭhaharne degā.
Psal UrduGeoR 37:34  Rab ke intazār meṅ rah aur us kī rāh par chaltā rah. Tab wuh tujhe sarfarāz karke mulk kā wāris banāegā, aur tū bedīnoṅ kī halākat dekhegā.
Psal UrduGeoR 37:35  Maiṅ ne ek bedīn aur zālim ādmī ko dekhā jo phalte-phūlte deodār ke daraḳht kī tarah āsmān se bāteṅ karne lagā.
Psal UrduGeoR 37:36  Lekin thoṛī der ke bād jab maiṅ dubārā wahāṅ se guzarā to wuh thā nahīṅ. Maiṅ ne us kā khoj lagāyā, lekin kahīṅ na milā.
Psal UrduGeoR 37:37  Be'ilzām par dhyān de aur diyānatdār par ġhaur kar, kyoṅki āḳhirkār use amn aur sukūn hāsil hogā.
Psal UrduGeoR 37:38  Lekin mujrim mil kar tabāh ho jāeṅge, aur bedīnoṅ ko āḳhirkār rū-e-zamīn par se miṭāyā jāegā.
Psal UrduGeoR 37:39  Rāstbāzoṅ kī najāt Rab kī taraf se hai, musībat ke waqt wuhī un kā qilā hai.
Psal UrduGeoR 37:40  Rab hī un kī madad karke unheṅ chhuṭkārā degā, wuhī unheṅ bedīnoṅ se bachā kar najāt degā. Kyoṅki unhoṅ ne us meṅ panāh lī hai.