Toggle notes
Chapter 1
II T | UrduGeoR | 1:1 | Yih ḳhat Paulus kī taraf se hai jo Allāh kī marzī se Masīh Īsā kā rasūl hai tāki us wādā kī huī zindagī kā paiġhām sunāe jo hameṅ Masīh Īsā meṅ hāsil hotī hai. | |
II T | UrduGeoR | 1:2 | Maiṅ apne pyāre beṭe Tīmuthiyus ko likh rahā hūṅ. Ḳhudā Bāp aur hamārā Ḳhudāwand Masīh Īsā āp ko fazl, rahm aur salāmatī atā kareṅ. | |
II T | UrduGeoR | 1:3 | Maiṅ āp ke lie Ḳhudā kā shukr kartā hūṅ jis kī ḳhidmat maiṅ apne bāpdādā kī tarah sāf zamīr se kartā hūṅ. Din rāt maiṅ lagātār āp ko apnī duāoṅ meṅ yād rakhtā hūṅ. | |
II T | UrduGeoR | 1:4 | Mujhe āp ke āṅsū yād āte haiṅ, aur maiṅ āp se milne kā ārzūmand hūṅ tāki ḳhushī se bhar jāūṅ. | |
II T | UrduGeoR | 1:5 | Mujhe ḳhāskar āp kā muḳhlis īmān yād hai jo pahle āp kī nānī Lūis aur māṅ Yūnīke rakhtī thīṅ. Aur mujhe yaqīn hai ki āp bhī yihī īmān rakhte haiṅ. | |
II T | UrduGeoR | 1:6 | Yihī wajah hai ki maiṅ āp ko ek bāt yād dilātā hūṅ. Allāh ne āp ko us waqt ek nemat se nawāzā jab maiṅ ne āp par hāth rakhe. Āp ko us nemat kī āg ko nae sire se bhaṛkāne kī zarūrat hai. | |
II T | UrduGeoR | 1:7 | Kyoṅki jis Rūh se Allāh ne hameṅ nawāzā hai wuh hameṅ buzdil nahīṅ banātā balki hameṅ quwwat, muhabbat aur nazm-o-zabt dilātā hai. | |
II T | UrduGeoR | 1:8 | Is lie hamāre Ḳhudāwand ke bāre meṅ gawāhī dene se na sharmāeṅ, na mujh se jo Masīh kī ḳhātir qaidī hūṅ. Is ke bajāe mere sāth Allāh kī quwwat se madad le kar us kī ḳhushḳhabrī kī ḳhātir dukh uṭhāeṅ. | |
II T | UrduGeoR | 1:9 | Kyoṅki us ne hameṅ najāt de kar muqaddas zindagī guzārne ke lie bulāyā. Aur yih chīzeṅ hameṅ apnī mehnat se nahīṅ milīṅ balki Allāh ke irāde aur fazl se. Yih fazl zamānoṅ kī ibtidā se pahle hameṅ Masīh meṅ diyā gayā | |
II T | UrduGeoR | 1:10 | lekin ab hamāre Najātdahindā Masīh Īsā kī āmad se zāhir huā. Masīh hī ne maut ko nest kar diyā. Usī ne apnī ḳhushḳhabrī ke zariye lāfānī zindagī raushnī meṅ lā kar ham par zāhir kar dī hai. | |
II T | UrduGeoR | 1:11 | Allāh ne mujhe yihī ḳhushḳhabrī sunāne ke lie munād, rasūl aur ustād muqarrar kiyā hai. | |
II T | UrduGeoR | 1:12 | Isī wajah se maiṅ dukh uṭhā rahā hūṅ. To bhī maiṅ sharmātā nahīṅ, kyoṅki maiṅ use jāntā hūṅ jis par meṅ īmān lāyā hūṅ, aur mujhe pūrā yaqīn hai ki jo kuchh maiṅ ne us ke hawāle kar diyā hai use wuh apnī āmad ke din tak mahfūz rakhne ke qābil hai. | |
II T | UrduGeoR | 1:13 | Un sehhatbaḳhsh bātoṅ ke mutābiq chalte raheṅ jo āp ne mujh se sun lī haiṅ, aur yoṅ īmān aur muhabbat ke sāth Masīh Īsā meṅ zindagī guzāreṅ. | |
II T | UrduGeoR | 1:14 | Jo beshqīmat chīz āp ke hawāle kar dī gaī hai use Rūhul-quds kī madad se jo ham meṅ sukūnat kartā hai mahfūz rakheṅ. | |
II T | UrduGeoR | 1:15 | Āp ko mālūm hai ki sūbā Āsiyā meṅ tamām logoṅ ne mujhe tark kar diyā hai. In meṅ Fūgilus aur Hirmuġhines bhī shāmil haiṅ. | |
II T | UrduGeoR | 1:16 | Ḳhudāwand Unesifurus ke gharāne par rahm kare, kyoṅki us ne kaī dafā mujhe tar-o-tāzā kiyā. Hāṅ, wuh is se kabhī na sharmāyā ki maiṅ qaidī hūṅ. | |
II T | UrduGeoR | 1:17 | Balki jab wuh Rom Shahr pahuṅchā to baṛī koshishoṅ se merā khoj lagā kar mujhe milā. | |
Chapter 2
II T | UrduGeoR | 2:1 | Lekin āp, mere beṭe, us fazl se taqwiyat pāeṅ jo āp ko Masīh Īsā meṅ mil gayā hai. | |
II T | UrduGeoR | 2:2 | Jo kuchh āp ne bahut gawāhoṅ kī maujūdagī meṅ mujh se sunā hai use motabar logoṅ ke sapurd kareṅ. Yih aise log hoṅ jo auroṅ ko sikhāne ke qābil hoṅ. | |
II T | UrduGeoR | 2:4 | Jis sipāhī kī ḍyūṭī hai wuh ām riāyā ke muāmalāt meṅ phaṅsne se bāz rahtā hai, kyoṅki wuh apne afsar ko pasand ānā chāhtā hai. | |
II T | UrduGeoR | 2:5 | Isī tarah khel ke muqābale meṅ hissā lene wāle ko sirf is sūrat meṅ inām mil saktā hai ki wuh qawāyd ke mutābiq hī muqābalā kare. | |
II T | UrduGeoR | 2:6 | Aur lāzim hai ki fasal kī kaṭāī ke waqt pahle us ko fasal kā hissā mile jis ne khet meṅ mehnat kī hai. | |
II T | UrduGeoR | 2:7 | Us par dhyān denā jo maiṅ āp ko batā rahā hūṅ, kyoṅki Ḳhudāwand āp ko in tamām bātoṅ kī samajh atā karegā. | |
II T | UrduGeoR | 2:8 | Masīh Īsā ko yād rakheṅ, jo Dāūd kī aulād meṅ se hai aur jise murdoṅ meṅ se zindā kar diyā gayā. Yihī merī ḳhushḳhabrī hai | |
II T | UrduGeoR | 2:9 | jis kī ḳhātir maiṅ dukh uṭhā rahā hūṅ, yahāṅ tak ki mujhe ām mujrim kī tarah zanjīroṅ se bāndhā gayā hai. Lekin Allāh kā kalām zanjīroṅ se bāndhā nahīṅ jā saktā. | |
II T | UrduGeoR | 2:10 | Is lie maiṅ sab kuchh Allāh ke chune hue logoṅ kī ḳhātir bardāsht kartā hūṅ tāki wuh bhī najāt pāeṅ—wuh najāt jo Masīh Īsā se miltī hai aur jo abadī jalāl kā bāis bantī hai. | |
II T | UrduGeoR | 2:11 | Yih qaul qābil-e-etamād hai, agar ham us ke sāth mar gae to ham us ke sāth jieṅge bhī. | |
II T | UrduGeoR | 2:12 | Agar ham bardāsht karte raheṅ to ham us ke sāth hukūmat bhī kareṅge. Agar ham use jānane se inkār kareṅ to wuh bhī hameṅ jānane se inkār karegā. | |
II T | UrduGeoR | 2:13 | Agar ham bewafā nikleṅ to bhī wuh wafādār rahegā. Kyoṅki wuh apnā inkār nahīṅ kar saktā. | |
II T | UrduGeoR | 2:14 | Logoṅ ko in bātoṅ kī yād dilāte raheṅ aur unheṅ sanjīdagī se Allāh ke huzūr samjhāeṅ ki wuh bāl kī khāl utār kar ek dūsre se na jhagaṛeṅ. Yih befāydā hai balki sunane wāloṅ ko bigāṛ detā hai. | |
II T | UrduGeoR | 2:15 | Apne āp ko Allāh ke sāmne yoṅ pesh karne kī pūrī koshish kareṅ ki āp maqbūl sābit hoṅ, ki āp aisā mazdūr nikleṅ jise apne kām se sharmāne kī zarūrat na ho balki jo sahīh taur par Allāh kā sachchā kalām pesh kare. | |
II T | UrduGeoR | 2:16 | Dunyāwī bakwās se bāz raheṅ. Kyoṅki jitnā yih log is meṅ phaṅs jāeṅge utnā hī bedīnī kā asar baṛhegā | |
II T | UrduGeoR | 2:17 | aur un kī tālīm kainsar kī tarah phail jāegī. In logoṅ meṅ Huminyus aur Filetus bhī shāmil haiṅ | |
II T | UrduGeoR | 2:18 | jo sachchāī se haṭ gae haiṅ. Yih dāwā karte haiṅ ki murdoṅ ke jī uṭhne kā amal ho chukā hai aur yoṅ bāz ek kā īmān tabāh ho gayā hai. | |
II T | UrduGeoR | 2:19 | Lekin Allāh kī ṭhos buniyād qāym rahtī hai aur us par in do bātoṅ kī muhr lagī hai, “Ḳhudāwand ne apne logoṅ ko jān liyā hai” aur “Jo bhī samjhe ki maiṅ Ḳhudāwand kā pairokār hūṅ wuh nārāstī se bāz rahe.” | |
II T | UrduGeoR | 2:20 | Baṛe gharoṅ meṅ na sirf sone aur chāṅdī ke bartan hote haiṅ balki lakaṛī aur miṭṭī ke bhī. Yānī kuchh sharīf kāmoṅ ke lie istemāl hote haiṅ aur kuchh kamqadar kāmoṅ ke lie. | |
II T | UrduGeoR | 2:21 | Agar koī apne āp ko in burī chīzoṅ se pāk-sāf kare to wuh sharīf kāmoṅ ke lie istemāl hone wālā bartan hogā. Wuh maḳhsūs-o-muqaddas, mālik ke lie mufīd aur har nek kām ke lie taiyār hogā. | |
II T | UrduGeoR | 2:22 | Jawānī kī burī ḳhāhishāt se bhāg kar rāstbāzī, īmān, muhabbat aur sulah-salāmatī ke pīchhe lage raheṅ. Aur yih un ke sāth mil kar kareṅ jo ḳhulūsdilī se Ḳhudāwand kī parastish karte haiṅ. | |
II T | UrduGeoR | 2:23 | Hamāqat aur jahālat kī bahsoṅ se kinārā kareṅ. Āp to jānte haiṅ ki in se sirf jhagaṛe paidā hote haiṅ. | |
II T | UrduGeoR | 2:24 | Lāzim hai ki Ḳhudāwand kā ḳhādim na jhagaṛe balki har ek se mehrbānī kā sulūk kare. Wuh tālīm dene ke qābil ho aur sabar se ġhalat sulūk bardāsht kare. | |
II T | UrduGeoR | 2:25 | Jo muḳhālafat karte haiṅ unheṅ wuh narmdilī se tarbiyat de, kyoṅki ho saktā hai ki Allāh unheṅ taubā karne kī taufīq de aur wuh sachchāī ko jān leṅ, | |
Chapter 3
II T | UrduGeoR | 3:2 | Log ḳhudpasand aur paisoṅ ke lālchī hoṅge. Wuh sheḳhībāz, maġhrūr, kufr bakne wāle, māṅ-bāp ke nāfarmān, nāshukre, bedīn | |
II T | UrduGeoR | 3:3 | aur muhabbat se ḳhālī hoṅge. Wuh sulah karne ke lie taiyār nahīṅ hoṅge, dūsroṅ par tohmat lagāeṅge, aiyāsh aur wahshī hoṅge aur bhalāī se nafrat rakheṅge. | |
II T | UrduGeoR | 3:4 | Wuh namak-harām, ġhairmuhtāt aur ġhurūr se phūle hue hoṅge. Allāh se muhabbat rakhne ke bajāe unheṅ aish-o-ishrat pyārī hogī. | |
II T | UrduGeoR | 3:5 | Wuh bazāhir ḳhudātars zindagī guzāreṅge, lekin haqīqī ḳhudātars zindagī kī quwwat kā inkār kareṅge. Aisoṅ se kinārā kareṅ. | |
II T | UrduGeoR | 3:6 | Un meṅ se kuchh log gharoṅ meṅ ghus kar kamzor ḳhawātīn ko apne jāl meṅ phaṅsā lete haiṅ, aisī ḳhawātīn ko jo apne gunāhoṅ tale dabī huī haiṅ aur jinheṅ kaī tarah kī shahwateṅ chalātī haiṅ. | |
II T | UrduGeoR | 3:7 | Go yih har waqt tālīm hāsil kartī rahtī haiṅ to bhī sachchāī ko jānane tak kabhī nahīṅ pahuṅch saktīṅ. | |
II T | UrduGeoR | 3:8 | Jis tarah Yannes aur Yambres Mūsā kī muḳhālafat karte the usī tarah yih log bhī sachchāī kī muḳhālafat karte haiṅ. In kā zahan bigaṛā huā hai aur in kā īmān nāmaqbūl niklā. | |
II T | UrduGeoR | 3:9 | Lekin yih zyādā taraqqī nahīṅ kareṅge kyoṅki in kī hamāqat sab par zāhir ho jāegī, bilkul usī tarah jis tarah Yannes aur Yambres ke sāth bhī huā. | |
II T | UrduGeoR | 3:10 | Lekin āp har lihāz se mere shāgird rahe haiṅ, chāl-chalan meṅ, irāde meṅ, īmān meṅ, sabar meṅ, muhabbat meṅ, sābitqadmī meṅ, | |
II T | UrduGeoR | 3:11 | īzārasāniyoṅ meṅ aur dukhoṅ meṅ. Antākiyā, Ikuniyum aur Lustrā meṅ mere sāth kyā kuchh na huā! Wahāṅ mujhe kitnī saḳht īzārasāniyoṅ kā sāmnā karnā paṛā. Lekin Ḳhudāwand ne mujhe in sab se rihāī dī. | |
II T | UrduGeoR | 3:12 | Bāt yih hai ki sab jo Masīh Īsā meṅ ḳhudātars zindagī guzārnā chāhte haiṅ unheṅ satāyā jāegā. | |
II T | UrduGeoR | 3:13 | Sāth sāth sharīr aur dhokebāz log apne ġhalat kāmoṅ meṅ taraqqī karte jāeṅge. Wuh dūsroṅ ko ġhalat rāh par le jāeṅge aur unheṅ ḳhud bhī ġhalat rāh par lāyā jāegā. | |
II T | UrduGeoR | 3:14 | Lekin āp ḳhud us par qāym raheṅ jo āp ne sīkh liyā aur jis par āp ko yaqīn āyā hai. Kyoṅki āp apne ustādoṅ ko jānte haiṅ | |
II T | UrduGeoR | 3:15 | aur āp bachpan se muqaddas sahīfoṅ se wāqif haiṅ. Allāh kā yih kalām āp ko wuh hikmat atā kar saktā hai jo Masīh Īsā par īmān lāne se najāt tak pahuṅchātī hai. | |
II T | UrduGeoR | 3:16 | Kyoṅki har pāk nawishtā Allāh ke Rūh se wujūd meṅ āyā hai aur tālīm dene, malāmat karne, islāh karne aur rāstbāz zindagī guzārne kī tarbiyat dene ke lie mufīd hai. | |
Chapter 4
II T | UrduGeoR | 4:1 | Maiṅ Allāh aur Masīh Īsā ke sāmne jo zindoṅ aur murdoṅ kī adālat karegā aur us kī āmad aur bādshāhī kī yād dilā kar sanjīdagī se is kī tākīd kartā hūṅ, | |
II T | UrduGeoR | 4:2 | ki waqt bewaqt kalām-e-muqaddas kī munādī karne ke lie taiyār raheṅ. Baṛe sabar se īmāndāroṅ ko tālīm de kar unheṅ samjhāeṅ, malāmat kareṅ aur un kī hauslā-afzāī bhī kareṅ. | |
II T | UrduGeoR | 4:3 | Kyoṅki ek waqt āegā jab log sehhatbaḳhsh tālīm bardāsht nahīṅ kareṅge balki apne pās apnī burī ḳhāhishāt se mutābiqat rakhne wāle ustādoṅ kā ḍher lagā leṅge. Yih ustād unheṅ sirf dil bahlāne wālī bāteṅ sunāeṅge, sirf wuh kuchh jo wuh sunanā chāhte haiṅ. | |
II T | UrduGeoR | 4:5 | Lekin āp ḳhud har hālat meṅ hosh meṅ raheṅ. Dukh ko bardāsht kareṅ, Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāte raheṅ aur apnī ḳhidmat ke tamām farāyz adā kareṅ. | |
II T | UrduGeoR | 4:6 | Jahāṅ tak merā tālluq hai, wuh waqt ā chukā hai ki mujhe mai kī nazar kī tarah qurbāngāh par unḍelā jāe. Mere kūch kā waqt ā gayā hai. | |
II T | UrduGeoR | 4:7 | Maiṅ ne achchhī kushtī laṛī hai, maiṅ dauṛ ke iḳhtitām tak pahuṅch gayā hūṅ, maiṅ ne īmān ko mahfūz rakhā hai. | |
II T | UrduGeoR | 4:8 | Aur ab ek inām taiyār paṛā hai, rāstbāzī kā wuh tāj jo Ḳhudāwand hamārā rāst munsif mujhe apnī āmad ke din degā. Aur na sirf mujhe balki un sab ko jo us kī āmad ke ārzūmand rahe haiṅ. | |
II T | UrduGeoR | 4:10 | Kyoṅki Demās ne is duniyā ko pyār karke mujhe chhoṛ diyā hai. Wuh Thissalunīke chalā gayā. Kreskens Galatiyā aur Titus dalmatiyā chale gae haiṅ. | |
II T | UrduGeoR | 4:11 | Sirf Lūqā mere pās hai. Marqus ko apne sāth le ānā, kyoṅki wuh ḳhidmat ke lie mufīd sābit hogā. | |
II T | UrduGeoR | 4:13 | Āte waqt merā wuh kūṭ apne sāth le āeṅ jo maiṅ Troās meṅ Karpus ke pās chhoṛ āyā thā. Merī kitābeṅ bhī le āeṅ, ḳhāskar charmī kāġhaz wālī. | |
II T | UrduGeoR | 4:14 | Sikandar lohār ne mujhe bahut nuqsān pahuṅchāyā hai. Ḳhudāwand use us ke kām kā badlā degā. | |
II T | UrduGeoR | 4:16 | Jab mujhe pahlī dafā apne difā ke lie adālat meṅ pesh kiyā gayā to sab ne mujhe tark kar diyā. Allāh un se is bāt kā hisāb na le balki ise nazarandāz kar de. | |
II T | UrduGeoR | 4:17 | Lekin Ḳhudāwand mere sāth thā. Usī ne mujhe taqwiyat dī, kyoṅki us kī marzī thī ki mere wasīle se us kā pūrā paiġhām sunāyā jāe aur tamām Ġhairyahūdī use suneṅ. Yoṅ Allāh ne mujhe sherbabar ke muṅh se nikāl kar bachā liyā. | |
II T | UrduGeoR | 4:18 | Aur āge bhī Ḳhudāwand mujhe har sharīr hamle se bachāegā aur apnī āsmānī bādshāhī meṅ lā kar najāt degā. Us kā jalāl azal se abad tak hotā rahe. Āmīn. | |
II T | UrduGeoR | 4:20 | Irāstus Kurinthus meṅ rahā, aur mujhe Trufimus ko Mīletus meṅ chhoṛnā paṛā, kyoṅki wuh bīmār thā. | |
II T | UrduGeoR | 4:21 | Jaldī kareṅ tāki sardiyoṅ ke mausam se pahle yahāṅ pahuṅcheṅ. Yūbūlus, Pūdens, Līnus, Klaudiyā aur tamām bhāī āp ko salām kahte haiṅ. | |