Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 19
Psal UrduGeoR 19:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Āsmān Allāh ke jalāl kā elān karte haiṅ, āsmānī gumbad us ke hāthoṅ kā kām bayān kartā hai.
Psal UrduGeoR 19:2  Ek din dūsre ko ittalā detā, ek rāt dūsrī ko ḳhabar pahuṅchātī hai,
Psal UrduGeoR 19:3  lekin zabān se nahīṅ. Go un kī āwāz sunāī nahīṅ detī,
Psal UrduGeoR 19:4  to bhī un kī āwāz nikal kar pūrī duniyā meṅ sunāī detī, un ke alfāz duniyā kī intahā tak pahuṅch jāte haiṅ. Wahāṅ Allāh ne āftāb ke lie ḳhaimā lagāyā hai.
Psal UrduGeoR 19:5  Jis tarah dūlhā apnī ḳhābgāh se nikaltā hai usī tarah sūraj nikal kar pahalwān kī tarah apnī dauṛ dauṛne par ḳhushī manātā hai.
Psal UrduGeoR 19:6  Āsmān ke ek sire se chaṛh kar us kā chakkar dūsre sire tak lagtā hai. Us kī taptī garmī se koī bhī chīz poshīdā nahīṅ rahtī.
Psal UrduGeoR 19:7  Rab kī sharīat kāmil hai, us se jān meṅ jān ā jātī hai. Rab ke ahkām qābil-e-etamād haiṅ, un se sādālauh dānishmand ho jātā hai.
Psal UrduGeoR 19:8  Rab kī hidāyāt bā-insāf haiṅ, un se dil bāġh bāġh ho jātā hai. Rab ke ahkām pāk haiṅ, un se āṅkheṅ chamak uṭhtī haiṅ.
Psal UrduGeoR 19:9  Rab kā ḳhauf pāk hai aur abad tak qāym rahegā. Rab ke farmān sachche aur sab ke sab rāst haiṅ.
Psal UrduGeoR 19:10  Wuh sone balki ḳhālis sone ke ḍher se zyādā marġhūb haiṅ. Wuh shahd balki chhatte ke tāzā shahd se zyādā mīṭhe haiṅ.
Psal UrduGeoR 19:11  Un se tere ḳhādim ko āgāh kiyā jātā hai, un par amal karne se baṛā ajr miltā hai.
Psal UrduGeoR 19:12  Jo ḳhatāeṅ beḳhabrī meṅ sarzad huīṅ kaun unheṅ jāntā hai? Mere poshīdā gunāhoṅ ko muāf kar!
Psal UrduGeoR 19:13  Apne ḳhādim ko gustākhoṅ se mahfūz rakh tāki wuh mujh par hukūmat na kareṅ. Tab maiṅ be'ilzām ho kar sangīn gunāh se pāk rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 19:14  Ai Rab, baḳhsh de ki mere muṅh kī bāteṅ aur mere dil kī soch-bichār tujhe pasand āe. Tū hī merī chaṭān aur merā chhuṛāne wālā hai.