PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 69
Psal | UrduGeoR | 69:1 | Dāūd kā zabūr. Tarz: Sosan ke Phūl. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Allāh, mujhe bachā! Kyoṅki pānī mere gale tak pahuṅch gayā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 69:2 | Maiṅ gahrī daldal meṅ dhaṅs gayā hūṅ, kahīṅ pāṅw jamāne kī jagah nahīṅ miltī. Maiṅ pānī kī gahrāiyoṅ meṅ ā gayā hūṅ, sailāb mujh par ġhālib ā gayā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 69:3 | Maiṅ chillāte chillāte thak gayā hūṅ. Merā galā baiṭh gayā hai. Apne Ḳhudā kā intazār karte karte merī āṅkheṅ dhundlā gaīṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 69:4 | Jo bilāwajah mujh se kīnā rakhte haiṅ wuh mere sar ke bāloṅ se zyādā haiṅ, jo besabab mere dushman haiṅ aur mujhe tabāh karnā chāhte haiṅ wuh tāqatwar haiṅ. Jo kuchh maiṅ ne nahīṅ lūṭā use mujh se talab kiyā jātā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 69:6 | Ai Qādir-e-mutlaq Rabbul-afwāj, jo tere intazār meṅ rahte haiṅ wuh mere bāis sharmindā na hoṅ. Ai Isrāīl ke Ḳhudā, mere bāis tere tālib kī ruswāī na ho. | |
Psal | UrduGeoR | 69:7 | Kyoṅki terī ḳhātir maiṅ sharmindagī bardāsht kar rahā hūṅ, terī ḳhātir merā chehrā sharmsār hī rahtā hai. | |
Psal | UrduGeoR | 69:8 | Maiṅ apne sage bhāiyoṅ ke nazdīk ajnabī aur apnī māṅ ke beṭoṅ ke nazdīk pardesī ban gayā hūṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 69:9 | Kyoṅki tere ghar kī ġhairat mujhe khā gaī hai, jo tujhe gāliyāṅ dete haiṅ un kī gāliyāṅ mujh par ā gaī haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 69:12 | Jo buzurg shahr ke darwāze par baiṭhe haiṅ wuh mere bāre meṅ gappeṅ hāṅkte haiṅ. Sharābī mujhe apne tanz bhare gītoṅ kā nishānā banāte haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 69:13 | Lekin ai Rab, merī tujh se duā hai ki maiṅ tujhe dubārā manzūr ho jāūṅ. Ai Allāh, apnī azīm shafqat ke mutābiq merī sun, apnī yaqīnī najāt ke mutābiq mujhe bachā. | |
Psal | UrduGeoR | 69:14 | Mujhe daldal se nikāl tāki ġharq na ho jāūṅ. Mujhe un se chhuṭkārā de jo mujh se nafrat karte haiṅ. Pānī kī gahrāiyoṅ se mujhe bachā. | |
Psal | UrduGeoR | 69:15 | Sailāb mujh par ġhālib na āe, samundar kī gahrāī mujhe haṛap na kar le, gaṛhā mere ūpar apnā muṅh band na kar le. | |
Psal | UrduGeoR | 69:16 | Ai Rab, merī sun, kyoṅki terī shafqat bhalī hai. Apne azīm rahm ke mutābiq merī taraf rujū kar. | |
Psal | UrduGeoR | 69:17 | Apnā chehrā apne ḳhādim se chhupāe na rakh, kyoṅki maiṅ musībat meṅ hūṅ. Jaldī se merī sun! | |
Psal | UrduGeoR | 69:18 | Qarīb ā kar merī jān kā fidyā de, mere dushmanoṅ ke sabab se ewazānā de kar mujhe chhuṛā. | |
Psal | UrduGeoR | 69:19 | Tū merī ruswāī, merī sharmindagī aur tazlīl se wāqif hai. Terī āṅkheṅ mere tamām dushmanoṅ par lagī rahtī haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 69:20 | Un ke tānoṅ se merā dil ṭūṭ gayā hai, maiṅ bīmār paṛ gayā hūṅ. Maiṅ hamdardī ke intazār meṅ rahā, lekin befāydā. Maiṅ ne tawaqqo kī ki koī mujhe dilāsā de, lekin ek bhī na milā. | |
Psal | UrduGeoR | 69:23 | Un kī āṅkheṅ tārīk ho jāeṅ tāki wuh dekh na sakeṅ. Un kī kamr hameshā tak ḍagmagātī rahe. | |
Psal | UrduGeoR | 69:26 | kyoṅki jise tū hī ne sazā dī use wuh satāte haiṅ, jise tū hī ne zaḳhmī kiyā us kā dukh dūsroṅ ko sunā kar ḳhush hote haiṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 69:28 | Unheṅ kitāb-e-hayāt se miṭāyā jāe, un kā nām rāstbāzoṅ kī fahrist meṅ darj na ho. | |
Psal | UrduGeoR | 69:29 | Hāy, maiṅ musībat meṅ phaṅsā huā hūṅ, mujhe bahut dard hai. Ai Allāh, terī najāt mujhe mahfūz rakhe. | |
Psal | UrduGeoR | 69:34 | Āsmān-o-zamīn us kī tamjīd kareṅ, samundar aur jo kuchh us meṅ harkat kartā hai us kī satāish kare. | |
Psal | UrduGeoR | 69:35 | Kyoṅki Allāh Siyyūn ko najāt de kar Yahūdāh ke shahroṅ ko tāmīr karegā, aur us ke ḳhādim un par qabzā karke un meṅ ābād ho jāeṅge. | |