Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 97
Psal UrduGeoR 97:1  Rab Bādshāh hai! Zamīn jashn manāe, sāhilī ilāqe dūr dūr tak ḳhush hoṅ.
Psal UrduGeoR 97:2  Wuh bādaloṅ aur gahre andhere se ghirā rahtā hai, rāstī aur insāf us ke taḳht kī buniyād haiṅ.
Psal UrduGeoR 97:3  Āg us ke āge āge bhaṛak kar chāroṅ taraf us ke dushmanoṅ ko bhasm kar detī hai.
Psal UrduGeoR 97:4  Us kī kaṛaktī bijliyoṅ ne duniyā ko raushan kar diyā to zamīn yih dekh kar pech-o-tāb khāne lagī.
Psal UrduGeoR 97:5  Rab ke āge āge, hāṅ pūrī duniyā ke mālik ke āge āge pahāṛ mom kī tarah pighal gae.
Psal UrduGeoR 97:6  Āsmānoṅ ne us kī rāstī kā elān kiyā, aur tamām qaumoṅ ne us kā jalāl dekhā.
Psal UrduGeoR 97:7  Tamām butparast, hāṅ sab jo butoṅ par faḳhr karte haiṅ sharmindā hoṅ. Ai tamām mābūdo, use sijdā karo!
Psal UrduGeoR 97:8  Koh-e-Siyyūn sun kar ḳhush huā. Ai Rab, tere faisloṅ ke bāis Yahūdāh kī beṭiyāṅ bāġh bāġh huīṅ.
Psal UrduGeoR 97:9  Kyoṅki tū ai Rab, pūrī duniyā par sab se ālā hai, tū tamām mābūdoṅ se sarbuland hai.
Psal UrduGeoR 97:10  Tum jo Rab se muhabbat rakhte ho, burāī se nafrat karo! Rab apne īmāndāroṅ kī jān ko mahfūz rakhtā hai, wuh unheṅ bedīnoṅ ke qabze se chhuṛātā hai.
Psal UrduGeoR 97:11  Rāstbāz ke lie nūr kā aur dil ke diyānatdāroṅ ke lie shādmānī kā bīj boyā gayā hai.
Psal UrduGeoR 97:12  Ai rāstbāzo, Rab se ḳhush ho, us ke muqaddas nām kī satāish karo.