Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 84
Psal UrduGeoR 84:1  Qorah ḳhāndān kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Gittīt. Ai Rabbul-afwāj, terī sukūnatgāh kitnī pyārī hai!
Psal UrduGeoR 84:2  Merī jān Rab kī bārgāhoṅ ke lie taṛaptī huī niḍhāl hai. Merā dil balki pūrā jism zindā Ḳhudā ko zor se pukār rahā hai.
Psal UrduGeoR 84:3  Ai Rabbul-afwāj, ai mere Bādshāh aur Ḳhudā, terī qurbāngāhoṅ ke pās parinde ko bhī ghar mil gayā, abābīl ko bhī apne bachchoṅ ko pālne kā ghoṅslā mil gayā hai.
Psal UrduGeoR 84:4  Mubārak haiṅ wuh jo tere ghar meṅ baste haiṅ, wuh hameshā hī terī satāish kareṅge. (Silāh)
Psal UrduGeoR 84:5  Mubārak haiṅ wuh jo tujh meṅ apnī tāqat pāte, jo dil se terī rāhoṅ meṅ chalte haiṅ.
Psal UrduGeoR 84:6  Wuh Bukā kī ḳhushk wādī meṅ se guzarte hue use shādāb jagah banā lete haiṅ, aur bārisheṅ use barkatoṅ se ḍhāṅp detī haiṅ.
Psal UrduGeoR 84:7  Wuh qadam baqadam taqwiyat pāte hue āge baṛhte, sab Koh-e-Siyyūn par Allāh ke sāmne hāzir ho jāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 84:8  Ai Rab, ai lashkaroṅ ke Ḳhudā, merī duā sun! Ai Yāqūb ke Ḳhudā, dhyān de! (Silāh)
Psal UrduGeoR 84:9  Ai Allāh, hamārī ḍhāl par karm kī nigāh ḍāl. Apne masah kie hue ḳhādim ke chehre par nazar kar.
Psal UrduGeoR 84:10  Terī bārgāhoṅ meṅ ek din kisī aur jagah par hazār dinoṅ se behtar hai. Mujhe apne Ḳhudā ke ghar ke darwāze par hāzir rahnā bedīnoṅ ke gharoṅ meṅ basne se kahīṅ zyādā pasand hai.
Psal UrduGeoR 84:11  Kyoṅki Rab Ḳhudā āftāb aur ḍhāl hai, wuhī hameṅ fazl aur izzat se nawāztā hai. Jo diyānatdārī se chaleṅ unheṅ wuh kisī bhī achchhī chīz se mahrūm nahīṅ rakhtā.
Psal UrduGeoR 84:12  Ai Rabbul-afwāj, mubārak hai wuh jo tujh par bharosā rakhtā hai!