Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 49
Psal UrduGeoR 49:1  Qorah kī aulād kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai tamām qaumo, suno! Duniyā ke tamām bāshindo, dhyān do!
Psal UrduGeoR 49:2  Chhoṭe aur baṛe, amīr aur ġharīb sab tawajjuh deṅ.
Psal UrduGeoR 49:3  Merā muṅh hikmat bayān karegā aur mere dil kā ġhaur-o-ḳhauz samajh atā karegā.
Psal UrduGeoR 49:4  Maiṅ apnā kān ek kahāwat kī taraf jhukāūṅgā, sarod bajā kar apnī pahelī kā hal batāūṅgā.
Psal UrduGeoR 49:5  Maiṅ ḳhauf kyoṅ khāūṅ jab musībat ke din āeṅ aur makkāroṅ kā burā kām mujhe gher le?
Psal UrduGeoR 49:6  Aise log apnī milkiyat par etamād aur apnī baṛī daulat par faḳhr karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 49:7  Koī bhī fidyā de kar apne bhāī kī jān ko nahīṅ chhuṛā saktā. Wuh Allāh ko is qism kā tāwān nahīṅ de saktā.
Psal UrduGeoR 49:8  Kyoṅki itnī baṛī raqam denā us ke bas kī bāt nahīṅ. Āḳhirkār use hameshā ke lie aisī koshishoṅ se bāz ānā paṛegā.
Psal UrduGeoR 49:9  Chunāṅche koī bhī hameshā ke lie zindā nahīṅ rah saktā, āḳhirkār har ek maut ke gaṛhe meṅ utregā.
Psal UrduGeoR 49:10  Kyoṅki har ek dekh saktā hai ki dānishmand bhī wafāt pāte aur ahmaq aur nāsamajh bhī mil kar halāk ho jāte haiṅ. Sab ko apnī daulat dūsroṅ ke lie chhoṛnī paṛtī hai.
Psal UrduGeoR 49:11  Un kī qabreṅ abad tak un ke ghar banī raheṅgī, pusht-dar-pusht wuh un meṅ base raheṅge, go unheṅ zamīneṅ hāsil thīṅ jo un ke nām par thīṅ.
Psal UrduGeoR 49:12  Insān apnī shān-o-shaukat ke bāwujūd qāym nahīṅ rahtā, use jānwaroṅ kī tarah halāk honā hai.
Psal UrduGeoR 49:13  Yih un sab kī taqdīr hai jo apne āp par etamād rakhte haiṅ, aur un sab kā anjām jo un kī bāteṅ pasand karte haiṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 49:14  Unheṅ bheṛ-bakriyoṅ kī tarah Pātāl meṅ lāyā jāegā, aur maut unheṅ charāegī. Kyoṅki subah ke waqt diyānatdār un par hukūmat kareṅge. Tab un kī shakl-o-sūrat ghise-phaṭe kapṛe kī tarah gal saṛ jāegī, Pātāl hī un kī rihāishgāh hogā.
Psal UrduGeoR 49:15  Lekin Allāh merī jān kā fidyā degā, wuh mujhe pakaṛ kar Pātāl kī girift se chhuṛāegā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 49:16  Mat ghabrā jab koī amīr ho jāe, jab us ke ghar kī shān-o-shaukat baṛhtī jāe.
Psal UrduGeoR 49:17  Marte waqt to wuh apne sāth kuchh nahīṅ le jāegā, us kī shān-o-shaukat us ke sāth Pātāl meṅ nahīṅ utregī.
Psal UrduGeoR 49:18  Beshak wuh jīte-jī apne āp ko mubārak kahegā, aur dūsre bhī khāte-pīte ādmī kī tārīf kareṅge.
Psal UrduGeoR 49:19  Phir bhī wuh āḳhirkār apne bāpdādā kī nasl ke pās utregā, un ke pās jo dubārā kabhī raushnī nahīṅ dekheṅge.
Psal UrduGeoR 49:20  Jo insān apnī shān-o-shaukat ke bāwujūd nāsamajh hai, use jānwaroṅ kī tarah halāk honā hai.