Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 3
Psal UrduGeoR 3:1  Dāūd kā zabūr. Us waqt jab use apne beṭe Abīsalūm se bhāgnā paṛā. Ai Rab, mere dushman kitne zyādā haiṅ, kitne log mere ḳhilāf uṭh khaṛe hue haiṅ!
Psal UrduGeoR 3:2  Mere bāre meṅ bahutere kah rahe haiṅ, “Allāh ise chhuṭkārā nahīṅ degā.” (Silāh)
Psal UrduGeoR 3:3  Lekin tū ai Rab, chāroṅ taraf merī hifāzat karne wālī ḍhāl hai. Tū merī izzat hai jo mere sar ko uṭhāe rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 3:4  Maiṅ buland āwāz se Rab ko pukārtā hūṅ, aur wuh apne muqaddas pahāṛ se merī suntā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 3:5  Maiṅ ārām se leṭ kar so gayā, phir jāg uṭhā, kyoṅki Rab ḳhud mujhe saṅbhāle rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 3:6  Un hazāroṅ se maiṅ nahīṅ ḍartā jo mujhe ghere rakhte haiṅ.
Psal UrduGeoR 3:7  Ai Rab, uṭh. Ai mere Ḳhudā, mujhe rihā kar! Kyoṅki tū ne mere tamām dushmanoṅ ke muṅh par thappaṛ mārā, tū ne bedīnoṅ ke dāṅtoṅ ko toṛ diyā hai.
Psal UrduGeoR 3:8  Rab ke pās najāt hai. Terī barkat terī qaum par āe. (Silāh)